loading...
Showing posts with label Property News. Show all posts
Showing posts with label Property News. Show all posts

Saturday, November 9, 2013

Uttranchal Ho Sakta Hai Aapka Agla Thikana

Deheradoon Se Kashipur Pirumdara Zimkorbett



Prakrity premi Uttranchal me apna chota-sa ashiyana banane ke liye aatur hai to developer bhi ese akarshan ko in dino nay sere se bunane me jute hai. Yahi wajah bhi hai ki eleke me hui shrati poorti ke baad ab Developer yaha apne project ki launching me lag gay hai. Chahe baat Rudraprayad ki ho yaphir Deheradoon, Haridwar, Ranikhet, Ram Ganga, Kashipur, ya phir aaspas ke nay projects banane ki ho. Developers ka man-na hai ki jin khamiyo ki wajah se tabahi hui thi, ab unhe door karke projects viksit kiye jayenge.

Ramganga ke sameep rising vally ke naam se bhi haal me affordable luxury cottage banane wale developer harvinder mathur ne kaha ki badh aane ke baad ab yaha nay project sabhi bato ko dhyan me rakhte hue taiyar kiye ja rahe hai. chunki prakrity ki god me rehne ke liye shahar ki bhag-daud bhari zindagi me badsar karne wale logo ke bheetar hamesha se akarshan raha hai. aise me yaha kai Developer phir se un akarshano ko poora karne me lag gaye hai. Yaha tak ki rising vally bhi ese maksad aur saare jaroori upayo ko dhyan me rakhkar taiyar ki ja rahi hai.

Prolife Estate Developer ne bhi Dehradoon (Bhauwala), Kashipur aur Ram Nagar ke Jim Corbete se mahaj 9 min ki doori per Freehol plots ko behetareen tareeke se develop karke behad sasti keemato per launch kiya hai, Deheradoon me bhi enhone Bhauwala jaise sundar aur teji se education hub me tabdeel hone wale shetra me bhi bade hi adhunik dhang se Freehold plots ho develop karke sasti daro pe launch kia hai jo logo ki pehli pasand bante ja rahe hai. Aur bhavishy me isni acchi keemat aut development ke maddenazar ye ek badhi sauda ho sakta hai.


Expertize India Developer yaha lease return ki guaranty ke saath cottage ki shreni launch kar raha hai. Jim corbet park se kareeb 10 Km ki doori per yeh 40 cotage bana rha hai. esi prakar se kai any Develpoer bhi aise project ki launching me lage hai.

Noida niwasi ravi ke anusaar jis prakar se shar me har samay bhag-daud rehti hai, aiseme pariwar ke saath sukoon ke pal betane ke liye es prakar ke sthalo per banne wale project hamesh se logo ko akarshit karte rahe hai.

Wednesday, November 6, 2013

Dwarka Expressway Me Property Ki Keemat 5 Saal Me 3 Guni Badhi

Property Rate Increase Tripled in Dwarka Expressway within 5 Years

New Delhi: Gurgaon me Dwarka Expressway per pichle 5 warsho (Years) me realty prices lagbhag 3 guna badhkar 7,000 rs. prati warg foot per pahuch gayi hai, Lekin Highway cpnstruction ki dheemi raftaar aur kaanoon mamlo se jude mudde ese corridor ki growth me badi rukawat hai.


Property consultant DTZ ne apni report investment hotspots in Delhi NCR me bataya hai ki Dwarka Expressway per average residential capital value 2009 me 2,426 Rs prati warg foot se badhkar 2013 me 7,000 Rs. Pahuch Gai. 18 Km lambe lane ka Dwarka Expressway ko Northen peripheral road bhi kaha jata hai. Yeh Dwarka se Gurgaon ko jdne wale 8 lane ka Expressway hai. Ese Indiabulls Group public private-partnership (PPP) ke tahat develop kar raha hai.

DTZ ka kehna hai ki Dwatka ka Expressway per ghar kharedne ki yojnabana rahe logo aur investors ke liye naya hotspot hai. Rajghani aur airport se nazdeeki ese gharuheda, Bhiwadi, Yamuna Expressway aur Noida-Greater Noida Expressway jaisi anya locations se behetar banati hai. Halanki, Expressway Construction ki dheemi raftar ke saath land activigishan se jude mamlo ki wajah se eska 4 km ka strech koridoor ki growth me badi rukawat bana hua hai. BPTP, puri construction, Mahindra Lifespace, Raheja Shobha Housing, Assotech, Paras aur Ramprasth jaisi badi reallty companies ne Dwarka Expressway per mid se premium segment me 50 se jyada projects launch kiye hai.

Saturday, September 21, 2013

Investors Ke Default Karne Se Aur Saste Honge Flats

Ravi Teja Sharma New Delhi: Short Term Investers builders ko paisa nahi de ra rahe hai. Esse developers ki musibat badh gai hai. Ese tarah ke investors aksar kai property khareedte hai aur 6-8 mahine me unnhe fayede per bech dete hai.





Ab badi sankhya me ye log builders se refund ki mang kar rahe hai. kuch mamlo me to be court bhi gay hai. yeh jankari kuch real estate consultants ne di hai. National real estate developers coucile ke president Naveen Raheja ne bataya, 'Hal ke mahino me sort term investors ki ore se defailt ke mamle badhe hai.'

Peechle kuch quarters me desh ke real estate market me susti badhi hai. housing segment per eska kuch jyada hi asar hua hai. Builder in deno sales badhane ke liye bamper discount de rahe hai. Resale market me bhi home buyers entezar karne ke liye taiyar hai. Esse buiders ke paas anbike gharo ki sankhya to badh rahi hai. daam bhi kam ho rahe hai. eske saath un logo ki sankhya bhi kam ho gai hai, Jinhe short term buyers kahte hai.

Property Broking firm indiahomes ke manager director samarjeet singh ne bataya, ' jab investors se paisa nahi milta hai, tab builder ka cash kam ho jata hai. Booking ka cancel hona to builder ke liye sabse kharab baat hoti hai. 'Property consultants ka kehna hai ki dwarka-manesar expressway per short-term investors se 50-60 feesadi nay appartments khareede the. Noida-Greater Noida Expressway per kareeb 33 feesadi nay gharo ki bookinh bhi unhone karwai thi.




Jaha kuch investors economic slowdown se pehle hi investment se nikal gaye the, wahi enme fasane wale logo ki sankhya kaafi badhi hai. Jin logo ne karz lekar pichle 1 saal me ghar kjareede hai, unme se kai aaj ghate me bhi ghar bechne ko taiyaar hai, kuch to 30 feesadi discount de rahe hai.

Jons Lang Lasaal India ke CEP (Operations) Santosh Kumar ne bataya, ' Short term investors ko builders ko hjuruati fund milta tha. Kai builder unhe kam daam per ghar bechte the. Aksar unhe approval se pehle hi project beche jate the.' Short Term investors ke default karne se builders ki halat aur kharab hogi, jo pehle hi inventery badhane se smushkil me hai. esse aage chalkar property ki keemat aur kam ho sakti hai.

