Waqt ke saath ghar me atirikt kamre ya kitchen me kuch aur cabinets
jaisa jodne ki jarurat pad hi jati hai. Agar ghar me kuch naya banwane
ki soch rahe hai, to kuch baato ka kare vichar.
Ghar ke
liye aap jo bhi banwana chah rahe hai, uske design ke liye pahle kuch
prernaye ekatthi kar le. Maan lijiye ki aapke kirchen ka renovation
karwana chah rahe hai, to usse dambandhit design, material aadi ke bare
me jitne sample ho sakte hai, utne dekh le . Eski jaankari internet ya
interior decoration ki magazine aadi se le sakte hai.
Ghar Ke Use Jagah Ka Estemaal Koun Karega?
Kisi jagah ko nay sire
se bana rahe hai, to ese baat par gour kare ki uske estemaal kin kaamo
me hoga. in bato ka dhayan rakhenge, to vaha ke layout banane, uski
fittings, vaha ke upkaran aur vaha ke rang aadi ke bare me nirnay lene
me sasni hogi.
Jaroori Chijo Ki List
Bathroom aur kitchen jaisi jagaho ka upyog
ghar ki baaki jagaho se jyada hota hai, Esliye yaha ki fittings ka
dikhne me sundar hona jitna jaroori hai, utna hi vyaharik hona bhi, taki
un jagaho par kaam karna suvidhajanak ho, jaroori chijo ki list bana le
jaise ki kuch logo ko har haal me kamre me acchi roshni chahiye hoti
hai, to kuch ko diwaar par kuch badhiya pattern etyaadi. Esse aap apne
space ko personal touch de sakte hai.
Jagaho Ko Bekaar Na Chode
Aajkal kitchen aur bathroom ke liye
aamtaur par jyaada jagah nahi milti. Kahi aisa bhi ho sakta hai ki sirf
ek lambi diwaar hi khali ho. Aise me use diwaar ka poora upyog hona
jaroori hai. Usme cupboard, drawyer, bench vagaireh ka prayog kar apne
liye ek suvidhajanak sundar kitchen banwa sakte hai.
Sundarta Ka Rakhe Khyaal
Space ko suvidhajanak aur suruchipoorn
Banana hai, to thode me hi jyaada kaam kar dikhate hai rang aur
textures. Enme aapke kitchen ya bathroom me style aa jayega. Apne
bathroom ko kisi theme ke anusaar renowet kara sakte hai, esi tarah
kitchen ke panels ke liye kuch khaas chunaav kiye jaa sakte hai.