loading...

Monday, February 8, 2016

Chota Ghar Dikhega Bada- Home Decoration


Ghar chota ho, to saman bikharne me nimut nahi lagta hai. Aise me kam jagah aur kam lagne lagti hai. Aiye jaane chote ghar ki avyavastha ko kam karne ke kuch nuskhe interior ki ray me-

Apartment aur flat culture ke es daur me aam aadmi aamtaur ar do kamro ka makan malik hi ban para hai. lekin ghar ke liye jaroori saman aur sadasyo ki sankhya ke saamne aksar yah jagah bhi choti lagne lagti hai. Samaan ka bikhrav kaabu nahi aata. aisi sthitiyo me apne ghar me jagah nikaalne ki sochiye. yah kathin kaam interior designers ke liye aasan hai.

Bekaar Saman Ho Ghar Se Bahar

 Ghar ko avyavasthit karne me sabse bada hath un bekaar chijo ka hota hai, Jinhe ham na to istemaal karte hai aur na hi kisi ko de sakte hai. Esliye sabse pahle raddi ko haftavaar nikaale. purani saadiyo ko bistaar ya furniture ke cover banane me laga le. Esse almari khali hogi. Jaroorat ki copy-kitabo ke liye book shelf banva sakte hai. Ghar me hangers bikhre na rahne de. unnhe ek saath tange. Packing ke khali dibbo se bhi nijaat paye, ese prakar any saman ke liye jagah banegi.

Laye Double Duty Furniture

'Saman Ek Fayede Anek' yani double duty furniture. Ese tarah ke furniture me sofa, gaddedar chouoki, daraaj vali cofee table aur palang aadi aate hai, Sofa ya gaddedar chouki me andar ki ore saman rakhne ke liye jagah bani hoti hai, jisme aap apne uuni kapde va jaroorat ka saman rakh sakte hai. Es tarah ke furniture chote gharo ko vyasthit rakhne ke liye sabse upyukt mane jaate hai. Daraj vali table me T.V. AC ke remote, Akhbar, magazine aadi tareeke se rakhe ja sakte hai.


Soft Toy Velcro Par Chipkay

Ghar me khiloune jaha-taha bikhre rahte hai to kisi kude-karkat se kam nahi lagtte hai, enhe sambhalna bada uljhan bhara kaam hota hai. Ye jagah bh bahut gherte hai. Eske liye aap diwar par keel ki madad se Velcro lagakar soft toys ko chipka de, yah dekhne me sundar to lagenge hi aur vyasthit bhi lagenge.

Aise Rakhe Rasoi Vyasthit

Kitchen vyasthit rakhna sabse mushkil bhara kaam hai, Aalu pyaaj, lahsun aadi ke liye teen floor vali rack ka prayog kare. Masale rakhne ke liye megretic container ka prayog kare, JInhe aap freej par chipka sakte hai aur dekhne me bhi stylish lagte hai. Bartano ki almari me ek lid lagay, jisme aap cukar, pateele, frying pen aadi ke dhakkan ko tareeke se laga sakte hai. Jaroorat pade to fork, chammach, churi aadi ko rakhne ke liye drawer me divider lagay. Eske alawa safai se judi cheeje jaise- Duster, cleaning brush, soap aadi rakhne ke liye sink ke paas ek chota cuburd banva sakte hai.

Box Bhi Upyogi

Ghar me aisa saman bhi jaroor hota hai, jiska eskemal ham hamesha na karke kabhi-kabhi kiya jata hai. Jaise bijli ka saman, decoration light wulb, winter shoes aadi. Ese tarah ke saman ko edhar-udhar rakhne ke bajay box ka estemal kar sakte hai. Lekin kai baar box me saman bhar dene ke baad jaroorat padne par inko dhudhna mushkil ho jata hai. esse bachne ke liye chahe to saman ki list bana kar box par chipka sakte hai. esse box me rakhi chije dhoondna asan hoga.

Partition Se Ban Jaye Baat

Dressing table ya anya kisi daraj me partition karke bhi saman ko vyasthit karke rakha jaa sakta hai. Eske liye aap gatte ko daraaj ki aakar anusar katkar unpar colorful paper chipkaye aur phir daraaj me thori-thori doori par lagakar partition kare. ese tarah aap apne meckup ki choti-choti chijo jaise- pin, hair clip, ring, kajal, ear ring, aadi ko vyavasthit tarike se rakh sakte hai. Chahe to daraaj me choti-choti katoriya rakhkar bhi unme samaan rakha ja sakta hai eske alaava cork board par pin lagakar us par apne neck piece, bracelet latka kar stylish look de sakte hai.

Categories