Vastu Ko Jane Aur jewan khushiyo se Bhar Le
Kitchen ho
Dakshin Poorve me kitchen ke liye aadarsh disha hai dakshin poorve.
Uttar ya uttar-poorve me kitchen banane se bache. Kitchen samraddhi ka
soochak hota hai hai. Esliye galat disha me kitchen ka hona vittiye aur
sawasthya pareshaniyo ka karan ban sakta hai.
Vastu Ke Upay Video Dekhe
(by DekheAurSeekhe Channel)
Dakshin ki ore sir kar soye ghar me sthirta lane ka mukhya dwar hota hai Master bedroom
- Vastu Niyamo ke mutabik, Aapka bedroom dakshin-pachim desha me hona chahiye. Dhyan rakhe, sote samay aapka sir dakshin ya pachim ki ore hona chahiye.
Bathroom Ki Disha Vastushastra Ke Mutabik
- toilet aur bathroom makan ke dakshin desha me hona chahiye. Agar toilet uttar-poorve me ho to ghar me aane wali hawa dooshit hogi jo apne kamro ko dooshit karegi.
Bedroom me Narakhe Bhagwan Ki Tasveer.
- Murti ya mandir kisi almari me ya bedroom me mandir na banaye. Aisa karna tanaw ka kaaran ban sakta hai. pooja-aradhna ke liye alag kamra banay.
En Rango Se Door Rahe
- Ghar me lal aur baingani jaise jyada gehre rango ka estemal na kare, Ense nakaratmak oorja failti hai. Bedroom me lal aur kale rang ka estemal na kare.
- Bedroom ne rakhe water fountain bedroom me water fountain ya eski tasveer na rakhe. Aisi tasveero se nakaratmak urja ati hai.
- Bhari-bharkam murtiya makan ke uttar poorv hisse me bhari-bharkam murtiya na rakhe. Ense vittiya pareshani ka samna karna pad sakta hai.
- Khidkiyo par kristal latkay khidkiyo per krstal latkane se sakaratmak urja ka sanchar hota hai. jab surya ki roshni enpar padti hai to Endradhanush- si akaruti paida hoti hai jo ghar ki samarudhi lekar aati hai.
- Locker ke samne aina lagay locker ke samne aisa aina lagay jisme locker ka pritibimb najar aye, sanketik roop se yeh dhan ko duguna karta hai.
- Drawing room ki desha aapka drawing room sadev uttar disha ki ore hona chahiye. Sath-he, furniture dakshin aur pachim deewar ke sath lagakar rakhe. eska yeh arth hua ki aap uttar aur poorv ki desha ki ore muh kar baithenge, jo swasth dimag ke liye kafi kargar hai.