loading...

Thursday, June 2, 2016

Garbhwati Mahila Par Vastu Ka Kya Prabhav Padta Hai


Dosto, agar koi mahila garb dharan karti hai va garbwati hai to vastu ka uspar aur uske parivar par kya prabhav padta hai, 

Garbhwati mahilaon ko sakaratmak parinam deta hai eshan kon, Garbh dharan stri ke liye sarbwati hona ek saubhagya suchak ghatna hai. Lekin garbhawavastha ke dauran pareshaniya bhi kam nahi hoti hai!

Har garbhwati stri chahti hai ke bina kisi pareshani ke wo swasth, sundar aur buddhiman shishu ko janm de sake! eske liye vastu vigyan me kai upay bataye gaye hai to aiye dekte hai ye video aur jante hai ke kya hai wo upay.

Garbhwati Mahila Aur Vastu Prabhav

(Video by DekheAurSeekhe Channel)
Garbawastha me Vastu Kaisa Hona Chahiye, Vastu Ka Prabhav

Vastu Ke Upay Garbhavasta Ke Dauran

  • Garbhadhan ki taiyari kar rahi stri ko uttar-paschim ka kamra apne rahne ke liye chunav karna chahiye! garbh dharan karne ke baad ye kamra tyaag kar sharirik kathinaiyon se bachne ke liye ghar ke dakshin hisse ke kamre me rahna chahiye!

    Esse 9 mahine ka samay bina kisi samasya ke beet sakega aur sundar swasth shishu prapt ho sakega!
  • Sote vaqt sir dakshin disha me aur pair uttar disha me karne chahiye esse sharir ko pura aaram milega! Garbhwati mahila ke bed ke upar koi beem ya duchatti na ho, yadi aisa ho to acche vastushastri ko dikha kar uske upay karna chahiye.
  •  Swasth, sundar aur buddhiman santan prapt karne ke liye garbhkal me dharmik, deshbhakti, va vigyan ki duniya ke mahapursho ke lekh padhne chahiye aur unki sundar swasth shishuo ki tasvir ya postar bed ke samne diwar par lagayen!
  • Kante vale paudhe na lagayen, Eshan kon me puja-paath, yog-dhyan niyamit roop se karen esse swasth, tej aur shant mastishk vali santan hogi aur sakaratmak parinam milega! garbhwati mahila ko kaar nahi chalani chahiye. Bike scootar per nahi  baithe aur janm ke samay eshaan kon me sthit kamre me mahila rahti hai to bahoot accha mana jata hai!

Monday, May 23, 2016

Kitchen Tips, Rasoi Ghar Me Bhojan Kis Disha Me Muh Karke Banana Chahiye

Dosto Rasoi Ghar Kisi bhi vyakti ke ghar ka sabse adhik aur mahatvapoorna sthan hota hai atah eska bahoot adhik asar hamare jeevan par padta hai esliye eske bare me jaakari hona ati avashyak hai,

Aiye jante hai ke vastu ke anusar kis tafar muh karke bhojan banana ashubh ho sakta hai aur kis disha me muh karke bhojan athava khana banana chahiye jisse hamari jindagi me shubh fal hame aur hamare parivar ko prapt ho.

Vastu Ke Anusar (Rasoi) Kitchen Bhojan Aur Disha


(Video by DekheAurSeekhe Channel)
Rasoi Me Kis disha me muh karke khana banana chahiye.

Es video me hum aapko Rasoi aur Bhojan banane ki koun acchi aur kounsi durbhagya lati hai se sambandhit jaankari de rahe ha. Video me charo dishao ke baare me bataya gaya hai ki konsi disha laabhkari siddh hogi.

Thursday, April 28, 2016

Aine Se Sajayen Ghar

Indino aaine ka estemal ek sajawati saman ke taur par bhi kiya ja raha hai! yah ghar ke vastu dosho ko theek karne me kaam aata hai! ek khoobsurat frame ke aina kaise badhata hai ghar ki sundarta.

Ghar ki andruni saaj-sajja me aajkal khoob estemal ho raha hai. Aaj bazar me tarah tarah ke akarshak va kalatmak dhang se bane aaine aa rahe hai, jinka upyog ghar ki sajawat me bhi char chand laga det ahai.

Sajayen Kalatmak Aine

Ab Aine me uske frame ki kalatmakta par bhi gaur kiya jata hai. Lakdi, metal, rot, Iron aadi anek chijo se bane eske manmohak frame es sadharan se aine ko shandar roop de dete hai, aur vah aapke ghar ki shobha badhane waale ban jata hai. aap ghar ki diwaron ke rang se male khate aine khareed sakte hai ya phir chahe to furniture ke rang ke anusar bhi ski kharidari kar sakte hai  ya banwa sakte hai.

Choti Jagahon Ko Banaye Khaas

AIne ki apni sundarta to hoti i hai, kisi choti jagah ko douna bada dikhane aur akarshak banane me bhi eska estemal khoob hota hai. office ya dukano me aam taur par aine ka estemal es uddeshya se bhi kiya jata hai. waise es tarah ki desiging ke liye yah behad jaroori hai ki jagah ke mutabik sahi aine ka chunav kiya jaye aur ese lagane ke liye upyukt sthan ki vyavastha ho.

Ghar Ke liye Shubh Hai

Ghar ki samanya saaj sajja se bhi ek kadam aage badhkar aab aine ka estemal vastu aur fengushui me bhi hone laga hai. Vastu aur fengshui me aine ka mahatv bataya gaya hai. esse sukh samraddhi ke liye estemal kiya jata hai. Leking es uddeshya se aina hamesha vastu shastri ki salah se hi lagayen. es sambandh me vastu ke jaankaro ka manna hai ki vastu ke anusar lagane se shesha aapke ghar aur karyalay me bure prabha ko kam karta hai.

Vastu va fengshui ke anusar aina ghar ya kisi bhi sthan ki ore aane wali nakaratmak urja ko wapas bhej deta hai, esliye vastu ke nazariye se khas kar ghar ke bahari hisse me esnko lagane ka kaafi mahatv hai. vaises to sajawati uddeshya se aine kai prakar ke hote hai. par yadi aap sajawat ke saath-saath ghar ki sajawat ko theek karne ke liye bhi eska estemal karte hai to eske liye charcoal mirror behtar bataya jata ha. uttar poorv ki kisi bhi diwar par aine par aine kaestemal kiya jaye to mana jaye to jata hai ki ya h poonji pravah ko doguna karne wala sabit ho sakta hai. manyata hai ki esse unnati milegi.

Kahan Lagayen

Jahan par jagah kam hoti hai, waha sheesha lagakar gehrai ka aabhas badhaya jata hai. aajkal ghar pahle jitne khule nahi bante, aise me sheesha interior ki jaroorat hi ban gaya hai. esliye adhikta ghar ke living room me ine se sajawat ki ja sakti hai. sankari jagah me seedhi ya seedhi rekha me nahi bani jagah par tedhi diwar per ya aisi diwar per jo 6 inch moti na ho, par aap interiors me aine estemal kar sakte hai.

Ghar ki bahari sajawat me name plates wali jagah par aina lagane ka ab kafi chalan hai. kahte hai eske peeche bhi wastu aur fengshui samabandh bhi manyata hai ki wo nakaratmak urja ko wapas bej dete hai. mana jata hai kijab aapke ghar koi aata hai aur wo negative energy lekar aata hai to use ghar ke bahar laga hua aina wapas bhej deta hai.

Aina Lagate Samay Rakhe Dhyan

Double sided mirror ya aamne samne ki diwar par aina estemal karne se bachna chahiye.esse us jagah par atpata look banta hai. jis jagah par aapko ek sundar wallpaper ya manmohak tasveer laga rahe ho, use diwar ke samne aina lagana chahie taaki doguna look se wo jagah adhik khoobsurat ban jaye.