Wednesday, September 18, 2013

49 Pariyojnao Per Khatra

National Green Tribunal Ne Noida Pradhikaran Ko Diye Karyawahi Ke Nirdesh

Okhla Pakshi vihar ke aaspaas sarjano vyavsayik aur awasiye pariyojnao ke nirman karya per vanya jeev kanoon ki andekhi ki maar pad sakti hai. Pakshi vihar ke 10 Km. ke dayre me mojood 49 pariyojnao ke liye paryavaran sambandhi manjoori to hai, lekin buildero ne nirman karya shuru karne se pehle rastriya vanya-jeev board shuru karne se pehle rastriya vanya-jeev board ki manjoori nahi li. In aaropo per Noida Pradhikaran dwara chuppi sadhe jane ko National Green Tribunal ne gambhirta se liya hai.

DAM aur SSP Ko Karyawahi Ke Nirdesh: Tribunal ke sadasya P.Jyotirmani ki adhyakshta wali peeth ne Noida ke Jila-adhikari aur varisth police adhikshak ko es mamle me vanya jeev kanoon ki andekhi karne wale buildero ke khilaf karyawahi karne ka nirdesh diya hai. Yeh karywahi nirman karya per rok se lekar pariyojna ko band karne ki bhi ho sakti hai. Eske saath hi peeth ne pradhikaran ko vistrat halafnama dakhil karne ko kaha hai ki kin-kin pariyojnao ke paas rastriya vanya jeev board ki manjoori hai. Peeth ne ese sambandh me spastikaran manga hai ki bina manjoori ke nirman karya kaise shuru hua. Tribunal ne yeh adesh tab diya jab pradhikaran se halafnama dakhil kar pakshi vihar ke 10 km. ke dayere me mojood pariyojnao ke paas paryavaran sambandhi manjoori hone ki jankari di, Lekin yeh nahi bataya ki kitne buildero ne wild life ki manjoori li hai.


Pradhikaran Ne Kya Kaha Halafname Me

"Pradhikaran Ne kaha ki Yachikarta ne jin 55 pariyojnao per arop lagaya hai unme se 6 pariyojnay pakshi vihar ke 10 Km. ke dayere se bahar hai, Jabki baaki 49 me se 15 pariyojnao ka kaam poora ho gaya hai. aur nirman poora hone ka pramad patra bhi jaari kar diya gaya hai. Kuch to chodkar shesh pariyojna per bhi kaam shuru o gaya hai." 

55 Pariyojnao Per Rok Ki Yachika Thi: Tribunal ne yeh aadesh Amit Kumar ki ore se adhivakta Gorav Kumar Bansal dwara dakhi yachika per diya hai. Adhivakta Bansal ne kanoon ki andekhi kar pakshi vihar ke 10 km ke dayere me chal rahe 55 awasiye aur vyavsayik pariyojnao ke nirman karyo per rok lagane ki mang ki hai.

Friday, August 30, 2013

Delhi- Mumbai Property Down Aur 22 Shahro Me Bhi Keemato Me Bhari Girawat Ke Aasaar

Takreeban 22 Shehro Ki Property me Bhari Girawat Ke Aasaar

New Delhi: Delhi aur Mumbai sahit pramukh 22 sahro me April-June ki awadhi me makaano ki Keemat me girawat ka rukh darj kia gaya hai. Rastriya awas bank (NHB) ne Mangalwar ko yeh jankari di.

NBH Resideks ke mutabik, 26 me se 22 shahro me makano ki keemato me girawat ka rukh darj kia gaya hai. Samikshadheen timahi ke dauran mumbai me awasiy ekaiyo ki keemat me 0.45% aut Ludhiyana me 5.99 pratishat girawat darj ki gai. eske ulat, dehradoon me makano ki keemat 0.5% aur ludhiyana me 5.99% girawat darj ki gai hai. Eske ulat, Dehradoon me makano ki keemat 0.5% aur nagpur me 3.07% ki badhotri darj ki gai hai. 
 

Makan ki keemat me girawat darj karne wale sahro me Indore me 5.64%, Vijaywada me 5.43%, haydrabad me 5.44%, kolkata me 4.06% aur Guahati me 3.92% shamil hai. Enke alawa Delhi me makano ki keemat me 1.49% ki girawat darj ki gai.

Wednesday, August 28, 2013

Rental Growth Me Dwarka, Lajpat Aur Defence Colony Top Per

Delhi Rental Rates On Top

New Delhi: Ke Rehayashi Elako me rental growth the lihaj se dwarka sector 29, Lajpat Nagar aur Defence Colony ne sabse jyada teji dekhai hai. Pechle 4 saal se 6 mahine me en elako me gharo ka kiraya 5-8 feesadi tak badha hai. Dwarka sector 3, 6, 11, 12, 14, 22, 23, Vasundhra Enclave, Indraprasth Extension, Patpatganj, Pachim Vihar, Jaise elako me rental me koi khas badlav nahi aya hai, Jabki Kailash Colony, Kalkaji Extension me rental girawat dekhne ko mili hai. Property consultants aur research farmo ka kehna hai ki Metro ki prastavit lines aur anya infra projects ke chalte sthaniya property ki capital value to badh rahi hai, lekin rental gir raha hai. Aise elako me aage bhi rental per dabav bana rahega. Jankaro ka yeh bhi kehna hai ki agale 6 mahine tak south aur west delhi ke residential elako me rental per sabse jyada dabaw rahega.



Real Estate Portal Magic-Brics-Dot-Com ki head (content end research) Jayshri Kurup ne haliya sarve aur taja research data ke hawale se bataya 'Delhi ke jin elako me road linkez, modern transport, retailing behetar hui hai ya residential quality badhne ki sambhawana hai, waha rehayshi kiraye badh rahe hai. Pechle 3-4 mahino me rental value ke lihaj se Dwarka, Saket aur Mayur Vihar Phas-1 top per rahe hai. Eske baad Vasant Kunj, Malviya Nagar, Safdarganj Enclave, Hauz Khas, Sareta Vihar, Janakpuri aur Greater Kailash ka number aata hai. 

Agar growth ki baat kare to mila-jula trend nazar aata hai. 'Unhone bataya ki April se ab tak Dwarka Sector-9 me Rental growth sabse jyada 8%, Lajpat Nagar 1 me 6% aur Defence Colony me 5% badha hai. Yeh Badlav January se March Timahi ke mukable darj kia gaya hai. Waha Dwarka sector 3, 6, 11, 12, 14, 22, 23, Vasundhra Enclave, Indraprasth Estension, Patpadganj, Pachim Vihar jaise Elako me rental stable hai. Kailsh colony me rental 8 fesadi gira hai, Jabki Kalkaji Extension me 6 fesadi aur Malviy Nagar, Kalkaji me 4 fesadi ki giravat darj ki gai hai.

