Ghar ki talash kar rahe hai? Pehle ye jaankaari zaroor prapt kar le.
Delhi mein ek neeji company me kaam karne wale rajendra kumar Gaziyabad sthit vasundhra me ek kiraye ke makan me rehte hai! umra 45 paar kar gai hai. badhti umar ke sath apne ghar ki chinta satane lagi hai. Bank se loan aur kuch jama kiye hue paise ko jod kar ve 30 lakh rupaye ke aas paas ghar lene par vichar kar rahe hai. kai mahine se ek behetar ghar ki talash me ve aaye din builderon ke offices ke chakkar laga rahe the, lekin kahi jagah kam milti to kahi manpasand construction nahi milti. aise me unone ek property consultant ki madad li. Delhi and NCR me rehne wale jyadatar madhyam (middle class) warg ke log 25 se 30 lakh rupaye ki range me ghar chahte hai, par NCR me badhti kemato ke saath ab ise range me gine-chuni property hi mil pati hai, haa, kuch ilake aise hai, jaha aapko behetar vikalp mil sakte hai. Aiye jaane in ilako ke bate me.Yadi Rehne ke liye jald chahiye ho Ghar
Yadi aap jaldi rehne ke liye ek ghar ya flat chahte hai to aapko greater noida west, yamuna express-way aur rajnagar extension jaise ilako me 25 se 35 lac rupaye ke beech flat mil jayenge. kai builder ise ilaake me behetar gunwatta wale project bana rahe hai. halanki aapko behetar deal ke liye khud property ko aachi tarah se janch-parakh kar hi kagajo per dastkhat karne chahiye.FNG ( Faridabad-Noida-Gaziyabad ) expressway ke aaspaas ke ilake me aapko 30 lac ke ander behetar property mil sakti hai. ise express way ke chalte yeh ilaka kafi teji se viksit ho raha hai.aise me aap yaha nivesh kar sakte hai. yadi aap nivesh karne ke lihaz se property lena chahte hai to ye ilaaka behetar hai. par yadi aap kuch bajat badhane ko taiyaar ho to gaziyabaad me crossing ripublic bhi ek behetar vikalp ho sakta hai. Faridabad me nahar paar ke ilaake me bhi aapko 25 se 30 kac ke beech aachi property mil sakti hai.
Lambe samaye Ke liye Merut hai behetar vikalp
Property me nivesh ke lihaz se merut ek behetar vikalp hoga. agale aath se 10 varsho me merut me property ke daam kai guna badhne ki ummid ki jaa rahi hai. Gaziabaad me bane naye bus adde se merut tak rapid train chalaye jaane ka prastav hai. rapid tain ko shuru hine ke baad merut se gaziabad ki duri aap adhik se adhik 20 se 25 minut me taye kar sakenge aise me yadi aap merut me yadi aap merut se 25 minut me gaziabaad aa jate hai to 1 ghante me Delhi pahuch jayenge. Isiliye yadi aap abhi merut me nivesh karte hai to lagbhad 25 lac rupaye me kisi thek thak location me aapko 120 guz ka do manzila makan bhi mil sakta hai. abhi Delhi-Merut par traffic adhik hone ke chalte logo ko Delhi pahuchne me kaafi samaye lagta hai. lekin rapid train shuru hone par yeh samasya door ho jayegi.Mere anusaar kisi bhi ilaake me property ki mang rozgar ke badhte vikalp aur transportation ki suvidhaon ke chalte badhti hai. Delhi aur aaspaas ke ilako me rozgaar ke saath hi behetar transportation uplabdh hai. rapid train se merut se Delhi aana behad aasan ho jayega.
Merut me nivesh ke liye ek behetar vikalp hai. Bhavishya me sambhavnao ko dekhte hue buildero ne bhi Merut me highway per apne project shuru kar diye hai. isme se kai bade builder bhi project shuru karne ki ghoshna kar chuke hai.
Yaha Nivesh Karne Se bache
Rehaishi ilako ki maang ke badhne ke saath hi loni, bahadurgarh aur bagpat ke ilake me bhi property ki mang badhi hai. Kuch builder yaha bhi project shuru karne ki yojna par kaam kar rahe hai. par yaha pse Delhi ke liye behetar transportatin per filhaal vichar nahi ho raha hai. isiliye yaha nivesh karna behetar nirnaye nahi hoga. yaha property ki keemat badhne me kaafi samaye lagega.Vahi dusri taraf Sonipat, Panipat me bhi nivesh karna behetar vikalp nahi hoga. yaha property bazar kaafi dheemi gati se badh rahe hai. yadi aap yaha nivesh karte hai to aapko return ke liye kaafi lamba intezar karna padega.
In baton ka rakhe khayal
- Yamuna Express-way ke aaspaas ke ilako me resale me property na kharide. yamuna express-way authority me property ko transfer kara paana asaan nahi hoga. yadi aap power of atorny per property kharidte hai. to aane wale samay me aapko muskile badh sakti hai.
- Kahi bhi property lene ke pehle uski sahi keemat ka addyayan kar le. isiliye brokaro ki bajaye waha ja kar sthaniye logo se property ki keemat ka anumaan lagaye. Yadi property dealer waha ke sthaniye logo dwara bataye gaye daam se jyaada daam bataye to deal na kare.
- kagazo ki aachi tarah se janch karne ke baad hi property kharide. yadi aap kisi builder se property kharid rahe hai to uski viswasniyata jaroor janch le.
- Yeh zaroor janch le ki aapko jo keemat batai ja rahi hai, uske atirikt kisi anya cheez ka bhugtaan to aapko nahi karna hai. yadi deal final ho jaati hai to kaagazo me is baat ki zaroor darz karaye ki property per ki prakaar ki dendaari aapki nahi hogi.
For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com
For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com