Friday, April 15, 2016

Latest Property Tips- Housing Society and Vishesh Pravshan

Delhi me housing society ke vittiya lenden ki jaankari pane ke sambandh me kuch vishesh praavdhno ke baare me aiye jaante hai!

  • Delhi cooperative societies Act 2003 ke tahat cooperativ societies ke sadasya hone ke naate society ke vittiya len-den ka byora mangaa jaa sakta hai.
  • Jankari pane ke liye soochna adhikari (society ke sachive, adhyaksh ya koshadhyaksh, jo esse sambandhit soochna dene ke liye adhikrat hote hai) ko likhit me arji deni hoti hai!
  • es arji par agar 30 dino ke bheetar javab nahi aata hai, to ese radd mana jayega aur nay sire se arji deni hogi.
  • soochna adhikari kuch sthitiyon par suchna dene se inkaar bhi kar sakta hai, agar adalat ya pradhikaran ki taraf se es par kisi tarah ka pratibandh hai ya phir es soochna se kisi ki jaan ko khatra ho.
  • Soochna na mil pane ya soochna uplabdh karane ke liye uchit kaaran na diye jaane par rajistrar of societies me apeel ki jaa sakti hai. 

Monday, April 4, 2016

Kitchen Me Jo Bhi Bane, Vastu Ke Anusaar Vah Shubh Ho

Ghar me kitchen ek aisi jagah hai, jahan se saare parivar ki sehat ki neev padti hai. Aaj hum bata rahe hai ke Vastu ke anusaar kaisa ho kitchen.

Kuch log prashn karte hai ki rasoighar ka vastu sahi nhi hai, yah kaise jana jaye?
Ghar ka koi na koi sadasya lagatar bimaar bana rahta hai, lagatar hone vale es arthik nuksaan, karj, sadasyo ke beech har samay ki anban rahna, ye saare lakshan es baat ki ore eshara karte hai ki aapka rasoighar vastu ke lihaj se doshpoorn hai!

aiye, jaante hai vastu aur fangsui ke rasoighar se jude kuch aise niiyam, jinhe apnaakar aap apne parivar ko sehat ka tohfa de sakte hai.

रसोई वास्तु टिप्स
Rasoi Me Na karen Ye Galti
(by DekheAurSeekhe Channel)

Rasoighar Ke Liye Avashyak Disha 

Ghar ke madhya, uttar, uttar-poorv, paschim bhag ke madhya, dakshin bhag ke madhya me aur dakshin-paschim me rasoighar ka nirman nahi karna chahiye! rasoi mukhya dwaar ke theek saamne bhi nahi honi chahiye!
Rasoighar, bathroom va toilet ki diwar se lagi hui nahi hona chahiye! rasoi jaha agni tatv ka pratik hai, vahi baathroom athva toilet jal tatv ke ! ye doni hi tatv ek-dusre ke viprit mane jate hai. Yah thiti parivar me tanav utpann karti hai aur swasth ke liye bhi hanikarak hai!

khana banane ke liye stov yani gas chulhe ko dakshin-poorv me rakhna chahiye! lekin khyaal rakhen ki yah poorv ki diwar se sata hua na hokar kuch inch door ho! chulhe ki sthiti aisi ho ki vah baahar se dikhai na de. gas silinder ki bhi dakshin-poorv me rakhna chahiye! lekin khali gas sylinder ko dakshin-paschim me rakhen!

Bijli Upkaran

Ovan, Heater aadi ki dakshin athva sakshin-poorv me sthapit karna chahiye! vahin refrigeratior ko uttar ya paschim me rakha ja sakta hai, lekin ese uttar-poorv me na rakhne!

exahust fan ya vntilation ke liye badi khidki ko poorv ki diwar me bana sakte hai, vahi choti khidki ya ventilation ke liye dakshin ki diwar bhi upyukt hai!

Saaj-Sajja

Rasoighar me estemal kiye jaane vale upkarano ke anusar uski saaj-sajja ki jaani chahiye! rasoi ka farsh marble athva siramik tiles ka banaya ja sakta hai!
Swasth se jjuda hone ke karan narangi rang rasoighar ke liye aadarsh hai! esse milte-julte rang jaise laal, pila, gulabi bhi upyukt hai! lekin nila ya baingani rang upyukt nahi hai! agar rasoi ghar ke uttar-poorv bhaag me bani hai to lemon yani halka peela rang karwayen

Anya Samanya Sujhav

  • rasoighar me saaman fala hua evam avyavasthit na ho.
  • Jaha tak sambhav ho rasoighar ka darwaja band rakhen.
  • Rasoighar me bijli ke jyada upkarno ko na rakhen.
  • Rasoighar me chulhe ka vishesh mahatv hota hai! esliye ese swach rakhen.
  • Toote hue va estemaal me na aane wale bartano, baasi va asvasthkarak bhojan ko rasoighar me nahi rakhna chahiye. In chijo ko jitna shighra ho sake, rasoighar se hata den.
  • Anaaj va daalon ko rasoighar me paschim ya dakshin disha me rakhen.
  • Rasoighar ka darwaja uttar, poorv athva paschim disha me ho.

Wednesday, March 16, 2016

Vastu Ke Anusaar Ho Dinning Area

Ghar ke bedroom, drawing room, toilet va rasoi aadi ki tarah ab gharo me alag se dinning area bhi banne lage hai. Aise me es aham sthan ko bhi Vastushastra ke anuroop hona chahiye.
  • Agney kon yani Dakshin-Poorv me rasoi nirmaan ke baad dining area rasoi se paschim ya sakshin me accha mana jaata hai.
  • Kabhi bhi poorv ki diwaar se sataakar dining table nahi rakhna chahiye varna disha se aane vali sakaratmak urja me avrodh utpann ho jate hai.
  • Dining areame bhojan ki table ayataakar, vargaakar va kuch paristhitiyo me oval shape ki hona sahi mana gaya hai.
  • Dining table lete samay prathmikta lakdi se bani table ko hi dijiye, metal ya plastic ki table lene se bachna chahiye.
  • Aajkal lakdi ke table par top pa shisha lagi table chalan me dikhti hai. Vastushastra ke anuroop usme kanch, marble ya alag ke lakdi ke box me rakhe, aisa karne se parivar ke sabhi sadasyo ke beechmatbhed nahi hote hai.
  • Dining area me halke rango ka upyog accha rahta hai. Creamy, narangi, gulabi aadi rang behtar hai, jo vataavaran ko bhi sukhad banaate hai.
  • Sining area me falo se sambandhit scenery lagana vastu ke anusaar accha mana gaya hai. Dining area me agar table se uncha ek bada shesha laga diya jaye to vastu ke anusaar ghar me sakaratmak urja ke praavah ko bal milta hai aur ye kaafi shubh hota hai.
  • Yadi dining area me wash basin lagaana ho to usee Uttar ya Poorv ki diwaar par lagayen aur uske upar ek bada sheesha kagane se ghan me sakaratmak urja ka praavah hone lagta hai.
  • Dining table par ek bade kanch ke bowl me alag-alag kism ke fal rakhne chahiye aur bowl hamesha bhara rahna chahiye. Aisa karne se aapke ghar me barkat ka praavah hota hai. vaise upaay ke taur par es baul me kuch kratrim fal rakh kar table ke beech me bhi saja sakte hai.

Wednesday, March 9, 2016

Vastu Ke Anusaar Bedroom Kaisa Hona Chahiye

Vastu Ke Anusaar Bedroom Ke Liye Achuk Upaay


Video ke jariye janiye aap apne ghar ke bedroom ko kis prakaar vyavasthit kar sakte hai aur Vastu ka laab uthate hue kis prakar se swasth aur khushal jeevan jeeye, ummid hai ke aapko ye video jaroor pasand ayega. hum aage bhi aapko video ke jariye smaadhaan dete rahenge
es video me bedroom ko kis prakar sajaya jaye aur kis samaan ka dushprabhav aapke jeevan par pad sakta hai en sab ke bare me bataya gaya hai.