Portal k iek taja report me kaha gaya hai ki jin elako me metro, road corridore, flyover ya doosare tarah ke infra projects prastavit hai, waha kiraya ghat raha hai, jabki capital value badh rahi hai, logo me dar hai ki khudai, todfod aur jaam se living quality bigadegi, filhal Malviya Nagarme average rental value 22 rs prati varg foot monthly hai. East Of Kailash aur Chitranjan park me 27 rs., Dwarka ( sabhi sectors ka ausat) 12Rs. IP Extension me 17rs. Vasundhra Enclave me 18 Rs. aur Pachim Vihar me 11 Rs darj ki gai hai.

 

Sidhi Vinayak Basera Assosiate ke ravi kumar kehte hai, 'kai Posh aur mahange elako ke pas bheed badhne ke chalte kiraydar chitakne lage hai. Okhla industrial area ke aaspas aise trend dikhe hai, jabki kuch colloniyo me parking ki dikkat se rental me girawat arahi hai. 'Mayur Vihar phes me-1 aur 2 ke property dealers ka kehna hai ki Noida ke kareeb hone se multinational companies me kaam karne wale high paying professionals ka rujhan udhar ho raha hai, lekin be modern fixers and fittings chahte hai, jabki yaha ke jyadatar flat purane patern per bane hai. Esse en elako ko kai ache kiraydar nahi mil pa rahe hai.

Propery Consullants ke mutabik Delhi Sarkar aur Central Skeemo ke tahat agami mahino me South, South-West aur West me sabse jyada infra projects prastavit hai. chunavo ke maddenazar kai elako me construction chal bhi raha hai. Eske chalte agali 2-3 timahiyo tak residential rental per dabaw rahega aur 10% tak girawat asakti hai.  

 



Monday, August 19, 2013

Noida Resale Property Market Me Jordar Teji

Noida Property me Jabardash Uchaal

Noida: Metro ke Vistar aur Unchi Keemat wale Premium ki wajah se Noida ke resale property markets me tej uchal aya hai. Khastaur per sector 74, 75, 76, 78 aur 79 ke property market me acchi teji aai hai. En locations per resale property ki keemat kareeb 15% tak badhi hai. Halanki enki asal keemat abhi chal rahe high-end projects me gharo ke daam se kareeb 10 se 15% kam hai.

Essotech ke MD Sanjeev Srivastav ke mutabik, Noida me 74, 78 aur 79 jaise kuch khas sector resale property hub ban gaye hai. Moujood projects poore hone me deri aur pipeline me moujood unchi keemat wale projects ki wajah se moujood residential property ke daam badh rahe hai. Shrivastav batate hai ki Noida sector 75, 76 aur 77 ke bhi resale estate property market me teji aa rahi hai. Pechle 6 mahine me yaha daam 10 se 15% tak badh chuke hai. eski wajah noida me proposed metro link se enki kareebi hai. eskake alawa ye sector NH-24 aur Greater Noida west se achi tarah jude hue hai.



sixmybrix.com ke director mujaffer Jiya ke mutabik, hakikat se sector 74 se 79 me sell ke liye mojood units envest dwara pre-occupied hai. Enhone en units ko launch ke waqt 2,500 rs se 2,600 rs prati warg foot ke daam per book kiya tha. aaj en flats ke daam 5,000 rs prati warg se bhi upert chale gaye hai. Aise me investor profit book karne ke mood me hai. esi wajah se pechle kuch mahine se resale market me teji aai hai. Jiya kehte hai ki sector 74 se 79 me Meghdootam, Sports City, jaise High-End projects, behtar infrastructure aur badhiya connectivity bhi resale property market me teji paida karne ki wajaho se hai.


Jiya kehte hai, Sector 74 se sector 79 tak sabhi Noida expressway se behtar tareeke se connected hai. Eske allawa sector 79 ke nazdeek high-End projects ke daam 8,000 rs prati warg foot per bane hue hai. aur badi units mojood hai. buyers ko ye flat 1 se1.5 karod rs ke bech pad rahe hai. Halanki, sector 74 se 79 me 2 BHK flats bhi hai jinki keemat 50 lac rs se 60 lac rs ke bech hai. Jiya ke mutabik, naye projects me 2 BKH flats nahi hone se bhi Noida ke sector 74 se 79 me resale property ke daam badh rahe hai. Realty launch ke MD shiwang dhaka ke mutabik, Hakikat yeh hai ki Noida ke sector 74 se79 me mojood resale property nai hai. Ye aisi units hai jo ki 3 saal pehle lounch hui thi aur ab enke projects jald poore hone wale hai.





Friday, August 16, 2013

Noida Me 50 Se Jyada Builders Ke Project Pe Talwar - Project pe Khatra Badha

Authority Ne Kasa Shikanja Noida Me 50 Se Jayada Project Khatare Me

Noida: Okhla Bird Century se 10 Km dayere me bina inquirment clearence nirman karya roke jane ke NGT ke aadesh per yamuna kinare chal rahe project ki file authority phir se kholegi.

Adhikarik Sutro ke mutabik, Noida ke development area ka kul dayera lagbhag 20 se 25 Km ke beech ka hai. Aise me Bird Century se 10 Km ko aadhar banaya gaya hai to nischit roop se 50 se jyaada projects ki nigrani karni hogi. esse pehle bhi noida authority ne aise sabhi projects ki janch ki thi, jo yamuna ke kinare ban rahe hai.

En sabhi me jyadatar se baad me janch ke baad aise sabhi upaay kiye jo NGT ki sharto me aate the, Eske baad jyadatar ko clearence mil gaya tha. Lekkin kai project abhi bhi janch se dayere me aa sakte hai. OSD Manoj Rai ne bataya ki authority saghan janch karayegi, tab apna jawab dakhil karegi.


Sutro ka manna hai ki Jin projecto pe abhi nirman shuru nahi hue hai ub buildero ko dikkat ka saamna karna pad sakta hai.

Wednesday, August 14, 2013

Noida Extension Ke Kisano Ki Yachika Per Authority Ko Notice

Noida Extension Ki Authority Ko Kisano Ki Yachika Per Notice

Supreem Court: Ne Noida Extension ke gaon ke teen kisano ki yachika per Noida Authority ko notice jari kia hai. court ne ek kisan ke mamle me kaha ki yadi uski zameen ka kabja authority ne nahi liya hai to use per kabja na kiya jaye. Shesh do kisano ki aisi arzi court ne khariz kar di.


Justice RM Lodha ki adhyakshta wali khandpeeth ne somwat (Monday) ko yeh notice kisan Shrichand, Sunita Gupta aur Ajit Singh ki vishesh anumati yachikaon per dia. Court ne en yachikao ko ese mamle ki anya yachikaon ke sath nathi karwa dia. Authority ki ore se vakeel ravinder kumar pesh hue unhone kaha ki Noida extension ki poori bhumi per authority ka kabja hai aur kisano ka yeh kahna galat hai ki bhumi khali padi hai. Noida extension ke ese mamle me 1000 se jyada kisan hai, jinme se saikado supreem court me yachika dayar kar cuke hai. Unka kehna hai ki unhe unki zameen wapas ki jaye.

