Bhumi Mafia ka Mayajaal Bech dale 400 Plot Greator Noida Pradhikaran Soti Rahi
Greater Noida Vikas Pradhikaran ki Jalpura Gaon me kareeb 100 crore rupaye ki zameen mafia ne bech dali. jabki pradhikaran ke adhikari ankhe moondkar sab dekhte rahe. Yaha pradhikaran ne 7 saal pehle kareeb 30 begha zameen khareedi thi. Lekin pradhikaran ne ese zameen ke rajasw recod me apna naam darj nahi karaya.Ese ka fayeda uthakar mafia ne colony basa di. ese zameen per kareeb 400 logo ko bhukhand beche gaye hai. yeh khulasa tab hua jab ek kharedaar ne loan lene ke liye bank se sampark kia. Bank ne loan dene se pehle zameen ka barahsaala manga. Kharedar ne jab tehseel se barahsala nkalwaya to use thagi ka pata chala. Darasal usne jis vyakti se zameen kharedi, wah malik nahi tha.
Sameeti Ke Logo Ne Kia Farziwada
Kuch warsho baad sameeti se jude logo ko jab yeh baat maloom hui to unhone farziwada karke yeh zameen plots me bechni shuru kar di. 07 july 2011 ko eska ek hissa sukhbeer aur Baleshwar putragan Bhule niwasi Jalpura ko becha gaya. Zameen bechne ke liye rajistry per samiti ke kathit sachive ka photo lagaya gaya hai.
Esi tarah shesh zameen 09 August 2011 ko lekhraj putra Mangal niwasi Kheda Chouganapur ko bech di gai. ese baar zameen bechne ke liye Anil Singh naamak vyakti ko samiti ka adhikrat vyakti bataya gaya. khas baat yeh hai ki yeh zameen kuch dino ke baad hi colonizaro ne khareed li.
Pradhikaran Ne 2006 Me Khareedi Thi Zameen
Jalpuragaon me vikaas pradhikaran ne karar niyamwali ke tahat saikaro begha zameen kisano se seedhe kharedi hai. Jalpura me sachidanand sahkaari awaas samiti ki 22,285 warg meter zameen esi tarah pradhikaran ne kharedi thi. 15 may 2006 ko ese zameen ki ragistry Dadari sub ragistrar karyalay me pradhikaran ke haq me karwai gai. Pradhikaran ne zameen 360 Rupay prati warg meter ki dar se samiti ko bhugtan bhi kar dia, lekin pradhikaran ne ese zameen ka dakhil kharij apne naam per nahi karaya. esse rajaswa record me zameen samiti ke naam per hi darj rahi.
Colonizers ne bakayda naksha banakar ese zameen oer kareeb 400 logo ko plot beche. dedh saal ke dauran Dadari sab rajistrar karyalay me bane saare plots ki rajistry hui hai. yaha kuch ghar ban chuke hai jabki kuch ki chardiwari karai ja chuki hai.
Farziwada karne wale gayab hai. kareeb 100 crore rupay ke ese ghotale me Dadari tehseel aur pradhikaran ke karmchariyo ki milibhagat rahi hai. majedar baat baat yeh hai ki pradhikaran ki zamen kaha aur koun si hai, yeh land department ko pata hi nahi hai.
"Ese Ghotale ki jach karwai jayegi. Bhumafia per karwahi hogi. eske sath hi pradhikaran ke jimmedar adhikari aur karmchari bhi nahi bakshe jayenge, yeh behad gambhir mamla hai.
Harsh Kumar Varma, Upper Mukhya Karyalay Adhikari, Greater Noida."
Pradhikaran Karmchariyo Ki Milibhagat.
Pradhikaran ko adhisuchit ya adhigrahit zameen per bhumafia colony basate rehte hai. Pradhikaran ke karmchari sab kuch jante hue bhi chuppi sadhe rehte hai. darasal pradhikaran me aise karmchatiyo ki kami nahi, jinki bhumafia se milibhagat hai. Pradhikaran ke kai adhikariyo ke rishtedar aur parija khud ese dhande me hai. yahi karan hai jiski wajah se bhumafia per karyawahi nahi hoti hai.For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com
For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com