Wednesday, February 24, 2016

Vastu Kare Sahi Margdarshan- Teenager Life Aur Vastu

Kishoraastha athva Teenage baccho me vikaas ki vah avastha hai, jab vyakti ka vikaas ho raha hota hai. Es samay apnai gai aadate unke bhavishya ka nirdharan karti hai. Es avastha me apne bhavishya ko lekar bhi unmekai ashankay rahti hai. Padhai jaise medical ya non medical, commerce, art, ya humanity khel-kood, kapdo ka chunaav, kaha ghumne jaye va kai aise karya jinme vah pahle apne mata-pita ki salah liya karte the, ab unra me badlaav ke karan aur maansikta me parivartan aane ki ajah se vah kuch nirnay swaayam bhi lene lagte hai.

Eske sath-sath vah ghar me hone vale karyo me bhi apni pasand-napasand jahir karte hai ki furniture ese tarah ka lena hai ya light aisi lagwani hai va ghar ki divaro par color scheme aisi rahegi. aisa hona swabhavik bhi hai. umra ke anusaar badhte va badalte shouk me kuch buraai nahi hai parantu unka kamra aisa hona chahiye jo ki unhe sochne ki shramta pradaan kare, unke charitra ka nirmaan kare aur unka naitik vikaas kare. Yah vah samay hai jab balika apne aap ko jeevan ke liye taiyaar kar rahi hoti hai. Atah usake rahne ka sthan aisa ho jo use utsaahit kare tatha jaha rahkar vah apni yogyatao ka sahi upyog kar sake.

Fengsui me kai aise upaay hote hai, jinse apke ghar ka interior bhi adhunik rahega va jis tarah ki pasand aajkal ki ladkiya karti hai, vah bhi unke anukool rahega.

Study Room Me Kare Badlaav

  • Yadi ghar me study room alag se nahi hai to living room ke poorv me table rakh kar uska praavdhan kiya ja sakta hai aur us par lamp bhi lagva sakte hai.
  • Pashai me nirantarta bani rahe eske liye aap hare rang ke Fengsui lamp ka prayog kar sakte hai. Yah aapko poorv ki deevar par lagana hai yah na keval aapko padhai me balki kisi pratiyogita ki taiyaari me bhi madad karega.
  • Poorv disha surya dev ki disha hoti hai, esliye poorv disha ko energetic banane ke liye hare rang ka prayog behad accha rahta hai. es disha ke shubh prabhaav se aap gyaanvaan logo ke sampark me aate rahenge jo ki acche bhavishya ke liye pahli seedhi saabit hogi/
  • Yadi aap videsh jaane ke ecchuk hai to vyavya kon yani Uttar-Paschim me crystal globe lagay aur use din me teen baar ghumay.
  • Teenager ladkiyo ke liye shayankaksh ka chyan vayavya kon me ya poorv disha me kiya ja sakta hai parantu kabhi bhi dakshin-pachim, dakshin me enka shyankaksh nahi hona chahiye va unke kaksh ki uttar poorv ki divar par mata-pita ki tasveer jaror honi chahiye.
  • bed ki vyavastha dakshin se lekar paschim tak ki ja sakti hai.
  • Tasveer jo interior va Fengsui dono ka khyaal rahe, vahi lagay.
  • yadi vah kisi se prerit hai ya kisi ke vichaaro se prabhavit hai athva koi role model hai to vah uski tasveer Uttar-Poorv me laga sakti hai.
  • Ese umra me jaroorat hoti hai tej tarraar dimag va swasth shareer jisse padhai ke samay padhai va manoranjan ke samay khelo ka bharpoor anand uthayaja sake. eske liye dakshin me 2 laal ghodo ki tasveer lagai ja sakti hai yah dekhne me bhi sundar pratet hoti hai tatha laabhdayak bhi rahti hai.
  • Disha ke anusaar prakaash ka rang kai mayyano me laabh deta hai
  • Yadi fancy light ka chayan karna hai to ese disha ke anusaar kare Uttar me neele rang ki light aapko behad acche avasar pradaan karegi.
  • Poorv me hare rang va neele rang ki light prayog ki ja sakti hai.
  • Yadi aap apni dakshta me nipunta laana chahte hai to Dakshin-Paschim me peele rang ki light ka upyog kiya ja sakta hai.

Sunday, February 21, 2016

Fengsui Tips- Labhdayak Aur Jaroori Upaay

Fengsui se judi aisi kai bate hai hai, jinhe aap apni dincharya me shamil karke sukh, sobhagya, acche swasthya, tarakki evam dhan ki prapti kar sakte hai:

Fengsui Ke Aasan Upay

  • Asli ya artificial narangi ka paudha apne ghar me rakhe, Esse makaan ki shobha badhegi, saath hi dhan laabhbhi hoga.
  • 3 chini cikko (coins) ko laal rang ke dhage se bandhkar apni nakad peti me rakh de. Esse bhi dhan me badhotri hogi.
  • Arthik Laabh ke liye aap chahe to vishesh fengsui Items jaise: Laughing buddha, 3 tango wala mendhak aadi ko bhi apne makaan me khaas jagah de sakte hai.
  • Parivarik sukh-shanti ke liiye living room ki dakshin-pachim disha me sfatik ke 2 gole latkaay.
  • Parivar ke sabhi sadasyaeksaath baithkar khana khaye, Esse aapsi sambandh majboot hote hai.
  • Khush-haal dampatya jeevan ke liye bedroom ki Dakshin-Pachim disha me transparent ya laal rang ke sfatik ke 2 gole tang de.
  • Esi tarah medreen batakh ko apne bedroom me khaas jagah dekar aap apne dampatya jeevan ko aur bhi khushaal bana sakte hai.
  • tarakki ke liye office ki Dakshin disha me finiks pakshi ki tasveer ya painting lagay, Vyapaar me badhotari ke liye ye bahoot upyogi hota hai.
  • Esi tarah office me nakli sone ke sikko se bhara samudri jahaaj rakhkar bhi vyavsaay me unnati ke suavsar prapt kiye ja sakte hai.
  • Sobhagya prapti ke liye disha ke tatv ko dhyaan me rakhe aur usi ke anusaar makaan ke vibhinnkamro me wind chimes latkaay.
  • sobhagya pane ke liye mukhya dwar ke upar ghode ki naal lagana bhi shubh hota hai. Ha, es baat ka dhyaan rakhe ki naal ke dono sire neeche ki ore ho.
  • Acche swasthya ke liye ghar me jeevit ya artificial kachua rakhe, Esi tarah ghar me baans (banboo) ke paudhe rakhkar bhi accha swasthya va lambi umra payi ja sakti hai.
  

Wednesday, February 17, 2016

Privar Ki Khushali Ke Liye Apnaye Vastu


Aaj hum chahe kitne bhi adhunik kyo na ho jaye parantu nischit roop se ek baat to kabhi na kabhi har kisi ke man me aati hogi ki purane zamane me parivar me jyada log hote the aur arthik sadhan bahut seemit hote the. Phir bhi parivar ke sabhi sadasyo ke beech apnatv aur sneh hota tha. yadi him vastushastra ke najariye se dekhne ka prayaas kare to hum yah payenge ki vastu ke siddhanto ko banane evam samaj dwara unke palan ke peeche jitne bhi uddeshya rahe hai, unme ek aham baat hoti thi ki parivar ke beech aapasi prem, sadbhavna, apnapan evam samman bana rahe.

Vastu Se Parivar Me Khushiya Aye

Pahale log makan banvate samay vastu ke sidhanto ka dhyan jaroor rakhte the. halanki aaj ke sandarbh me un sabhi prachin sidhanto ko vyavhar me lana un puri ratah sambhav ho aap parivar ki khushhali ke liye vastu sidhanto ka palan kare.


