loading...
Showing posts with label Authority. Show all posts
Showing posts with label Authority. Show all posts

Saturday, November 9, 2013

Ab Ayegi Noida And Greater Noida METRO Line

Diwali Per Shehar Ko Bada Tohfa: Cabinet ko Mili Manjoori

Noida City Center se Greater Noida tak Metro 1 kadam aur badh gai hai. 6 November ko UP sarkar ne kendriya shahri vikas mantralay ko patra likhkar Greater Noida tak Metro daudane ke liye Noida Metro Rail Company ke gathan aur hissedari ki manjoori dene ke liye patra likha hai. Sath hi Thursday (Guruwar) ko pramukh sacheeve (Udhyog) SP.Singh ne pradhikaran ke adhikariyo ke sath baithkar ese mamle me taiyariya tej karne ke nirdesh diye hai.

Noida se Greater Noida ke Bech banenge 22 Station

Noida City Center, Sector 51, 50, 78, 79, 81, 83, 84, 137, 142, 143, 144, 145, 147, 149, Knowledge Park 2, Knowledge Park 1, Alpha 1, Alpha 2, Delta 1, Depo Station.

Baithak ke baad Noida ke chairman Rama Raman ne bataya ki NMRC Noida, Greater Noida aur Yamuna Shetra me DMRC ki tarj per kaam karegi.
Ese company me 50-50% hissedari kendra wa pradesh sarkar ki hogi. Pradesh sarkar ki ore se 70 wa 30 pratishat ke anupaat me Noida aur Greater Noida funding karegi. UP cabinet se ese prastav ko pahle hi manjoori mil chuki hai.


6 November ko pramukh sachive ne shahri vikas mantralay ko pratra likhkar apne hisse ke dhanrashi aur company ke gathan ko manjoori dene ke liye patra likha hai. Kendra sarkar se manjoori milte hi company ka ragistration karaya jayega. pehle charan me ese company me 1000 coror rs. ka nivesh hoga.

Tuesday, November 5, 2013

Greater NOida Metro Ke Liye Nay Root Ki Talash Shuru

4 Km Ke Pech Ne Kiya Kaam. Noida Ne Metro Vistar Ka Kaam Apne Hatho Me Liya.

Kalindi Kunj se Botanical garden Ke Bech Banne Wali Metro Line 4 Km ki hai.
Eske Bech me Mahamaya Flyover aur Expressway-Way ke Sath-Sath Metro ko Daudaya ja sakta hai.
Noida ko yeh fayede ka sauda laga, Jabki Greater Noida ko Jyada paise kharch karne ki Awashyakta bhi nahi.


  • 44 Sector ko kendrit karte hue taiyar ho raha hai prastav.
  • 23.5 Km ki hogi nai line prastav ke anusar.
  • 3Km ke Shetra khi ayega Greater Noida Me.

Wednesday, September 18, 2013

49 Pariyojnao Per Khatra

National Green Tribunal Ne Noida Pradhikaran Ko Diye Karyawahi Ke Nirdesh

Okhla Pakshi vihar ke aaspaas sarjano vyavsayik aur awasiye pariyojnao ke nirman karya per vanya jeev kanoon ki andekhi ki maar pad sakti hai. Pakshi vihar ke 10 Km. ke dayre me mojood 49 pariyojnao ke liye paryavaran sambandhi manjoori to hai, lekin buildero ne nirman karya shuru karne se pehle rastriya vanya-jeev board shuru karne se pehle rastriya vanya-jeev board ki manjoori nahi li. In aaropo per Noida Pradhikaran dwara chuppi sadhe jane ko National Green Tribunal ne gambhirta se liya hai.

DAM aur SSP Ko Karyawahi Ke Nirdesh: Tribunal ke sadasya P.Jyotirmani ki adhyakshta wali peeth ne Noida ke Jila-adhikari aur varisth police adhikshak ko es mamle me vanya jeev kanoon ki andekhi karne wale buildero ke khilaf karyawahi karne ka nirdesh diya hai. Yeh karywahi nirman karya per rok se lekar pariyojna ko band karne ki bhi ho sakti hai. Eske saath hi peeth ne pradhikaran ko vistrat halafnama dakhil karne ko kaha hai ki kin-kin pariyojnao ke paas rastriya vanya jeev board ki manjoori hai. Peeth ne ese sambandh me spastikaran manga hai ki bina manjoori ke nirman karya kaise shuru hua. Tribunal ne yeh adesh tab diya jab pradhikaran se halafnama dakhil kar pakshi vihar ke 10 km. ke dayere me mojood pariyojnao ke paas paryavaran sambandhi manjoori hone ki jankari di, Lekin yeh nahi bataya ki kitne buildero ne wild life ki manjoori li hai.


