Kaha per Nivesh Kare: Zamin Ya Flat
New Delhi: T.Sridhar (badala hua naam) ne 1993 me Bangalore ke bahar 40 feet ke 4 plot kul 1.7 lac me kharede the. Ye Plot sahar se bahar Bangalore-Madras highway per the. Ab sahar ke badhne ke sath ye plot usse chu rahe hai. enke paas kafi development bhi ho raha hai. en 4 plot ki value abhi 1.2 corror rs ho gai hai, jo 20 saal me 20 saal me 23.72% ka compound annual return hai.
Halanki, market ki mojuda halat ko dekhte hue yeh sunne me acha lag sakta hai, lekin ese avishvasniya nahi kaha ja sakta. Aap bhi zameen me invest kar uuncha return hasil kar sakte hai. Aapko eske liye shahar se bahar jana pad sakta hai aur eske liye badi rakam ki jaroorat bhi pad sakti hai. agar aap dekhbhal kar jaga chune aur kuch saal tak sanyam rakhe, to aap badhte shahrikaran ki wajah se aise return kama sakte hai.
Plot Uncha Return Dete Hai
Jab retail investors real estate me paisa lagana chahte hai, to unhe plot ya apartment per dhyan dena chahiye. Espert ka kehna hai ki plot me invest karna behtar rehta hai, kyonki esme rate of return jyada rehne ki sambhawna hoti hai. Jons Lang Lsaal India ke managing director (Land Servises) Mayank Saksena ne kaha, 'jab aap plot per construction karte hai, to real estate ke 2 component honge. enme se ek zameen ki keemat badhni jari rahegi aur doosari building ki value samay ke sath kam hoti jayegi.'
Valuation tay karte samay building ki quality, space planning aur mentainence ki quality dekhi jati hai. jyadatar mamlo me khali plot return ke lihaz se behtar hote hai.
Kushman and Wekfield India ke Executive director Manish Aggrawal ne bataya ki demand-supply ki halat bhi appartment ke mukable plot me jyada apreciation ki wajah hoti hai unka kehna tha, 'supply kam se plot ki keemat jyada badhti hai. Maan lejiye ki ek developer noida me 10 ekad zameen khareedta hai. floor space index (FSI) 2.7 hone se wah 27 ekad ya 11 lac warg foot area develop kar sakta hai. Agar har apartment kareeb 1,500 warg foot ka hai, to wah use zameen per kareeb 800 flat bana payega.
Agar use kewal plot bechne ho, to kya hoga? Ek ekad 4,047 warg meter ke barabar hota hai. Esme se wah kewal aadhe ka estemal kar sakega aur baki infrastucture, green area aur anya suvidhay devlop kar sakega aur 10 ekad per 80 plot honge. ese tarah se zameen per appartment aur plot ki supply me 10 guna ka antar hoga.
Abhi bhi Uttar Bharat me log Independent house me rehna pasand karte hai. ese wajah se yaha plot ki keemat adhik hai. Pachim bharat me flat ka chalan teji se badha hai. Aap uttar bharat me apne plot ki keemat ko agle 4.5 saal me doguna hote hue dekh sakte hai. Yeh ek tarah se salana 14% - 18% ka compound interest hota hai. phir, ivestors ke liye apartment ki tulna me plot bechna aasan hota hai. Appartment ko logtabhi khareedate hai, jab wah unki jaroorato aur pasand ke anusaar hota hai. plot ke mamle me location, direction aur dimension mayne rakhte hai.