  • Yadi aapka bhavan keval ek hi tal vala ho ya phir agar kisi multistory building me aapka flat ho to uske pachim ya phir dakshin bhag me bujurgo evam hamare varisthtam sadasyo jaise dada-dadi ya phir mata-pita ka kamra hona chahiye.
  • Eske viprit bachho ke rahne ke liye baaki sabhi dishaye upyukt hai.
  • Yeh dhyan eakhe ki parivar ke sabhi sadasyo ke bedroom me prakratik prakash ki samuchit vyastha honi chahiye. Aise prakash ki samuchit vyastha honi chahiye. Aise sthan keval tabhi mil sakte hai, jab pratyek kamra aage-peeche ya khule sthan se milta ho, yadi prakash ki jyada vyastha na ho paye to khidki ke saath roshandan jaroor banaye.
  • Prakratik prakash se sochne ka tarika sakaratmak banta hai va kisi ke prati vemnasth ki bhavna nahi panapti.
  • Puja-Paath, jap, katha, pravachan evam aise hi anya dharmik karyo ke liye yo to sampoorn poorv disha uttam hai, phir bhi aise sabhi shuddh karyo ke liye poorvottar disha sarvottam hai.
  • Parivar ke sabhi bade sadasyo ko chahiye ki ve sabhi baccho va anya sadasyo me aisi parampra viksit kare ki chahe thode hi shrano ke liye sahi, parantu sabhi log bhagwan ke mamaksh natmastak hona seekhe. esme sabhi ke man ko shanti milti hai aur log paraspar ek-dusre ke prati saman ki bhavna rakhte hai.
  • Subah bistar se uthkar poorv disha ki ore mukh karke bado ke charan sparsh karna ek aisi shakti rakhta hai ki esse parivar me ekta ki bhavna majboot hoti hai.
  • Esi prakar rat ko sone se  pahle bado ka ashirvad lene se aayu, vidhya, evam vansh badhta hai, parantu aise sanskaro ko yadi hum apne parivar ke sandarbh me poorntah charitarth hote dekhna chahte hai to sabse pahle bade sadasyo ko bhi eski shuruaat karni hogi. tabhi yah parampara hum bhavi peedhi ko hastantrit kar sakenge.
  • yadi aapka makan ek se adhik tal vala hai to aayu me bade sadasyo ko upar ke tal par evam kam umra ke sadasyo ko neeche vale tal par rahna chahiye. arthat bado ke paav ke neeche ke bhag me chote sadasy rahe to uttam hai, agar parivar ke bujurg seedhiya chadhne-utarne me asamarth ho to unhe neeche vale tal me hi rahna chahiye.
  • Pure parivar ki ekjut-ta ke liye yah bhi dhyan rakhe ki aapka dining room ghar ke poorv, uttar ya dakshin-poorv disha me ho.
  • Eske saath hi yah avashyak hai ki parivar ke sabhi sadasya 24 ghante me se kisi ek samay ka bhojan eksaath baithkar kare. Es samay bujurg vyaktio ko poorv ya uttar disha ki ore mukh karke baithna chahiye.
  • Bhojan karte samay parivar ke sabhi sadasya TV aadi na dek kar paraspar bate kare va apni dincharya, uplabdhiyo va aise hi anya kriyakalap ke vishay me samanya ya phir prasannata-poorn bato ki chahcha kare. dhyan rahe ki koi bhi apriya vishay na uthaya jaye. ese tarah vastu ke sid-dhant ko apnana vastav me parivar ko ek sutra me piroy rakhne me sahyogi hoga.

Thursday, February 11, 2016

Do Propertiyo Per Stamp Duty Me Choot- Propery Cunsultation


Doosri Property ki Stamp Duty Par Choot Mil Sakti Hai?

Q1: Meri 2 housing property hai, Ek jaldi me hi kharedi hai. Dono hi housing loan per hai. Ek me mai reh raha hu, dusre me mere rishtedar hai. Mujhe dono me se kisi bhi porperty se kamai nahi ho rahi hai. Lekin mai pehle khareedi property per tax choot le chuka hu. kya dusri porperty per bhi tax choot le sakta hu, Kya dusri porperty ki stamp duty per milne wali choot ke liye awedan kar sakta hu, Pehli wali property ke liye mai aisa kar chuka hu, Krapya bataye.
Prabhat Singh, Gurgaon.

Ans:
Ek vyakti kitni property khareede, eski koi seema aykar ect me nahi batai gai hai. Lekin agar kisi ke paas do property hai, Jisme se ek me wah aur dusre me uska rishtedar rah rahe hai to ek kouse self acupayed property ke taur pe ghoshit karna hoga. Aisa karte hi mana jayega ki dusri property kiray per de gai hai. es tarah esse kiray ki ek anumanit ay bhi mani jayegi, es tarah self accupayedproperty ka varshik mulya shunya mana jayega aur vyakti property lene ke liye 2 lac Rs. ki seema tak ke loan per byaj ke bhugtan ka davedar mana jayega. aap home loan ke repayment ke liye es per aykar labh le sakte hai, aap dusri property ke liye de gai stamp duty ke liye tax choot per laabh le sakte hai. Ho sakta hai ki aapne kisi aur saal me kisi aur property ke liye esi prakar ki choot ka labh liya ho. Es property ke liye bhi aap aisa phir kar sakte hai.

Kya Flat Ka Malikana Haq Do Logo Ko Mila Sakta Hai?

Q2: Meri patni ne naukri ke dauran homeloan liya tha. ab unki naukri nahi hai, esliye mai home loan ka dayitwa khud per sthanantarit karwana chahta hu. Kya esse flat ka malikana haq bhi badal jayega? Kya hum dono makan me sajhedar ban sakte hai?
Samar Mishra, Faridabad.

Ans: Jee ha, Aap apni patni ki taraf se home loan ki EMI anaupcharik roop se ada kar sakte hai. Lekin es par aapko koi tax choot nahi milne wali, kyoki aap property me sajhedar nahi hai. aap bank se kahkar apna naam property ke sajhedar se taur per judwa sakte hai, Lekin eske liya aapko stamp duty ka bhugtan karna padega.




Kya Mai Kuch Awadhi Ke Liye EMI Rok Sakta Ho?

Q3: Maine 19 Lac Rs ka loan liya hai. eski pratimah EMI 20,000 Rs hai. Mere flat ki vartman keemat 50 lac Rs ke lagbhag hai. Mai Mumbai me 11 mahine ka ek management program karna chahta hu. es dauran mere paas koi naukri nahi hogi. Kya yeh sambhav hai ki utni awadhi ke liye me apni EMI rok saku.
Ritesh Malhotra, Ghazibad.
Ans: Behtar hoga ki aap use avadhi ke liye koi entezam kar le. Taki apka naam defaulters ki list me na jude. Eska ek tareeka yeh ho sakta hai ki naukri chodne se pehle, yadi aap yogyata shart per khare utarte hai, to apni karzdata santha se top-up loan le len aur uska upyog 11 mahino ki EMI va Top-up loan ki EMI chukane me kar de. Sarvottam yeh hai ki aap education loan le, Taki course ki fees usse chukay aur apni savings se home loan ki instalment chuka de. Na ki apni savings se course ki fees chukay.


Dusri Property Per Tax Choot Kaise Paye- Kanooni Salah


Ek Se Jayada Property Hone Per Tax Me Choot Milegi Ya Nahi?

Q1. Maine apne bete ke naam per Delhi me ek flat khareeda tha, lekin ab use bechna chahta hoo. Ab mera beta Bangluru me rehta hai, vah es kaam ke liye Delhi nahi aana chahta. hum saare kaam kaise kare? 
Shantanu Singh, Delhi 

Ans. Apka beta apke naam per power of attorny banwa kar se sakta hai. Uske baad aap property ki khareed se sambandhit karwahi anjam se sakte hai.

