Panipat, Merut and Alwar will be connect with Rapid Train Plan
Kendriya Shahri Vikas (Central City Development) mantri Kamal Nath ne kaha ki Delhi aur NCR ke Shahro ke beech doori kam karne ke liye jaroori hai ki tez gati ki srwajanik parivahan sewa ko badhawa diya jaye. Isi kadi me Delhi- Panipat- (111 Km.), Delhi-Alwar (180 Km.), aur Delhi- Merut (90 kilometer) ke bech Metro ki tarz per Rapid Rail Chalane ki yojna hai.In Trains ka sanchalan NCR pariwahan nigam, dwara kia jayega, jisme kendra sahit Delhi, Hariyana, Rajasthan aur Uttar Pradesh sarkaro ki bhagidari hogi. somwar ko hui NCR planning board ki 33vi baithak me 3 corridor ko manzoori di gai. isko kabinate ko bheja ja chuka hai. Esse poorve expenditure nd finance cometi ne es yojna ko manjoori de di hai.
Kamalnath ne ummid jatai ki teeno lins ka nirman karya jald shuru kar diya jayega, jise year 2016 tak poora kar liya jayega. in yojnao per kharch ke liye sabse pehle ncr yojna board 200 crore rupay ka anshdaan karega. baithak me regional rapid ransit system k bare me yeh nirnay liya gaya ki vibhinn paksho ke beech nivesh ki matra tay karne ke liye vittiya paramarshdata niyukt kiya jaye. in teeno lins per 72000 crore rupaye ki laga ayegi. eske alawa yojna board ne kashmiri gate aur anand vihar me 2 multi model transit center banane ki bhi anumati de hai.
ANCR counter magnet area me Jaypur bhi shamil: E laka chodkar logo ko NCR me jane se rokne wale sharo me ab jaypur bhi NCR ke magnet area me shamil ker liya gaya hai. aise shehro ke vikas me NCR yojna board ki ore se vittiya sahayta pradan ki jati hai. Ab tak hariyana ka hisar aur rajasthan ka kota, madhya pradesh ka gwaliyar, uttarpradesh ke bareli aur panjam ke patiyala shahar ko counter magnet area me shamil kiya hua hai. Counter magnet area se arth hai ki aisa shahar, jo Delhi NCR se to door hai, lekin un shahro me aise entezaam kiye ja sakte hai, jo logo ko Delhi ya NCR me aane se rok sakta hai.
For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com
For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com