Kya Hai Mamla

Allahabad Highcourt ne 20 October 2010ki ek adesh dekar Noida Extension ke gaonke kisano ki zameen lautane ki yachika khariz kar di thi. High court ne kaha tha ki Noida Extension ka kafi vikash ho chuka hai aise me kisano ki bhumi lautana sambhav nahi hai. Eske evaj me ucch court ne unhe muawja badhakar lagbhag doguna karne tatha 10% (feesadi) bhumi dene ka aadesh dia tha. Anek kisano ne ese aadesh ko supreem court me chunauti di hai jis per authority ko notice jari kiye ja rahe hai.

Saturday, August 10, 2013

Duniya Me Reality Ki Keemato Me Teji me Delhi Sabse Aage

Delhi is Number One in Property Value on The Earth

New Delhi: Pichle saal me bharat me real estate ki keemato me sabse tez badhotri hui hai. Duniya bhar se real estate data collect karne wali global property guide ke mutabik, Delhi me property ki keemato me 43 anya desho ke shahro ke mukable kareeb 60 feesadi ki sabse jyada teji aai hai.

Dilchasp baat yeh hai ki ese data me bharat me kewal delhi ki jaankari di gai hai, jabki bharat ke shahro ke official data se pata chalta hai ki ese dauran Jaipur me residential property ke daam me sabse jyada 67 feesadi ki vradhi hui hai. Delhi me pechle 2 saal me property ke daam me 60 feesadi ki badhotri brazil ke Sao Pawlo se kareeb 20% jyada hai, Jo Duniya ka sabse teji se badhne wala property market hai.

2011 ke pehle quarter se 2013 ke pehle quarter tak sao pawlo me real estate ke daam 43% badhe hai. Duniya me teesre sabse teji se badhne wale hongcong me market me esi dauran property ke daam 33% ki badhotri hui hai. Dubai bhi 2000 ki shuruat me property boble footne ke baad ab recovery ki ore badhta dekh raha hai. Pechle 2 saal me 43 desho me se kewal 12 me property prices me double-digit growth hui hai.

Enme se Jyadatar Emerging Economy hai. Turki, Estonia, Philipince, Narway, Iceland, Indoneshia, South Africa, aur New Zealand me property ke daam me 10% se jyada badhe hai.

Data se pata chalta hai ki duniya ke sabse bade real estate market me economy ki recovery ke sath property ke daam chadh rahe hai. America me 2012 ke pehle ke quarter se 2013 ke pehle qaurter tak prices 9% badhe hai. Esse pehle enme girawat aai thi. Ese dauran bejing me bhi reality prices me 8% ki growth darj ki gai hai. Bharat me lagbhag sabhi saharo me property prices me teji dekhi gai hai.

National housing bank ke property prices index resideks se pata chalta hai ki desh ke 15 bade shehro me se kewal 2 me 2007 ke baad se property prices gire hai. 2007 index ka Eare hai.

Friday, August 9, 2013

Ghaziabad Me Circle Rate 20% Tak Badha

Ghaziabad: Me Ghar ya zameen khareedna ab aur mehanga ho gaya hai. Jilaadhikari ne 1 august se prabhavi hone wali daro ko aproove kar dia hai. Gaziabad me circile rate ko 20% tak badhaya gaya hai. Circle rate kisi khaas area ya elake me kisi bhi property ko khareedne ya bechne ke liye sabse minimum ya base rate hota hai. Ese rate ki wajah se buyers aur sellers property deal ki value ghatakar kam stamp ka bhugtan nai kar pate hai.

Ghaziabad Jila prashan ke adhikariyo ke anusar, Rajnagar district center (RDC) me property khareedna ya bechna jile me sabse mahanga ho gaya hai. yaha ka circle rate 1.20 lac rupyee prati varg meter se badhakar 1.40 lac rupyee ho gaya hai. Adhikariyo ne bataya ki circle rate ke jariye kisi elake ki property ki value tay ki jati hai.
Indrapuram me property kharedne ke liye buyers ko 60,000 rupyee varg meter ke bhugtan karna hoga, eske pehle buyers ko 50,000 rupyee prati varg meter ka daam chukana pad raha tha. buyers ko rajnagar me 46,000 rupyee prati varg meter aur koshambi me 65,000 rupyee, gandhi nagar me 40,000 rs. aur kavi nagar area me 38,000 rs prati varg meter ki dar se bhugtan karna hoga.


Wednesday, July 24, 2013

GPA -Genral Power Of Attorney ke Jariye Owner Phir Se Bana Sakenge Property

Genral Power of Attorney Ke Estemal Se Dubara Property Banay Ab

New Delhi: Delhi Sarkar ne vidhansabha chunav se kuch mahine pehle janral power of attorney (GPA) ke Jariye property ki rajistry ko phir se manjoory dedi hai. Esse real eastate market me teji aane ki ummid hai. owner clear cell deed nahi hone se GPA ke jariye property sell karte the.
April 2012 me revenue department ne supreem court ke ek faisle ke adhar per sabhi GPA based property transaction per rok laga de thi. 2012 ke order ke pehle Delhi me kareeb 20 fesadi rajistry GPA transfer ke jariye hoti thi.

Delhi Sarkar ne 27 april 2012 ko order me sab-ragistrar offic, DDA aur NDMC ko october 2011 ke suprem vourt ke order ko follow karne ko kaha tha. Esme GPA ke jariye sell deed ka ragistration karne se mana kiya gaya tha. ab ragistrar property owner kisi bhi vyakti ke naam GPA kar sakta hai. Owner kisi bhi shaksh ko property manage karne ya use owner ki tarah se property transfer karne ka adhikar se sakta hai. halanki, GPA transaction title ko transfer karne ke liye mutation nahi kia ja sakta hai.

Tuesday, July 23, 2013

NCR Ka Dayera Aur Badha

Rastriya Rajdhani shetra ka vistaar karte hue NCR planning board ne somwar (Monday) ko Rajasthan ke Bharapur, Bhiwani tatha Hariyana ke Mahendragarh ko NCR me shamil karne ke prastav ko manjoori de di hai. Ab Uttar Pradesh ke Mathura, Hatras aur Aligarh jilo ko NCR me shamil karne ki baari hai. NCR planning board jald hi UP ke en teeno jilo ko bhi NCR me shamil kar sakta hai.

NCR planning board ki baithak ke baad shahri vikaas mantri kamalnath ne kaha ki NCR me 3 jeelo Bharatpur, Bhiwani aur Mahendragarh ko shamil kiya gaya hai. Jabki Jind aur Karnaal ko NCR me shamil karne ke samband me Hariyana sarkaar alag se ek prastaav bhejegi. Enn 3 Jeelo ke shamil hone ke baad NCR ka shetraphal 34,144 warg kilometer se badhkar 46,249 warg kilometer ho jayega.