Q2: Mai ek awasiye yojna me puri tarah furnished flat khareedne ki soch raha hu, Lekin esse pehle mai flat ke construction ke bare me pata lagana chahta hu. Mai es bare me kya kar sakta hu. Krapya bataye. (Please Help).
Ajay Mathur, Noida

Ans: Certificate ke bare me puchna chahiye. Aap pata kar sakte hai ki building es tarah ke sabhi kagzaat ke anusar banai gai hai ya nahi. agar awikrut yojna se kuc alag nirman hua hai, to phir yeh dekhna hoga ki uske liye anumati le gai hai ya nahi ya usse sambandhit muawaze ye bhugtan aadi adhikrut ekai ko kiye gaye hai ya nahi.

Q3: Mai ek NRI mahila hu aur mai Delhi me ek flat ko kiray per dena chahti ho, Kya mai aisa kar sakti hu, aur aisa karne ke liye mujhe kisi se anumati ki awashyakta hogi?
Shiksha Shrivastav, Delhi

Ans: Je Haa, Aap reserve bank of India ya kisi anya adhikarik ekai ki anumati ke bina hi makan kiray per de sakti hai. Jo kiraya milega, vah NRO account me jayega ya phir videsh bhej diya jayega.


Q4: Maine 6 mahine pehle 5 saal ke liye lease per makan liya hai. kuch karano se lease deed ragister nahi karai ja saki hai. ab uska ragistration karana hai, Kya hum aisa kar sakte hai?
Mohan Singh, Noida.


Ans: 1908 ke Indian ragistration act ke anusar 11 mahine se jyada ki awadhi ki lease deed ko karyanvayan ke 4 mahine ke andar ragister karwana jaroori hota hai, lekin kuch apwad mamlo me ragistrar 4 mahine ka atirikt samay bhi de sakta hai. per yeh sthitiyo aur tathyo per nirbhar karega sath hi apko eske liye jurmana bhi dena hoga. Jis up-ragistrar ke adhikar shetra me yeh property padti hai, uske office me avedan kar sakte hai.

Tuesday, February 9, 2016

Vastu Shastra Apnay Baccho Ka Bhavishya Banay


Apne baccho ke bhavishya ki har kisi ko chinta rahti hai, Khaastaur par unki padhai aur sehat ko lekar. Ve man lagakar padhe aur pariksha me acche ank laye, saath hi unki sehat bhi durust rahe, eske liye vastushastra me kuch upay bataye gaye hai, aaiye jane unke baare me-

Vibhin shetro me badhti pratiyogitao ko dekhte hue aajkal ke samay me saare abhibhavako ko apne baccho ki chinta lagi rahti hai. Kisi ko bacche ki padhai ki chinta hai, to kisi ko apne baccho ki sehat ki, agar aap bhi ese tarah ki chinta se thora chutkaara pana chahte hai to kuch vastu upaay aapke liye kaafi sahayak ho sakte hai.

  • Kai bacche ekaagra chit hokar ek baar me jyaada der tak nahi padh paate to kai jaldi apne paath yaad nahi kar paate hai, kuch bacche class me padhay gaye paath ko bhool jate haiaur es tarah ve apni mehnat ka poora phal prapt nahi kar paate. Eske liyebaccho ko Eshaan Kon me baithakar padhai karwana chahiye. Saath hi padhte samay unka mukh bhi poorv, uttar ya uttar-poorv disha me karwana chahiye. Aise padhdai karne se man ekagra hota hai aur bacche ka padhai karne se man ekagra hota hai aur bachee ka padhai me man lagta hai. 
  • Baccha jis kamre me padhai karta hai uski uttar-poorv divar par maa saraswati ki tasvir lagaye, jisse bacche par unka aashirwaad bana rahta hai.
  • Bacche ke kamre me agar diwar ka rang halka neela ya aasmani ho to yah laabhdayak siddh hota hai. Parde, chadar, kursi ki gaddi ya takiye ka rang bhi neela rakh sakte hai.
  • Anavashyak roop se kitabe-copiya kabhi bhi bikhri nahi rahni chahiye. Mej par navgrah, piramin, education tower ya globe rakhne se sakaratmak urjaa ka pravah badh jata hai. Bacche jyaada der tak ekagrachit hokar padh paate hai.
  • Bacche ki pustake aur school ka bag dakshin ya dakshin-paschim disha me nahi rakhna chahiy.
  • Bacche ki sehat bhi mata-pita ke liye aksar chinta ka vishay rahti hai. swasth shareer me hi swasth dimaag rahta hai. saath hi accha swasth aapke bacche ke sarvangin vikaas ke liye bahut jaroori hai. Aise me ye dhyaan rakhna chahiye ki bacche ko vitamin, calcium aadi ke diye jane vale tonic ya kisi prakar ki davai rasoighar me na rakhi jaaye. AKsar ham log freeze ya chammach ki uplabdhata ke chalte dawaiya rasoighar me rakh dete hai. yah bahoot hi galat hai. dawaiya apna kam kargar taur par kare, esliye jaroori hai ki unhe uttar ya uttar-poorv disha me rakhna chahiye.
  • Vastu ke anusar baccho ke acche sharirik vikaas ke liye unhe kabhi bhi ghar ke dakshin aur dakshin-paschim yani Nretatya kon me nahi sulana chahiye aur na hi es ore baithkar unhe padhna chahiye.
  • Baccho ke asamanya vyavhar me sudhar ke liye agar uttar, poorv ya uttar-poorv disha me baithkar abhibhavak unse baatchit karte hai to uske sakaratmak parinaam dekhne ko milte hai.
  • Baccho me kai tarah ke talent hote hai, Aksar bacche kisi na kisi khel, sangeet ya chitrakari me kaafi utkrast hote hai, aise me ense sambandhit unki samagri jaise guitar, pent brush, carom, aadi ghar ke poorv ya uttar-poorv kamre me rakhne chahiye. aisa karne se kai baar sakaratmak prabhav dekhne ko milte hai. 

Monday, February 8, 2016

Chota Ghar Dikhega Bada- Home Decoration


Ghar chota ho, to saman bikharne me nimut nahi lagta hai. Aise me kam jagah aur kam lagne lagti hai. Aiye jaane chote ghar ki avyavastha ko kam karne ke kuch nuskhe interior ki ray me-

Apartment aur flat culture ke es daur me aam aadmi aamtaur ar do kamro ka makan malik hi ban para hai. lekin ghar ke liye jaroori saman aur sadasyo ki sankhya ke saamne aksar yah jagah bhi choti lagne lagti hai. Samaan ka bikhrav kaabu nahi aata. aisi sthitiyo me apne ghar me jagah nikaalne ki sochiye. yah kathin kaam interior designers ke liye aasan hai.

Bekaar Saman Ho Ghar Se Bahar

 Ghar ko avyavasthit karne me sabse bada hath un bekaar chijo ka hota hai, Jinhe ham na to istemaal karte hai aur na hi kisi ko de sakte hai. Esliye sabse pahle raddi ko haftavaar nikaale. purani saadiyo ko bistaar ya furniture ke cover banane me laga le. Esse almari khali hogi. Jaroorat ki copy-kitabo ke liye book shelf banva sakte hai. Ghar me hangers bikhre na rahne de. unnhe ek saath tange. Packing ke khali dibbo se bhi nijaat paye, ese prakar any saman ke liye jagah banegi.

Laye Double Duty Furniture

'Saman Ek Fayede Anek' yani double duty furniture. Ese tarah ke furniture me sofa, gaddedar chouoki, daraaj vali cofee table aur palang aadi aate hai, Sofa ya gaddedar chouki me andar ki ore saman rakhne ke liye jagah bani hoti hai, jisme aap apne uuni kapde va jaroorat ka saman rakh sakte hai. Es tarah ke furniture chote gharo ko vyasthit rakhne ke liye sabse upyukt mane jaate hai. Daraj vali table me T.V. AC ke remote, Akhbar, magazine aadi tareeke se rakhe ja sakte hai.


