Ab Industries ko Apne Paas se Kisano ko Muawaja dena hoga
New Delhi: Greater Noida authority ne court ke aadesh per kisano ko adhikar muawja dene ke liye paisa industry se wasoolne ka faisla kia hai. Eske liye Greater Noida ki factories ko notice jari ker 550 Rupaye prati warg meter ke hisab se compensation charge jama karne ko kaha gaya hai.
Esse Greater Noida aur Noida ke udhmiyo me hadkamp macha hai. aur unhone ese tuglaki farman batate hue court jaane ki dhamki di hai. Wahi, doosri ore authority ka kehna hai ki etni badi rakam jutane ke liye uske paas income ka koi jariya nahi hai aur udyamiyo ko yeh rakam chukani hi padegi.
Greater Noida me notice pane wale 1500 se jyada udyamiyo ko pehli kist 1 august ko jama karane ko kaha gaya hai. Noida udyami association ne budhwar ko authority se apna virodh jatate hue kaha ki yeh mamla authority aur kisano ke beech ka hai, aise me udyamiyo ki jebh se muawja chukane ka koi aadhar nahi banta.
Association ke president Vipin Malhan ne kaha, 'Vasooli ke notice se poori industy me hadkamp hai hum eski purjor virodh karenge. Authority ne high court ke 21 October 2011 ke aadesh ka hawala dekar kisano ko 64.7 feesadi muawaja dene me apne uper atirikt vittiy bojh ki baat kahi hai. aur Units se 550 Rupaye ke prati warg meter ki dar se rakam chukane ko kaha hai.
Udymiyo ki daleel hai ki 20 saal pehle authority aur industrial alloty ke bech jo bhi leter, leaze deed aut anya dastavejo ka exchange hua, usme kahi bhi aage chalkar koi atirikt rashi wasoolne ki baat nahi hai. Eske alawa sawal yeh bhi uth raha hai ki formula ke aadhar per udyamiyo se prati wrg meteer etna charge kia ja raha hai. khabar likhe jane tak kai anya associations ki ese per baithak ho rahi thi aur jyadatar udyami ese court me challenge ki baat kar rahe the.
Ese bare me pooche jane per greater noida authority ke dipty CEO Manvendra SIngh ne kaha, 'hamare paas income ka koi anya saadhan nahi hai aur authority no profit no lose ke aadar per kaam karti hai. Aakhir hum muawje ki rashi kaha se layenge? court ne hi ese baat ki chut dee hai ki authority load transfer ker sakti hai. 'yeh pooche jane per ki industrial alloties ki lease deed me bhi aage aise charge ka jikra nahi hai, unhone kaha, 'muawaje ka paisa mamla pehli bar samne aaya hai aur yahi wajah hai ki pehli baar hame rakam jutane ka koi viakalpic rasta apnana pad raha hai. udyamiyo ko thoda -thoda bhar to sehna hi padega. 'udhar, Noida ki industries me bhi ese lekar chinta jatai jati rahi. Unito ko aashanka haia ki patern noida authority per unse koi atirikt charge vasool sakti hai.
For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com
For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com