Baithak me moujood ek sheersh adhikari ne kaha ki UP ke 3 jilo ko Shamil karne ka vichar bhi NCR planning board ke samakhsa hai. UP sarkar ki ore se aupcharik prastaav liya jayega. Adhikari ne kaha ki ab tak NCR me sirf ve jile shamil the jo Delhi se 100 Km ke dayere me the. Ab yeh daayera badhakar 150 Km ker diya gaya hai. Esliye Hathras, Aligarh aur Mathura bhi ab eske dayere me  aa jayenge.

Gourtalab hai ki December 2012 me UP sarkar ne kendra ko parta likhkar enn jeelo ko NCR me shamil karne ka aagrah kiya tha. NCR planning board ne Jaipur ko Counter-Magnet area ka darja dene sambandhi Rajasthan sarkar ke prastaav ko bhi manjoori de di hai.

Counter- Magnet area Delhi aane wale prawasiyo ko apni ore kheechane ka kaam karega. Board ne UP ki upshetriya yojna ko bhi manjoori de di hai. Kamalnaath ne kaha ki NCR me sharikaran 62 % ho jayegi. Eske alawa NCR ki prati vyakti aaye bhi desh me sarvadhik hai.



Ragistry Sang Lagani Hogi Sampatti ki Satellite Picture

Ab Ragistry karate Samay Stamp Chori Aur Vibhag Ko Gumrah Nahi Kar Sakenge Kreta Aur Vikreta

Greater Noida: Ab sampatti ki ragistry karwate waqt uski satellite picture bhi deed (Bainama) ke sath lagani hogi. Esse sab ragistrar satellite picture dekhkar sampatti ki location jaan sakenge.
Darasal prashan aur shashan lagatar badh rahe stamp chori ke mamle se pareshan hai. Property dealer aur kreta-vikreta adhikariyo ko gumrah karke galat dhang se ragistry karwa lete hai.


Uttar Pradesh sarkar ka stamp ewam ragistry vibhag online ho gaya hai. Pradesh bhar ke sa ragistrar karyalayo me internet aur server linkup ki suvidhaye hai. sampattiyo ka byora online karne ke baad ab sarkar ragistry prakriya ko asan aur pardashi bana rahi hai. Essi prakriya ke tahat shashan ne aadesh jari kiya hai ki sab ragistrar karyalayo me jab koi vyakti ragistry karwane ke liye ayega to usse sampatti ki satellite picture bhi li jayegi aur location poochi jayegi. eske jariye satellite picture Google Earth se download kiye ja sakenge.
Yeh picture bainama ke sath lagai jayegi. ese baare me sahayak mahanirikshak (stamp) S.N. Rai ne bataya ki Noida aur Greater Noida sa ragistrar karyalayo me yeh vyastha laagu ho gai hai. Tehseel star per sa ragistrar karyalayo ko bhi amal karne ko kaha gaya hai. esse stamp ki chori rukegi.

Adalato Me Mukadmo Ka Ambaar: Jile me har saal ausatan 2 lac ragistry hoti hai. Adhikariyo ka kehna hai ki agar 5 feesadi bhi stamp chori ke mamle ho to kareeb 10,000 stamp chori ke mamle samne aate hai. aise logo se stamp vasooli karne ke liye vibhag ko mukadma ladna padta hai.


Thursday, July 11, 2013

Indutry ki Jebh Se Jayega Kisano Ko Muawja

Ab Industries ko Apne Paas se Kisano ko Muawaja dena hoga


New Delhi: Greater Noida authority ne court ke aadesh per kisano ko adhikar muawja dene ke liye paisa industry se wasoolne ka faisla kia hai. Eske liye Greater Noida ki factories ko notice jari ker 550 Rupaye prati warg meter ke hisab se compensation charge jama karne ko kaha gaya hai.

Esse Greater Noida aur Noida ke udhmiyo me hadkamp macha hai. aur unhone ese tuglaki farman batate hue court jaane ki dhamki di hai. Wahi, doosri ore authority ka kehna hai ki etni badi rakam jutane ke liye uske paas income ka koi jariya nahi hai aur udyamiyo ko yeh rakam chukani hi  padegi.
Greater Noida me notice pane wale 1500 se jyada udyamiyo ko pehli kist 1 august ko jama karane ko kaha gaya hai. Noida udyami association ne budhwar ko authority se apna virodh jatate hue kaha ki yeh mamla authority aur kisano ke beech ka hai, aise me udyamiyo ki jebh se muawja chukane ka koi aadhar nahi banta.

Association ke president Vipin Malhan ne kaha, 'Vasooli ke notice se poori industy me hadkamp hai hum eski purjor virodh karenge. Authority ne high court ke 21 October 2011 ke aadesh ka hawala dekar kisano ko 64.7 feesadi muawaja dene me apne uper atirikt vittiy bojh ki baat kahi hai. aur Units se 550 Rupaye ke prati warg meter ki dar se rakam chukane ko kaha hai.

Udymiyo ki daleel hai ki 20 saal pehle authority aur industrial alloty ke bech jo bhi leter, leaze deed aut anya dastavejo ka exchange hua, usme kahi bhi aage chalkar koi atirikt rashi wasoolne ki baat nahi hai. Eske alawa sawal yeh bhi uth raha hai ki formula ke aadhar per udyamiyo se prati wrg meteer etna charge kia ja raha hai. khabar likhe jane tak kai anya associations ki ese per baithak ho rahi thi aur jyadatar udyami ese court me challenge ki baat kar rahe the.
Ese bare me pooche jane per greater noida authority ke dipty CEO Manvendra SIngh ne kaha, 'hamare paas income ka koi anya saadhan nahi hai aur authority no profit no lose ke aadar per kaam karti hai. Aakhir hum muawje ki rashi kaha se layenge? court ne hi ese baat ki chut dee hai ki authority load transfer ker sakti hai. 'yeh pooche jane per ki industrial alloties ki lease deed me bhi aage aise charge ka jikra nahi hai, unhone kaha, 'muawaje ka paisa mamla pehli bar samne aaya hai aur yahi wajah hai ki pehli baar hame rakam jutane ka koi viakalpic rasta apnana pad raha hai. udyamiyo ko thoda -thoda bhar to sehna hi padega. 'udhar, Noida ki industries me bhi ese lekar chinta jatai jati rahi. Unito ko aashanka haia ki patern noida authority per unse koi atirikt charge vasool sakti hai.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Tuesday, July 9, 2013

Greater Noida Me Mafia Ne Bech Dali Pradhikaran Ki Zameen

Bhumi Mafia ka Mayajaal Bech dale 400 Plot Greator Noida Pradhikaran Soti Rahi

Greater Noida Vikas Pradhikaran ki Jalpura Gaon me kareeb 100 crore rupaye ki zameen mafia ne bech dali. jabki pradhikaran ke adhikari ankhe moondkar sab dekhte rahe. Yaha pradhikaran ne 7 saal pehle kareeb 30 begha zameen khareedi thi. Lekin pradhikaran ne ese zameen ke rajasw recod me apna naam darj nahi karaya.