Soft Toy Velcro Par Chipkay

Ghar me khiloune jaha-taha bikhre rahte hai to kisi kude-karkat se kam nahi lagtte hai, enhe sambhalna bada uljhan bhara kaam hota hai. Ye jagah bh bahut gherte hai. Eske liye aap diwar par keel ki madad se Velcro lagakar soft toys ko chipka de, yah dekhne me sundar to lagenge hi aur vyasthit bhi lagenge.

Aise Rakhe Rasoi Vyasthit

Kitchen vyasthit rakhna sabse mushkil bhara kaam hai, Aalu pyaaj, lahsun aadi ke liye teen floor vali rack ka prayog kare. Masale rakhne ke liye megretic container ka prayog kare, JInhe aap freej par chipka sakte hai aur dekhne me bhi stylish lagte hai. Bartano ki almari me ek lid lagay, jisme aap cukar, pateele, frying pen aadi ke dhakkan ko tareeke se laga sakte hai. Jaroorat pade to fork, chammach, churi aadi ko rakhne ke liye drawer me divider lagay. Eske alawa safai se judi cheeje jaise- Duster, cleaning brush, soap aadi rakhne ke liye sink ke paas ek chota cuburd banva sakte hai.

Box Bhi Upyogi

Ghar me aisa saman bhi jaroor hota hai, jiska eskemal ham hamesha na karke kabhi-kabhi kiya jata hai. Jaise bijli ka saman, decoration light wulb, winter shoes aadi. Ese tarah ke saman ko edhar-udhar rakhne ke bajay box ka estemal kar sakte hai. Lekin kai baar box me saman bhar dene ke baad jaroorat padne par inko dhudhna mushkil ho jata hai. esse bachne ke liye chahe to saman ki list bana kar box par chipka sakte hai. esse box me rakhi chije dhoondna asan hoga.

Partition Se Ban Jaye Baat

Dressing table ya anya kisi daraj me partition karke bhi saman ko vyasthit karke rakha jaa sakta hai. Eske liye aap gatte ko daraaj ki aakar anusar katkar unpar colorful paper chipkaye aur phir daraaj me thori-thori doori par lagakar partition kare. ese tarah aap apne meckup ki choti-choti chijo jaise- pin, hair clip, ring, kajal, ear ring, aadi ko vyavasthit tarike se rakh sakte hai. Chahe to daraaj me choti-choti katoriya rakhkar bhi unme samaan rakha ja sakta hai eske alaava cork board par pin lagakar us par apne neck piece, bracelet latka kar stylish look de sakte hai.

Friday, February 5, 2016

Gift Deed Lena Behtar Ya Sale Deed: Property Samadhan


Property Samadhan


Question- Mere pitaji ke paas ek plot hai, jis par mai apna ghar banana chahta hu, Jis par me apna ghar banana chahta hu. Agar mai eske liye home loan lu, to mujhe kya karna hoga? Tex me chut pane ke liye koun sa raasta sabse accha saabit hota-mere pitaji se gift deed ya sale deed?
Antikesh Sharma, Noida

Answer- Chunky aap jameen ke malik nahi hai, esliye aapkpo lan ke byaaj par aur loan ke repayment par tax ke labh nahi milenge. Agar aapkpo malik banna hai to ki co-owner, to aapko ta gift paane wale ya ki kharedar ke taur par eska malikana adhikar lena hoga. Agar yah aapko gift ke taur par milta hai, to eske transfer socument me lagne vali stamp duty par bachat hoga.

Question- Maine shuruat me bank se loan liya tha, fir apni property ko bechkarapna loan bhi bhar diya. Maine naya ghar liya hai aur naya loan bhi ek anya bank se. Kya dono hi loan par tax ka fayda le sakti hun?
Mahima Singh, Noida

Answer- Ye prashan use varsh se sambandhit hoga, jisme pahla vala loan chukaya gaya aur dusra liya gaya. Jab bikne vale ghat ke liye loan ki baat aati hai, to byaaj ka hissa kiray se hone vali aamdani se ghata diya jata hai. Lekin agar dono hi property upyog me lee jati rahi hai,to phir sthiti jara pareshani vali ho jaati hai. Enme se kisi ek ko hi aapko khud ke upyog me lee ja rahi property ke taur par lena hoga aur use varsh me property ke liye dey byaaj ki seema2 laakh rupay prativarsh tak par hi hogi. Dusri proeprty ke liye mana jayega ki vah kiray par hai aur use par dey byaaj use property se shone vale kalpanik kiray ki aamdani se kata jayega.
Ya maan le ki aapka makaan newnatam 5 saal tak aapke paa raha, to dono hi loan par chukaya jane wala principal payment section 80C ke tahat kata jayegea. Agar jo ghar becha gaya hai, use aapke malikaana haq me 5 saal se kam samay hua, to use varsh me kisi bhi home loan ki mukhya rashi me se kisi tarah ki koi chut nahi milegi aur principal amount ke hisse ke liye usse pahle ke varsho me daava ki gai katauti ko use varsh ki aay mana jayega, jis par tex lagega.

Question- Mai apna apartment bechkar naya ghar lena chahta hu, Maine ek bank se 3 lack rupay ka loan liya hai. Kya yah loan naye apartment ke liye tranfer ho sakta hai?
Mahesh kumar, Delhi


Answer- Home loan transfer karne vala koi pravdhan nahi hota hai. Agar aap apni vartman property bechna chahte hai, to aapko vartmaan property per kiye gaye loan ko foreclose yani ki niyat avadhi se pahle hi puri tarah chukana hoga. Nai proeprty par aapko home loan aapki credit history aur aay ke adhar par milega. Ho sakta hai ki naye loan par thori si procesing fees lee jaye.

Dusra Ghar Banega Niyamit Aaye Ka Jariye


Real estate me nivesh karna hamesha fayedemand saabit hota hai. Esliye log aksar do property to lete hi hai. Agar aap apni pahli property le chuke hai aur usme rah rahe hai, to ag;a nivesh residential property me hi karne ki soche. Ese aap aay kak saadhan bana sakte hai kiraye par dekar. Kiray par ghar dene se aapko kuch laabh honge-

  • Niyamit aay hoti hai. eske kiray se aap property ke tex, dekhrekh aur marammat aadi me hue kharch ki chinta se mukt rah sakte hai aur niyamit aap bhi hogi.
  • Margej loan ke mamle me, dhan dene wali sanstha keval use aay ko dekhegi, jo ki karj lene vale ko kiray ke madhyam se ho rahi hai. agar usse acchi aay ho rahi hai, to margej loan jaldi mil jata hai.
  • Real estate labh ke mamle me sarvottam hai. chunki aapke makaan ki value din-ba-din badhti jaati hai, esliye aap jis din ese nakad me badalte hai, aapko accha-khasa laabh hota hai.
  • Agar lambe samay tak property lease par di jaati hai, to ese bechne par ese par capital gain tex kisi bhi any aay ke strot par lagne vali dar sess kam hota hai.
  • Agar aap apna dusra ghar lene ja rahe hai, to patrikao aur akhbaro me aa rahe vigyapano ke madhyam se pata jaroor kar le ki market me rental property ke taur par kis tarah ki property jyada pasand ki ja rahi hai aur usi anusar nirnay le. ese mamle me real estate agents bhi aapki acchi madad kar sakte hai.
  • Kiray par dene ke liye apni dusi property aisi chune, jaha tak asani se pahuchna sambhav ho, bahoot upar ki manjilo ke, factory ke bagal ke ya aise hi makano ko lene se bache. Market ke paas ki property me aapko kiraydaar asaani se milenge.
  • Jo marammat karwaye, vah usake mulya me ejaafa karne vali ho, taaki aapko kiray ki rashi me laabh ho.

