Kisi stri ke liye garbhwati hona ek saubhagya soochak ghatna hai, lekin garbhawastha ke dauraan pareshaniya bhi kam nahi hoti, har garbhwati mahila ki eccha yahi hoti hai ki vah bina kisi pareshani ke swasth, sundar aur buddhimaan santaan ko janm de, eske lie vastu vigyan me kuch upaye bataye gaye hai, aiye jane ke wo upay kya hai-
Garbhwati Mahila Ke Kamre Ka Vastu Aur Upay
- Garbh dharan karne ki yojna bana rahi mahilao ko uttar-pachim disha ka kamra apne liyechunna chahiye, garbhdharan ho jaane ke baad yeh kamra chodkar sharirik pareshani se bachne ke liye ghar ke dakshini hisse me sthit kamre me samay bitana chahiye.
- Yadi garbhwati mahila sanyukt parivar me rahti hai to dakshin ke atirikt dakshin-pachim me sthit kamre ko bhi apna sthai kaksh bana sakti hai. esse use parivar ke sabhi sadasyo ke bharpoor sahyog milega, paridamswaroop 9 maah ka kathin samay bina kisi asuvidha atha dukhad ghatna ke cyateet ho sakega aur phir ek swasth bacha janm le sakega.
- Sote samay gharbhwati mahila ka sir dakshin ki taraf aur pair uttar disha ki ore hone chahiye taaki use poorn vishram ki nind mil sake.
- Sote samay garbhwati mahila ke kame me bed ke upar koi bim ya duchatti na ho
- Yadi ghar ke madhya sthan me koi beem hai to kisi yogya vastushatri se uska upay karwana chahiye taki garbhwati mahila ko mansik peeda se bachaya ja sake.
- Garbhwati mahila ke kamre ka farsh-uncha na hokar samtal hona chahie taki durghatna se bacha ja sake.
- Garbhwati mahila ko apne kamre me uchit roshni ki vyastha kar leni chahiye taki use swasthya ki koi dikkat na ho.
- Dark color va kale rang ki vastuo ko vishesh roop se aaspaas nahi rakhna chahiye.
- Ghar me halke rango ki cheje aur enhi rango ke parde, chadar, gown, toliya, vastra aadi ka prayog labhdayak rahta hai.
- Vastushastra ke anusaar garbhwati mahilao ko swasth, buddhiman aur sundar santan prapt karne ke liye 9 mahino ke garbhkaal me dharmik, deshbhakt va vigyan ki duniya ke mahapurusho ke lekh padhne chahiye aur unki sundar swasth shishuo ki tasvir ya postar apne bed ke samne ki divar par lagani chahiye.
- kamre me hinsak, darawani tasvire na lagay.
- Ghar me kante wale poudhe na lagay, acche swasthy ke liye ghar ke ishan kon me pooja path, yog-dhyan niyamit roop se karne se garbhwati mahilao ko sakaratmak parinaam milte hai.
- Yadi apni dawaiya ya tonic bhi mahilay eshan kon me sthir kamre me rakhe aur vahi unka sevan kare to unka prabhav sakaratmak hota hai.
- Garbhwati mahilao ko kar chalane se bhi parhej karna chahiye aur bike scooter par nahi baithna chahiye, bacche ke janm ke baad bhi yadi ve eshan kon me sthit kamre me hi rahti hai to ese accha mana jaata hai.