Ese ka fayeda uthakar mafia ne colony basa di. ese zameen per kareeb 400 logo ko bhukhand beche gaye hai. yeh khulasa tab hua jab ek kharedaar ne loan lene ke liye bank se sampark kia. Bank ne loan dene se pehle zameen ka barahsaala manga. Kharedar ne jab tehseel se barahsala nkalwaya to use thagi ka pata chala. Darasal usne jis vyakti se zameen kharedi, wah malik nahi tha.

Sameeti Ke Logo Ne Kia Farziwada

Kuch warsho baad sameeti se jude logo ko jab yeh baat maloom hui to unhone farziwada karke yeh zameen plots me bechni shuru kar di. 07 july 2011 ko eska ek hissa sukhbeer aur Baleshwar putragan Bhule niwasi Jalpura ko becha gaya. Zameen bechne ke liye rajistry per samiti ke kathit sachive ka photo lagaya gaya hai.

Esi tarah shesh zameen 09 August 2011 ko lekhraj putra Mangal niwasi Kheda Chouganapur ko bech di gai. ese baar zameen bechne ke liye Anil Singh naamak vyakti ko samiti ka adhikrat vyakti bataya gaya. khas baat yeh hai ki yeh zameen kuch dino ke baad hi colonizaro ne khareed li.

Pradhikaran Ne 2006 Me Khareedi Thi Zameen

Jalpuragaon me vikaas pradhikaran ne karar niyamwali ke tahat saikaro begha zameen kisano se seedhe kharedi hai. Jalpura me sachidanand sahkaari awaas samiti ki 22,285 warg meter zameen esi tarah pradhikaran ne kharedi thi. 15 may 2006 ko ese zameen ki ragistry Dadari sub ragistrar karyalay me pradhikaran ke haq me karwai gai. Pradhikaran ne zameen 360 Rupay prati warg meter ki dar se samiti ko bhugtan bhi kar dia, lekin pradhikaran ne ese zameen ka dakhil kharij apne naam per nahi karaya. esse rajaswa record me zameen samiti ke naam per hi darj rahi.

Colonizers ne bakayda naksha banakar ese zameen oer kareeb 400 logo ko plot beche. dedh saal ke dauran Dadari sab rajistrar karyalay me bane saare plots ki rajistry hui hai. yaha kuch ghar ban chuke hai jabki kuch ki chardiwari karai ja chuki hai.
Farziwada karne wale gayab hai. kareeb 100 crore rupay ke ese ghotale me Dadari tehseel aur pradhikaran ke karmchariyo ki milibhagat rahi hai. majedar baat baat yeh hai ki pradhikaran ki zamen kaha aur koun si hai, yeh land department ko pata hi nahi hai.

"Ese Ghotale ki jach karwai jayegi. Bhumafia per karwahi hogi. eske sath hi pradhikaran ke jimmedar adhikari aur karmchari bhi nahi bakshe jayenge, yeh behad gambhir mamla hai. 
Harsh Kumar Varma, Upper Mukhya Karyalay Adhikari, Greater Noida.
"

Pradhikaran Karmchariyo Ki Milibhagat.

 Pradhikaran ko adhisuchit ya adhigrahit zameen per bhumafia colony basate rehte hai. Pradhikaran ke karmchari sab kuch jante hue bhi chuppi sadhe rehte hai. darasal pradhikaran me aise karmchatiyo ki kami nahi, jinki bhumafia se milibhagat hai. Pradhikaran ke kai adhikariyo ke rishtedar aur parija khud ese dhande me hai. yahi karan hai jiski wajah se bhumafia per karyawahi nahi hoti hai.


For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Saturday, July 6, 2013

RRTS Se Sawaregi Elake ki Surat

Mono Train Aapke Sapno Ki Train Aa Rahi Hai.

Rapid rail shuru hone ke sath hi waqt aapki mutthi me hoga. Bhale hi jebh halki ho, per keemati waqt aapka hoga. aap aasani se Merut, Alwar aur Panipat jaisi jagaho per makaan kharid ker apna awagman asan ker sakte hai. Kya hogi bhavishya iski surat aur logo ke liye kitni mufeed rahegi yeh yojna, yaha se jaane poora vivran.


Rapid Rail Transit Syatem (RRTS) per muhar lagne ke saath hi Delhi se Alwat, Merut aur panipat ke beech ab doori ghanto ki bajay minto me poori ho sakegi. Jaha ek ore logo ko awagman ka sadhan milega, wahi dusru ore sapne ke ashiyane banane ke liye naye sthan bhi sulabh honge.

Kaha jata hai ki bhi ilaake ka vikaas karna hai to yatayat ke behetar saadhan uplabdh kara do, yeh baat NCR ke vikaas me poori tarah se charitarth bhi hui hai. Delhi aur NCR ke kai Elaako me builders ne yatayat ke saadhan na hone ke bawajood bahanebaaji se makan beche. Aaj log yaha makan khareed kar pareshan ho rahe hai. Builder ne apane daavo me kaha ki Metro ki yaha se doori sirf 20 mmnut ki hai. Agar yatayat sadhan na hote to yeh doori aur bhi mushkil hoti.

Ab baari hai NCR se kuch aur aage ke vikaas ki. kahane ko to Merut, Alwar aur panipat ki doori itni hai ki log yaha jakar basne ke bare me sochne bhi katrate hai, lekin logo ki esi soch ko ab kendriya shahri vikaas mantralay ne poori tarah se badalne ki yojna bana li hai. Merut me jaha flyover ke saath saathkai naami builders ne project shru kar dia hai, wahi Alwar, Bahadurgarh, Bhiwani, jaise elake bhi logo ke liye har range ke makan dene ko taiyar hai. Bahadurgarh me to pehele se hi Metro ke pahuchne ka rasta saaf ho gaya hai, Lekin Merut, Alwar, aur Panipat me High Speed rail pahuchne per muhar lagne ke saath hi in elako me bhi property me boom aane ki sambhawna panapne lagi hai. Merut me mojood sa,ay me property aap 8 lac rupaye se lekar 45 lac rupayee tak ke flat behad umda quality me prapt kar sakte hai. waise to agar baat Delhi-Merut Corridor ki kare to ese per Gaziabad ko katai nazarandaaz nahi kia ja sakta hai, kyonki highspeed ka pehla padaw to yahi se hai. Esliye yadi property me nivesh ka khyal hai to yeh elaka Delhi ke ekdam nazdeek hai. yaha property ke rate bhi lagatar badh rahe hai.