Ghar Me Kuch Banwaye, To Rakhe Dhyan


Waqt ke saath ghar me atirikt kamre ya kitchen me kuch aur cabinets jaisa jodne ki jarurat pad hi jati hai. Agar ghar me kuch naya banwane ki soch rahe hai, to kuch baato ka kare vichar.

Ghar ke liye aap jo bhi banwana chah rahe hai, uske design ke liye pahle kuch prernaye ekatthi kar le. Maan lijiye ki aapke kirchen ka renovation karwana chah rahe hai, to usse dambandhit design, material aadi ke bare me jitne sample ho sakte hai, utne dekh le . Eski jaankari internet ya interior decoration ki magazine aadi se le sakte hai.

Ghar Ke Use Jagah Ka Estemaal Koun Karega?

Kisi jagah ko nay sire se bana rahe hai, to ese baat par gour kare ki uske estemaal kin kaamo me hoga. in bato ka dhayan rakhenge, to vaha ke layout banane, uski fittings, vaha ke upkaran aur vaha ke rang aadi ke bare me nirnay lene me sasni hogi.

Jaroori Chijo Ki List

Bathroom aur kitchen jaisi jagaho ka upyog ghar ki baaki jagaho se jyada hota hai, Esliye yaha ki fittings ka dikhne me sundar hona jitna jaroori hai, utna hi vyaharik hona bhi, taki un jagaho par kaam karna suvidhajanak ho, jaroori chijo ki list bana le jaise ki kuch logo ko har haal me kamre me acchi roshni chahiye hoti hai, to kuch ko diwaar par kuch badhiya pattern etyaadi. Esse aap apne space ko personal touch de sakte hai.


Jagaho Ko Bekaar Na Chode

Aajkal kitchen aur bathroom ke liye aamtaur par jyaada jagah nahi milti. Kahi aisa bhi ho sakta hai ki sirf ek lambi diwaar hi khali ho. Aise me use diwaar ka poora upyog hona jaroori hai. Usme cupboard, drawyer, bench vagaireh ka prayog kar apne liye ek suvidhajanak sundar kitchen banwa sakte hai.

Sundarta Ka Rakhe Khyaal

Space ko suvidhajanak aur suruchipoorn Banana hai, to thode me hi jyaada kaam kar dikhate hai rang aur textures. Enme aapke kitchen ya bathroom me style aa jayega. Apne bathroom ko kisi theme ke anusaar renowet kara sakte hai, esi tarah kitchen ke panels ke liye kuch khaas chunaav kiye jaa sakte hai.

Thursday, February 4, 2016

Ghar Nirman Ke Liye Kaisa Plot Shubh Hota Hai


Jab baat bhawan banane ki leiye sahi kism ke bhukhand ka chunaav karne ki aati hai to bhumi ke prakar ki janch karna bhi bahut aham hota hai. Ghar shubh faldayak ho, eske liye avashyak ka hi ki bhumi ki kism vastu ke anusar ho aur bhukhand ka aakar bhi vastu mammat ho.

Kitne Prakar Ki Bhumi Hoti Hai?

Bramh sanhita ke anusar nirman ke liye uttam bhukhand vah hota hai, jisme acchi gandh hoti hai. hamare grantho me 4 kism ki bhimi ka varnan hai.
  • Brahmdi- Ache swad aur gandh vali ghasdaar bhumi ko brahamdi bhumi kahte hai. Ese kism ki bhumi ko rehayshi bhavano ke liye uttam bataya jata hai aur ese maksad ke liye khareedne ki sifarish ki jati hai. yah use ghar me basne vale sadasyo ko aaram ka ehsaas karati hai.
  • Khasmiya- Yah bhumi lal rang si abha liye hoti hai aur esme teekhi gandh hoti hai. yah bhumi police chouki, kachahri aur sarkari karmchariyo ke liye rehaysh banane keli ye sabse uttam hoti hai.
  •  Vaishya- ek anya prakar ki bhumi hoti hai. yah bhumi peelapan liye hoti hai, eski gandh khatti hoti hai. ese kheti se jude vyavsaayik kaamo jaise ki pashupalan, machlipalan, khad utpaado aur deri aadi ke liye upyog karne ki salah di jaati hai. ese bhumi par bank, vyavsayik parisar ya showroom aadi banana bhi aacha rahta hai.
  • Ek anya prakar ki bhumi kalapan liye hoti hai. eski gandh kadvi hoti  hai. ese rehaish ke liye accha nahi samjha jata hai. ese par manoranjan sambandhi bhavan, club ya karkhano aadi ka nirman karaya ja sakta hai.

Kaisa Ho Bhukhand or Bhumi Ka Akaar?

Aamtaur par chokore, aayataakar aur golakarbhukhand imarate banane ke liye utam mane jaate hai. samanyataya ek sudoul akar ka bhukhand accha hota hai, Jabki bedoul aakar ka bhukhand vastu me kharaab mana jata hai. in akaro ke alawa bhukhand ke kuch aur bhi khaas akaar hote hai.
  • Andakaar Bhukhand- Aise bhukhando me rahne se chinta, avsaad aur kai anya pareshaniya ho sakti  hai.
  • Tikona Bhukhand- Tikone bhukhand par bane makan me rah rahe logo ko mukadme-baaji aur aag ke khatre ki ashanka rahti hai.
  • Ardh-Golakar Bhukhand- Ardh-gloakar bhukhand par bane makaan me rahne walo ko man ki khushi prapt hoti hai.
  • Asth Kodiye Bhukhand- 8 kono vala bhukhand astkoniye kahalata hai. esie bhukhand par bane makan ke bare me manyata hai ki usme rahne walo ko man ki shanti aur khushali milti hai.
  • Tare ke akaar ka bhukhand- Aise bhukhand par kiya gaya nirmaan dhan ki hani, mukadme-baaji aur bhram ka kaaran banta hai.
  • Pankhakaar bhukhand- Yah bhukhand hath se dulaane vaale paramparik bhartiya pankhe ke aakaar ka hota hai. ese par bane makaan me rahne se dhan ki haani hoti hai aur paaltu janwaro ko khatra rahta hai.
  • Mradangakaar Bhukhand- Mradang ek paramparik bhartiya vaadh yantra hai. aise aakar ke bhukhand par bane makaan me rahne ki salaah vastushastri hargij nahi dete. kyoki esme rahne valo ko kaafi takleefo aur dukho ka saamna karna padta hai.


Wednesday, February 3, 2016

Ghar Ka Pravesh Dwar Kaisa Ho Vastu Ke Anusar?

Ghar ka pravesh dwar kuch aisa hona chahiye, Jise dekhte hi dil prafullit ho jaye. Mai aaj aapko ghar ke pravesh dwar ko sajane ke asaan nuskhe bhata raha ho.

Khil Uthe Ghar Ka Pravesh

Ghar ki saaj-sajja ke viseshagyo ki mane, to ghar ke pravesh dwar ki vishesh sajavat aapki property ke mahatv ko thoda aur badha deti hai. yeh ghar ki dekhrekh aur rakh rakhav aadi ke liye bhi aapke najariye ka parichay ban jata hai! aap apna kuch samay ghar ki bahari khoobsurati ko nikharne me lagay, taaki yah bahar se bhi tarotaja aur akarshak dikhe aur log aapke ghar me pravesh karna chahe. Darwajo ko bhi aapke life style ki tarah arthpoorn hona chahiye.

To kyo na darwaje ko bhi sajaya jaye. esme aap interior digners ki bhi madad le sakte hai Aajkal fengsui ya ki Vastu ke anusaar apne pravesh dwar ko sajane ka kaafi chalan dekha ja raha hai. Yah aapki marji hai ki aap kiska chayan kare. Chahe to dono ko ek saath milakar bhi esktemal kar sakte hai.

