Real estate me nivesh karna hamesha fayedemand saabit hota hai. Esliye log
aksar do property to lete hi hai. Agar aap apni pahli property le chuke
hai aur usme rah rahe hai, to ag;a nivesh residential property me hi
karne ki soche. Ese aap aay kak saadhan bana sakte hai kiraye par dekar.
Kiray par ghar dene se aapko kuch laabh honge-
- Niyamit aay hoti hai. eske kiray se aap property ke tex, dekhrekh aur marammat aadi me hue kharch ki chinta se mukt rah sakte hai aur niyamit aap bhi hogi.
- Margej loan ke mamle me, dhan dene wali sanstha keval use aay ko dekhegi, jo ki karj lene vale ko kiray ke madhyam se ho rahi hai. agar usse acchi aay ho rahi hai, to margej loan jaldi mil jata hai.
- Real estate labh ke mamle me sarvottam hai. chunki aapke makaan ki value din-ba-din badhti jaati hai, esliye aap jis din ese nakad me badalte hai, aapko accha-khasa laabh hota hai.
- Agar lambe samay tak property lease par di jaati hai, to ese bechne par ese par capital gain tex kisi bhi any aay ke strot par lagne vali dar sess kam hota hai.
- Agar aap apna dusra ghar lene ja rahe hai, to patrikao aur akhbaro me aa rahe vigyapano ke madhyam se pata jaroor kar le ki market me rental property ke taur par kis tarah ki property jyada pasand ki ja rahi hai aur usi anusar nirnay le. ese mamle me real estate agents bhi aapki acchi madad kar sakte hai.
- Kiray par dene ke liye apni dusi property aisi chune, jaha tak asani se pahuchna sambhav ho, bahoot upar ki manjilo ke, factory ke bagal ke ya aise hi makano ko lene se bache. Market ke paas ki property me aapko kiraydaar asaani se milenge.
- Jo marammat karwaye, vah usake mulya me ejaafa karne vali ho, taaki aapko kiray ki rashi me laabh ho.