Govindpuram me project me jute manoj gour ka kehna hai ki kuch mahino ke bhitar hi yaha property ke rate me dogune se bhi adhik ka ezafa lazimi hai, esiliye yadi koi nivesh karne ka khayal rakh raha hai to eske liye yeh samay upyukt hai. shighr hi yaha paripheral-way chalu hone ki poori ummid hai, Jiske baad logo ke liye high speed rail aur sadak marg dono ke jariye apne aashiyane tak pahuchne ka rasta sulabh hoga.

Unhi ki tarah bhiwari ke trehan group ke CMD  harsh Trehan ka bhi khyal hai. Noida me property ke rate badhe hai, uske jis tarah se Delhi wa Gurgaon, Noida me property ke rate badhe hai, uske baad aam logo ke liye makan banane ke hisab se NCR ke yeh elake hi sabse badhiya hai.

Yaha abhi property ke rate kam hai, per high speed rail tatha express high way taiyar hone ke baad zameen ke rate yaha bhi aasmaan chune ko taiyaar honge. Aise me jaroori hai ki log bhiwani, bhiwadi, alwar, panipat jaise elako ki andekhi na kare.

kuch aise hi maan-na hai Gardenia Group ke sansthapak adhyaksh ka. Unke mutabik Merut, Alwar, Panipat jaise elake Delhi ke aur nazdeek aa jayenge. Log chahe to en elaako me abhi unhe sasti keemat per zameen aur flat aasani se mil jayenge, lekin 2016 me rapid rail ke pahuchne ke baad keemate aasmaan per pahuchengi, jis tarah se Delhi ke bahari elake ab aam aadmi ki pahuch se bahar ho chuke hai. theek usi tarah se yeh elaake bhi rahne ke liye to badhiya ho jayenge, magar kharidne ke liye jebh se bhari rakam chukaani padegi, aise me abhi nivesh karna ek elako me fayede ka sauda hi saabit hoga.

Property expert Atul thaku ke anusaar merut bhale hi krime ke liye pehchana jata ho, lekin pechle kuch samay ke bhetar yaha teji se vikaas hua hai, Vishwavidhyalay to pehle se hi hai, Ab property ki keemate bhi 15 se20 feesadi tak badh chuki hai, Yahi sthiti Alwar ki bhi hai. yaha keemato me bahut mamuli ezafa hua hai.

High Speed rail pahuchne ka rasta saaf hone ki baat samne aate hi elaake me keemato ki lekar uthapatak agle kuch dino me dikhne lagegi, rahi baat panipat ki to use shahar ka bhi apna mizaaz hai. yaha bade builders ki nigah bhi padegi aur ache project ke jariye logo ki unke pasandida ashiyane dene ki karyawai shuru hogi. waise khud sarkaar ke bhi kuch project en elako me pipeline me hai. Esse bhi log nivesh karke kismat aajma sakte hai.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Wednesday, June 26, 2013

Metro ke Naam Per Builder Kar Rahe Hai Gumrah

Noida se Greater Noida tak Metro Lane ki Yojna abhi kewal prastav hai, lekin builders ne apni housing skeem ke kareeb metro station batakar gharo ki booking kar dali. abhi tak pradhikaran ne detail project bhi swikar nahi ki hai. 'suchna ka adhikar adhiniyam' ke tahat yeh khulasa hua hai.

Noida aur greater noida ke tamam builder apni scheme ke brochur me bakayada map chaap rahe hai. Jinme metro station ki sthiti darshai gai hai. Metro ko badi suvidha batakar builder logo ko lubha rahe hai. unse jyada keemat bhi vasool kar rahe hai, jabki hakeekat kuch aur hi hai. Noida se greater noida Metro abhi mahaj ek prastav bhat hai. Builder ese project batakar fayeda utha rahe hai.

Nagarik Vikaas Sansthan ( Public Development Authrity) Samet kai anya logo ne RTI ke tahat vikaas pradhikaran se suchna ke tahat vikas pradhikaran se soochnaye mangi thi. Poocha tha ki Metro Pariyojna ki haliya sthiti kya hai, Iska Root kya hai aur station kaha kaha banenge.

Prashikaran ki ore se sahayak jan soochna adhikari (niyojan) manish laal ne in logo ko jawab preshit kia hai, jisme bataya gaya hai ki pradhikaran ke paas mangi gai soochnaye uplabdh nahi hai. Afsaro se baat ki gai to bataya gaya ki Noida se Greater Noida metro kewal ek prastav hai. ese abhi yojna nahi mana ja sakta hai. agar builder apne project ke paas metro ka station hone ka dava kar rahe hai, to galat hai.




For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Tuesday, June 18, 2013

Builder Se Pareshan Hai, Online Manch Banaye


Social Networking va anya online forums ke madhyam se grahak ko apni property ya real estate se judi dhero samasyao ka samadhan mil raha hai. aaj grahak online shikayati portals per bhi apni shikayate darj kar rahe hai. ghar kharidne ke alawa property kharidne ya bechne per lagne wale kar, home loan, creative designe va interior ke bare me bhi log in protols ke madhyam se jankari prapt kar rahe hai.

Canada me rehne wale ek karobari 40 years Amit Goyel ne Gurgaon me ek builder ke ek project me flat book karaya. Is flat ki keemat 1 crore rs thi. Isme se enhone 80 lac rs jama bhi kara diye builder se taye sharto ke mutabik inhe apne flat ka kabza January 2013 me milna tha. per ise sambandh me unhe builder ki ore se koi jankari nahi mil pa rahi thi. karobar me vyasth-ta ke chalte property ki vartaan sthiti dekhne ve Gurgaon nahi ja sake. kagazo me diye gaye builder ke phone number aur Email Id per unke kai baar phone aur mail karne per  bhi builder ne project ke pura hone va flat ka kabja diye jane ke bare me sahi jankari nahi di. kuch dino unhone Facbook per dekh ki usi project me nivesh karne wale bangloru ke ek grahak ne bhi wahi samasya batai, jo unke samne thi. iske baad unhone us dusre grahak ke saath milkar Facebook per ek shikayati page banaya. kuch hi dino me ise page per kai sare log jud gaye. is baat ki jankari facebook ke jariye jald hi buildero ko bhi ho gai. tatkal usne sabhi grahako ko mail bhej kar project poora hone me deri ke liye maafi mangi, sath hi project ko poora kar flat ka kabja dene ki nai tithi ki ghoshna bhi ki.