Pradhikaran Ne Kya Kaha Halafname Me

"Pradhikaran Ne kaha ki Yachikarta ne jin 55 pariyojnao per arop lagaya hai unme se 6 pariyojnay pakshi vihar ke 10 Km. ke dayere se bahar hai, Jabki baaki 49 me se 15 pariyojnao ka kaam poora ho gaya hai. aur nirman poora hone ka pramad patra bhi jaari kar diya gaya hai. Kuch to chodkar shesh pariyojna per bhi kaam shuru o gaya hai." 

55 Pariyojnao Per Rok Ki Yachika Thi: Tribunal ne yeh aadesh Amit Kumar ki ore se adhivakta Gorav Kumar Bansal dwara dakhi yachika per diya hai. Adhivakta Bansal ne kanoon ki andekhi kar pakshi vihar ke 10 km ke dayere me chal rahe 55 awasiye aur vyavsayik pariyojnao ke nirman karyo per rok lagane ki mang ki hai.

Friday, August 16, 2013

Noida Me 50 Se Jyada Builders Ke Project Pe Talwar - Project pe Khatra Badha

Authority Ne Kasa Shikanja Noida Me 50 Se Jayada Project Khatare Me

Noida: Okhla Bird Century se 10 Km dayere me bina inquirment clearence nirman karya roke jane ke NGT ke aadesh per yamuna kinare chal rahe project ki file authority phir se kholegi.

Adhikarik Sutro ke mutabik, Noida ke development area ka kul dayera lagbhag 20 se 25 Km ke beech ka hai. Aise me Bird Century se 10 Km ko aadhar banaya gaya hai to nischit roop se 50 se jyaada projects ki nigrani karni hogi. esse pehle bhi noida authority ne aise sabhi projects ki janch ki thi, jo yamuna ke kinare ban rahe hai.

En sabhi me jyadatar se baad me janch ke baad aise sabhi upaay kiye jo NGT ki sharto me aate the, Eske baad jyadatar ko clearence mil gaya tha. Lekkin kai project abhi bhi janch se dayere me aa sakte hai. OSD Manoj Rai ne bataya ki authority saghan janch karayegi, tab apna jawab dakhil karegi.


Sutro ka manna hai ki Jin projecto pe abhi nirman shuru nahi hue hai ub buildero ko dikkat ka saamna karna pad sakta hai.

Wednesday, August 14, 2013

Noida Extension Ke Kisano Ki Yachika Per Authority Ko Notice

Noida Extension Ki Authority Ko Kisano Ki Yachika Per Notice

Supreem Court: Ne Noida Extension ke gaon ke teen kisano ki yachika per Noida Authority ko notice jari kia hai. court ne ek kisan ke mamle me kaha ki yadi uski zameen ka kabja authority ne nahi liya hai to use per kabja na kiya jaye. Shesh do kisano ki aisi arzi court ne khariz kar di.


Justice RM Lodha ki adhyakshta wali khandpeeth ne somwat (Monday) ko yeh notice kisan Shrichand, Sunita Gupta aur Ajit Singh ki vishesh anumati yachikaon per dia. Court ne en yachikao ko ese mamle ki anya yachikaon ke sath nathi karwa dia. Authority ki ore se vakeel ravinder kumar pesh hue unhone kaha ki Noida extension ki poori bhumi per authority ka kabja hai aur kisano ka yeh kahna galat hai ki bhumi khali padi hai. Noida extension ke ese mamle me 1000 se jyada kisan hai, jinme se saikado supreem court me yachika dayar kar cuke hai. Unka kehna hai ki unhe unki zameen wapas ki jaye.

Kya Hai Mamla

Allahabad Highcourt ne 20 October 2010ki ek adesh dekar Noida Extension ke gaonke kisano ki zameen lautane ki yachika khariz kar di thi. High court ne kaha tha ki Noida Extension ka kafi vikash ho chuka hai aise me kisano ki bhumi lautana sambhav nahi hai. Eske evaj me ucch court ne unhe muawja badhakar lagbhag doguna karne tatha 10% (feesadi) bhumi dene ka aadesh dia tha. Anek kisano ne ese aadesh ko supreem court me chunauti di hai jis per authority ko notice jari kiye ja rahe hai.

Categories