loading...

Tuesday, February 9, 2016

Vastu Shastra Apnay Baccho Ka Bhavishya Banay


Apne baccho ke bhavishya ki har kisi ko chinta rahti hai, Khaastaur par unki padhai aur sehat ko lekar. Ve man lagakar padhe aur pariksha me acche ank laye, saath hi unki sehat bhi durust rahe, eske liye vastushastra me kuch upay bataye gaye hai, aaiye jane unke baare me-

Vibhin shetro me badhti pratiyogitao ko dekhte hue aajkal ke samay me saare abhibhavako ko apne baccho ki chinta lagi rahti hai. Kisi ko bacche ki padhai ki chinta hai, to kisi ko apne baccho ki sehat ki, agar aap bhi ese tarah ki chinta se thora chutkaara pana chahte hai to kuch vastu upaay aapke liye kaafi sahayak ho sakte hai.

  • Kai bacche ekaagra chit hokar ek baar me jyaada der tak nahi padh paate to kai jaldi apne paath yaad nahi kar paate hai, kuch bacche class me padhay gaye paath ko bhool jate haiaur es tarah ve apni mehnat ka poora phal prapt nahi kar paate. Eske liyebaccho ko Eshaan Kon me baithakar padhai karwana chahiye. Saath hi padhte samay unka mukh bhi poorv, uttar ya uttar-poorv disha me karwana chahiye. Aise padhdai karne se man ekagra hota hai aur bacche ka padhai karne se man ekagra hota hai aur bachee ka padhai me man lagta hai. 
  • Baccha jis kamre me padhai karta hai uski uttar-poorv divar par maa saraswati ki tasvir lagaye, jisse bacche par unka aashirwaad bana rahta hai.
  • Bacche ke kamre me agar diwar ka rang halka neela ya aasmani ho to yah laabhdayak siddh hota hai. Parde, chadar, kursi ki gaddi ya takiye ka rang bhi neela rakh sakte hai.
  • Anavashyak roop se kitabe-copiya kabhi bhi bikhri nahi rahni chahiye. Mej par navgrah, piramin, education tower ya globe rakhne se sakaratmak urjaa ka pravah badh jata hai. Bacche jyaada der tak ekagrachit hokar padh paate hai.
  • Bacche ki pustake aur school ka bag dakshin ya dakshin-paschim disha me nahi rakhna chahiy.
  • Bacche ki sehat bhi mata-pita ke liye aksar chinta ka vishay rahti hai. swasth shareer me hi swasth dimaag rahta hai. saath hi accha swasth aapke bacche ke sarvangin vikaas ke liye bahut jaroori hai. Aise me ye dhyaan rakhna chahiye ki bacche ko vitamin, calcium aadi ke diye jane vale tonic ya kisi prakar ki davai rasoighar me na rakhi jaaye. AKsar ham log freeze ya chammach ki uplabdhata ke chalte dawaiya rasoighar me rakh dete hai. yah bahoot hi galat hai. dawaiya apna kam kargar taur par kare, esliye jaroori hai ki unhe uttar ya uttar-poorv disha me rakhna chahiye.
  • Vastu ke anusar baccho ke acche sharirik vikaas ke liye unhe kabhi bhi ghar ke dakshin aur dakshin-paschim yani Nretatya kon me nahi sulana chahiye aur na hi es ore baithkar unhe padhna chahiye.
  • Baccho ke asamanya vyavhar me sudhar ke liye agar uttar, poorv ya uttar-poorv disha me baithkar abhibhavak unse baatchit karte hai to uske sakaratmak parinaam dekhne ko milte hai.
  • Baccho me kai tarah ke talent hote hai, Aksar bacche kisi na kisi khel, sangeet ya chitrakari me kaafi utkrast hote hai, aise me ense sambandhit unki samagri jaise guitar, pent brush, carom, aadi ghar ke poorv ya uttar-poorv kamre me rakhne chahiye. aisa karne se kai baar sakaratmak prabhav dekhne ko milte hai. 

Categories