Agar aap Apna naya ghar khareedne ja rahe hai, to Vastu ke anusaar uska chayan kare. Ghar laabhkari sabit hoga.
Esse ghabrane ki jaroorat nahi hai. Vastu ke aasan samaadhano ke maadhyam se bina kisi tod-fod ke aap ape apartment ke Vastu dosh ko door karke vaha par khushaal jeevan vyateet kar sakte hai.
Jane Vastu Ke Kuch Khaas Ninyam
Badalte parivesh me apartment culture ne mahanagro ke saath-saath chote shahro me bhi apni jade majboot kar lee hai. kai baar aisa bhi hota hai ki aapne badi hasrat se apne liye ek falt khareeda, use apne manmutabik sajaya aur usame apne parivar ke saath shift bhi ho gaye.. Leking vaha shift hone ke baad se hi aapka pareshaniyo se saamana hone laga, to eska ek arth yah bhi ho sakta hai ki aapke sapno ke aashiyane ka nirmaan vaastu siddhanto ke anuroop nahi hua ho.Esse ghabrane ki jaroorat nahi hai. Vastu ke aasan samaadhano ke maadhyam se bina kisi tod-fod ke aap ape apartment ke Vastu dosh ko door karke vaha par khushaal jeevan vyateet kar sakte hai.
Naya Flat Ke Liye Vastu Ke Niyam
- Flat ya ghar khareedte samay apne liye us ghar ya appartment ka chayan kare, jiske aaspaas paryapt khula sthan ho, Yah khula sthan Dakshin-Pachim ki tulna me Uttar-Poorv me jyaada khula ho.
- Ekdam Vargakaar va ayatakar flat milna mushkil hota hai, lekin dhyan de ki flat ya ghar kabhi bhi Uttar-Poorv va Dakshin-Paschim se kata hua na ho.
- Usme samuchit prakratic roshni aur taji hava aane jaane ka prabandh ho. esse ghar ke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai aur khushiya aati hai.
Vastu ke anusaar Kamro Ki Disha
- Master bedroom hamesha Dakshin-Paschim me ho aur agar aapka ghar duplex hai, to phir master bedroom upari tal par banay.
- Baccho ka padhai me man lage eske liye yah jaroori hai ki unka kamra Poorv me ho.
- Baithak Uttar-Paschim me hona labhdayak rahata hai. Baithak kaksh ki sajawat karte smay es baat ka dhayan rake k furniture Dakshin-Paschim me rakha hoaur Uttar-Porv se jyada khali jagah ho. esse ghar ke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai.
Vastu ke Anusaar Ghar Ki Balkani
- Balkani ghar ke Poorv va Uttari bhag me ho. Daksin va Paschimi hissa Bakani ke liye uchit disha nahi hai.
- Balkani ke andar furniture Dakshin, Paschim disha me rakhe.
- Baalkani ki chat ki uchai mukhya bhavan ki chat se kam ho, eske alawa balkani ki chat ke liye teen ka estemaal na kare.
- Balkani me hamesha chote poudhe ya phool wale gamle hi rakhe. Gamle Dakshin Va Dakshin-Paschim me na lagay.