Aaj ke samay me property ki uplabdhta, uski keemat, location aadi ki jankari, bade paimane per makaan.com magicbriks.com jaisi badi property va real estate se judi Websita ke madhyam se bhi ja rahi hai. Isi tarah commonfloor.com jaise kai online charcha forum bhi hai, jaha property va real estate ke kharirdar va vikreta vibhinn muddo per sanwaad karte hai. Inke madhyam se kai property ki khareed - bikry ho jati hai.

consumercomplaints.in, consumercourt.in, consumerforum.in, consumerredressal.com and complantsindia.com jaisi websits grahak va builder ke beech ek pul ka kaam kar rahi hai. badi sankhya me grahak in websits per apni shikayate darj kara kerke unka samadhan pa rahe hai. Real Estate ke jankaro i mane to Online forum ki real estate me mahatwapoorn bhumika hai. Jyadat projects me nivesh karne ke pehle grahak uske pichle records ki janch jaroor karta hai. aaj ke samay me grahak ye jankariya jutane ke liye online forum ka bhi prayog karte hai. Aise me yadi kisi builder ya property ke bare me dhero online shikayate hoti hai to uske liye dhero muskile badh jaati hai.

Jyadatar badi aur prathisthit real eastate conpanies online shikayat aane per uske jald nistaran ka prayas karti hai. yadi company ko lagta hai ki shikayat galat ki gai hai to we iska spastikaran bhi deti hai.

Real Estate karobar ke jankar rakesh purohit ne bataya ki real estate me karobar me online forum kafi prabhavi hai. kuch samay tak kisi builder ya property se sambandhit shikayat online forum ke chalte dhero grahak nivesh karne se pehle builder ki vishwasniyata ko janch lete hai. yadi unhe lagta hai ki builder unhe dhokha de sakta hai to ve aasani se property me nivesh na karne ka nirnay le sakte hai. per ise prabhavi forum ko desh me aur majboot banane ki jaroorat hai. online forum ki sabse badi kamjori hai ki ve shikayatkarta ko pahachan ko nahi janchte. Kai baar real estate companiya ek dusre ke project ke bare me galat jankari failane ke liye is forum ka prayog karti hai. wahi dusri taraf is forum ki sabse badi kamjori hai ki is forum per jo shikayate darj ki jati hai, unhe websits ke sanchalak builders tak nahi pahuchate. wahi dusri taraf jin shikayato ka nistaran builder kar dete hai, unhe websits se hataya bhi nahi jata.

Is websits ka prayog karne wale logo ke liye aisi websit per apni shikayat darj karana behetar hoga, jo aapki shikayat builder tak pahuchaye tatha usse prapt uttar grahak tak pahuchaye.

In online forums per nimn bato ki pramukhta se chahcha ki jati hai.
  • Project ke late hone, samay per pojeshan na milne va project ke nirast hone ke sabandh me.
  • Kanooni prakriya se sambandhit jankari va kagazi karyawahi ki poori jankari ke sambandh me.
  • Home loan lene ki prakriya va bank tatha anya vitya sansthao ke loan ke bare me.
  • Tax, maintenance, charge va anya kharcho ke bare me.
  • Project me pani va bijli ke conection se judi sharto ke bare me.
  • Property ki keemat ke bare me etc.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Sunday, June 16, 2013

Noida Me 40 Se 60 Lac Ke Ghar Asaani Se Uplabdh

Bajat Aisa Jo Sabki Jeb Ko Bhaye

Noida ke mid-segment rehaishi bazaar me developer aur ghar kharidne walo ke liye 40 se 60 lac rupay sabse mahatwapoorna keemat hoti hai. Neeji developerske 80 feesadi se adhik "ready to moov-in" aur nirmanadheen projects esi shreni me aate hai.
Investor clinic ke CEO hunny katiyal kehte hai, " Ise keemat me ready to-moove shreni ke vikalp moujood hai. Noida-Greator Noida Expressway per lotus bulevard ,sector 119 me gour graounder jaise kuch vikalp moujood hai, jaha aapko 60 lac ki keemat ke aaspaas 2-BHK Flat mil jayenge. Iske alawa ready to-moove in shreni me naye aur purane sectors me noida pradhikaran ke MIG flat ka vikap bhi moujood hai. Real Estate brokrage firm a-to-z properties ke nirdeshak ravi mehta kehte hai, " 'Ghar kharidne ki ischa rakhne wale logo ko mai sector- 100  me MIG flat lene ki salah dunga. 112 meter em bane flats ki keemat 60 lac rs. ke aaspaas hai. Noida pradhikaran ne in flats ka kabja mahaj 4 mahine pehale hi diya hai. 37, 19, 25 aur 29 jaise purane sectors me bhi residential quarters ka vikalp moujod hai, lekin meri rai me waha makan acha nahi rahega kyoki ek to makan kharidna acha nahi rahega, kyoki ek to ye makan 20 se 25 warsh purane hai aur dusra, real estate bazar me inki wastawik keemat se kahi adhik manga ja raha hai.

Seemit vikalp ke bawajood kai agaami sectors me nirmaanadhin projects me navintam sukh-suvidhaon ke saath apartment moujood hai. inme se kuch JP Vistown, Cosmos (sector 134 ), Kensington buleword (Sector 131), Kasa Aisalse (sector 129 ), Prinsle estate (Sector 76), Zodiak (sector 120 ), platinum (sector 119), 3C Ka Lotus buleword aur lotus panash, paramount ka florvile (sector 137), aur unitech ka unihoms etc.
Kotiyal ka man-na hai  ' ise mulya-varg me mang adhik hone ka karan hai ki ye sabse kam keemat ki property hai. kuch saal pehele tak, jab ye project lounch hue the, tab inme nevsh adhik the aur antim upbhogta kam. use samaye in flats ki keemat 35 - 40 kac rs ke beech thi. moujooda paridrashya uske bilkul ulat hai. niveshak apna labh kama ker ja chuke hai to ise shreni me adhik kharirdaar end-user hi hai.
Real Estate jaankaro ka kehna hai ki Noida me ek ausat mid-segment makan ki keemat 4,000 se 6,000 rs varg foot ke hisaab se hai. wahi luxry gharo ke liye yeh keemat 12 se 15 hazaar rs prati varg foot ke beech hai.
Reliance homes ke gourav tiwari ka kehna hai, 'nirmanadheen projects me ek 2-BHK Flat 900 se 1200 varg foot ke area moujood hai aur unki keemat 45 se 60 lac beech hai. ye project behetareen sukh-suvidhay, jaise 24/7 pani, uchit parking, club, samudayik kendra, Delhi se asaan connectivity de rahe hai. ye premium aur adhunik awasiy pariser hai.
Halanki, Noida pradhikaran ke apartment me neeji developers jaisi suvidhaye nahi hai, lekin makano ke akaar me koi fark nahi hai. investment smile reality ke rahul chaudhary Noida authority ke flat per charcha karte hue kehte hai, Noida pradhikaran ke flats me aapko power beckup nahi milta, 24 ghante pani nahi milta, club aur munasib suraksha bhi nahi milti, 'Mehta aage kehte hai,  'Lekin, agar aap Noida Authority ka aisa flat kharidte hai, jiska shetrafal 112 vagr meter hai to aapka corpate area 6 se 8 feesdi kam hoga. kuch developers 1050 varg feet ka flat bechte hai, lekin kabje ke waqt corpet area ghat ker 700 varg foot tak a jata hai.




For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com





Categories