loading...

Thursday, February 11, 2016

Dusri Property Per Tax Choot Kaise Paye- Kanooni Salah


Ek Se Jayada Property Hone Per Tax Me Choot Milegi Ya Nahi?

Q1. Maine apne bete ke naam per Delhi me ek flat khareeda tha, lekin ab use bechna chahta hoo. Ab mera beta Bangluru me rehta hai, vah es kaam ke liye Delhi nahi aana chahta. hum saare kaam kaise kare? 
Shantanu Singh, Delhi 

Ans. Apka beta apke naam per power of attorny banwa kar se sakta hai. Uske baad aap property ki khareed se sambandhit karwahi anjam se sakte hai.

Q2: Mai ek awasiye yojna me puri tarah furnished flat khareedne ki soch raha hu, Lekin esse pehle mai flat ke construction ke bare me pata lagana chahta hu. Mai es bare me kya kar sakta hu. Krapya bataye. (Please Help).
Ajay Mathur, Noida

Ans: Certificate ke bare me puchna chahiye. Aap pata kar sakte hai ki building es tarah ke sabhi kagzaat ke anusar banai gai hai ya nahi. agar awikrut yojna se kuc alag nirman hua hai, to phir yeh dekhna hoga ki uske liye anumati le gai hai ya nahi ya usse sambandhit muawaze ye bhugtan aadi adhikrut ekai ko kiye gaye hai ya nahi.

Q3: Mai ek NRI mahila hu aur mai Delhi me ek flat ko kiray per dena chahti ho, Kya mai aisa kar sakti hu, aur aisa karne ke liye mujhe kisi se anumati ki awashyakta hogi?
Shiksha Shrivastav, Delhi

Ans: Je Haa, Aap reserve bank of India ya kisi anya adhikarik ekai ki anumati ke bina hi makan kiray per de sakti hai. Jo kiraya milega, vah NRO account me jayega ya phir videsh bhej diya jayega.


Q4: Maine 6 mahine pehle 5 saal ke liye lease per makan liya hai. kuch karano se lease deed ragister nahi karai ja saki hai. ab uska ragistration karana hai, Kya hum aisa kar sakte hai?
Mohan Singh, Noida.


Ans: 1908 ke Indian ragistration act ke anusar 11 mahine se jyada ki awadhi ki lease deed ko karyanvayan ke 4 mahine ke andar ragister karwana jaroori hota hai, lekin kuch apwad mamlo me ragistrar 4 mahine ka atirikt samay bhi de sakta hai. per yeh sthitiyo aur tathyo per nirbhar karega sath hi apko eske liye jurmana bhi dena hoga. Jis up-ragistrar ke adhikar shetra me yeh property padti hai, uske office me avedan kar sakte hai.

Categories