Jab baat bhawan banane ki leiye sahi kism ke bhukhand ka chunaav karne ki aati hai to bhumi ke prakar ki janch karna bhi bahut aham hota hai. Ghar shubh faldayak ho, eske liye avashyak ka hi ki bhumi ki kism vastu ke anusar ho aur bhukhand ka aakar bhi vastu mammat ho.
Kitne Prakar Ki Bhumi Hoti Hai?
Bramh sanhita ke anusar nirman ke liye uttam bhukhand vah hota hai, jisme acchi gandh hoti hai. hamare grantho me 4 kism ki bhimi ka varnan hai.- Brahmdi- Ache swad aur gandh vali ghasdaar bhumi ko brahamdi bhumi kahte hai. Ese kism ki bhumi ko rehayshi bhavano ke liye uttam bataya jata hai aur ese maksad ke liye khareedne ki sifarish ki jati hai. yah use ghar me basne vale sadasyo ko aaram ka ehsaas karati hai.
- Khasmiya- Yah bhumi lal rang si abha liye hoti hai aur esme teekhi gandh hoti hai. yah bhumi police chouki, kachahri aur sarkari karmchariyo ke liye rehaysh banane keli ye sabse uttam hoti hai.
- Vaishya- ek anya prakar ki bhumi hoti hai. yah bhumi peelapan liye hoti hai, eski gandh khatti hoti hai. ese kheti se jude vyavsaayik kaamo jaise ki pashupalan, machlipalan, khad utpaado aur deri aadi ke liye upyog karne ki salah di jaati hai. ese bhumi par bank, vyavsayik parisar ya showroom aadi banana bhi aacha rahta hai.
- Ek anya prakar ki bhumi kalapan liye hoti hai. eski gandh kadvi hoti hai. ese rehaish ke liye accha nahi samjha jata hai. ese par manoranjan sambandhi bhavan, club ya karkhano aadi ka nirman karaya ja sakta hai.
Kaisa Ho Bhukhand or Bhumi Ka Akaar?
Aamtaur par chokore, aayataakar aur golakarbhukhand imarate banane ke liye utam mane jaate hai. samanyataya ek sudoul akar ka bhukhand accha hota hai, Jabki bedoul aakar ka bhukhand vastu me kharaab mana jata hai. in akaro ke alawa bhukhand ke kuch aur bhi khaas akaar hote hai.- Andakaar Bhukhand- Aise bhukhando me rahne se chinta, avsaad aur kai anya pareshaniya ho sakti hai.
- Tikona Bhukhand- Tikone bhukhand par bane makan me rah rahe logo ko mukadme-baaji aur aag ke khatre ki ashanka rahti hai.
- Ardh-Golakar Bhukhand- Ardh-gloakar bhukhand par bane makaan me rahne walo ko man ki khushi prapt hoti hai.
- Asth Kodiye Bhukhand- 8 kono vala bhukhand astkoniye kahalata hai. esie bhukhand par bane makan ke bare me manyata hai ki usme rahne walo ko man ki shanti aur khushali milti hai.
- Tare ke akaar ka bhukhand- Aise bhukhand par kiya gaya nirmaan dhan ki hani, mukadme-baaji aur bhram ka kaaran banta hai.
- Pankhakaar bhukhand- Yah bhukhand hath se dulaane vaale paramparik bhartiya pankhe ke aakaar ka hota hai. ese par bane makaan me rahne se dhan ki haani hoti hai aur paaltu janwaro ko khatra rahta hai.
- Mradangakaar Bhukhand- Mradang ek paramparik bhartiya vaadh yantra hai. aise aakar ke bhukhand par bane makaan me rahne ki salaah vastushastri hargij nahi dete. kyoki esme rahne valo ko kaafi takleefo aur dukho ka saamna karna padta hai.