Pravesh Dwar Ke Aas Paas Ka Sthan

Aajkal ki flat sanskrity me pravesh dwar ke pahle aamtaur par ek saarvjanik gallery milti hai. Kuch gharo me pravesh dwar se ghuste hi aapko yah tay karna chahiye ki aap apne pravesh dwar ke baad ka hissa sirf sajavat ke liye upyog karna chahte hai ya ki use upyogi bhi banana chahte hai. Bahar ki ore gallery me nischit roop se apne pravesh ko bharpoor dhang se saja sakte hai.

Kaisa Ho Mukhya Darwaja

Ghar ka mukhya darwaja bada hona aapke ghar ki sundarta me char chand laga deta hai. Agar ghar ka mukhya darwaja anupaat me chota dikhta hai, to use bada akar dene ke liye usi rang ke panel bana sakte hai. bahari darwaje me taxture se lekar window exsent aur dramatic handle tak kais prayog kiye ja rahe ai. Aamtaur par enke liye dhatu, lakdi, fiber glass aur mishrit material ka prayog kiya jata hai. Bahari darwajo me shekh rang, high glass fleck aur industrial steel ke darwajo ka en dino kafi chalan hai. darwajo ka in dino kafi chalan hai darwajo me bahar ki ore dono taraf sylish wall lamps ya lights lagwa sakte hai. suraksha ki drasti se aamtaur par double door lagwaya jata hai. esme western homes ke style wale darwaje ka bhi prayog ghar ko anokha andaz dega.

Pravesh Dwar Ki Light

Darwaje se ghuste hi aam bhartiy flats me hall me lage bulb ya tube lights ki hi roshni se kaam chalaya jata hai. Par agar apne ghar ka pravesh dwar sajane ka man hai, to aap darwaje ke baad ek sunder shendeliar ya stylish light ka prayog kar sakte hai. ese tarah entry parbadhiya roshni bhi rahegi aur style bhi milega. Agar shendeliar jaisa lagwa rahe hai, to ese farsh se saadhe 6 foot uncha hi rakhe taki uska prabhav acha aye.

Kaisa Ho Furniture

Entry ko anavashyak aur bhari-bharkam furniture se mukt rakhna chahiye. Lekin kuch furniture to chahiye hi hota hai. Esiliye darwaje ke andar ki taraf diwar se laga kar koi stylish cabinet ya table rakh sakte hai. Aajkal kai stylish shu rack bhi aa rahe hai, Jinka upyog yaha salike se kare, to vah sajavat ke saath upyogi bhi sabit hoga, ek stylish automon ya kursi bhi rakh sakte hai.

Anupat Me Ho Carpet

Mukhya darwaje par bahar ki ore stylish doormat ka estemal karna ek samanya baat hai. Ander ki taraf aap choti dariyo ya rag ka upyog kar sakte hai. es baat ka khyal rakhe ki yah pravesh dwar ke anupat me ho yani ki na to bahut jyada bada ho na hi chota dikhe aur darwaja khulte samay esme ade nahi. eske neeche ek rubberpad ka estemal kar sakte hai taaki yah apni jagah se fisle nahi.

Khoobsurat Ho Nameplate

Bahar se sajawat ke liye ghar ke darwaje par nameplate ek style statement bhi ban sakti hai. lakdi ya matelik name plate darwaje par laga sakte hai. Name plate darwaje par laga sakte hai. Nameplates par vinyl plastic, lakadi athwa metal se bane aksharo ko ese par ukere.

Mukhya Dwar Ko De Khoobsurat Sheds

Mukhya darwaje ka akarshak aur bold hona kafi jaroori hai. Ese aap chamkeele sheds ya khobsurat paint se design de sakte hai. Apne interior aur kamro ke color theme ka anusaran karte hue ese contrast rang de sakte hai. apne darwaje ko khoobsoorat rango se paint karwaye, par dhyan rakhe ki paint ka color aisa ho, jo ankho ko ananddayak to lage hi sath hi ek khushnuma ahsaas de aur yah ghar ke bahari design se bhi mail khata hua ho.

Door Nakar Lagega Stylish

Bazar me khas darwaje ki sajja karne waali accessories khoob uplabdh hai. Jaise ki ayaran ka door nakar, wind chimes, artificial foolo ke guldaste aur bele aadi. Darwaje ko sajane me doormet, doorbell, doornob aur door nakar ka bhi upyog kar sakte hai. Enka sahi tareeke se estemaal kar apne darwaje ko master peace bana sakte hai.

Paramparagat Sajawat 

Darwaje par aapko enti jaga to mil hi jayegi ki use poudho se saja sake. Eske liye aap krateem ya prakratik poudhe darwaje ke bahar aur ander, dono taraf laga sakte hai. Flat ke bahar ki diwar par aap keligraphy ya photograph aadi ka prayog kar sakte hai. aap foolo ka khoobsurat guldasta ya aisa hi koi show peace bhi apne mukhya darwaje ke madhya me chipka sakte hai. Deep aur Ganesh pratima se bhi sajawat kar sakte hai. Pravesh dwar par bahar ki taraf se ethanik sajawat me bidanwar ka prayog karna to aam hi hai.

Banaye Photo Wall

Aap apne pravesh dwar ko upyogi sajavati, dono hi bana sakte hai, Ese tarah vaha rakhne ke liye jo saman chune, usme sirf sajawat hi nahi, upyog ka bhi dhyan rakhe. Darwaje se pravesh karte hi yadi koi deewar padti hai, to use family photo wall ki tarah estemaal kar sakte hai. Ya aisi hi kai kalakratya laga sakte hai. ese tarah aapka pravesh dwar jeewant ho uthega.

Tuesday, February 2, 2016

Naye Ghar Ka Vastu Kaisa Ho: Vastu Ke Niyam

Agar aap Apna naya ghar khareedne ja rahe hai, to Vastu ke anusaar uska chayan kare. Ghar laabhkari sabit hoga.

Jane Vastu Ke Kuch Khaas Ninyam

Badalte parivesh me apartment culture ne mahanagro ke saath-saath chote shahro me bhi apni jade majboot kar lee hai. kai baar aisa bhi hota hai ki aapne badi hasrat se apne liye ek falt khareeda, use apne manmutabik sajaya aur usame apne parivar ke saath shift bhi ho gaye.. Leking vaha shift hone ke baad se hi aapka pareshaniyo se saamana hone laga, to eska ek arth yah bhi ho sakta hai ki aapke sapno ke aashiyane ka nirmaan vaastu siddhanto ke anuroop nahi hua ho.

Esse ghabrane ki jaroorat nahi hai. Vastu ke aasan samaadhano ke maadhyam se bina kisi tod-fod ke aap ape apartment ke Vastu dosh ko door karke vaha par khushaal jeevan vyateet kar sakte hai.

Naya Flat Ke Liye Vastu Ke Niyam

  • Flat ya ghar khareedte samay apne liye us ghar ya appartment ka chayan kare, jiske aaspaas paryapt khula sthan ho, Yah khula sthan Dakshin-Pachim ki tulna me Uttar-Poorv me jyaada khula ho.
  • Ekdam Vargakaar va ayatakar flat milna mushkil hota hai, lekin dhyan de ki flat ya ghar kabhi bhi Uttar-Poorv va Dakshin-Paschim se kata hua na ho.
  • Usme samuchit prakratic roshni aur taji hava aane jaane ka prabandh ho. esse ghar ke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai aur khushiya aati hai.

Vastu ke anusaar Kamro Ki Disha 

  • Master bedroom hamesha Dakshin-Paschim me ho aur agar aapka ghar duplex hai, to phir master bedroom upari tal par banay.
  • Baccho ka padhai me man lage eske liye yah jaroori hai ki unka kamra Poorv me ho.
  • Baithak Uttar-Paschim me hona labhdayak rahata hai. Baithak kaksh ki sajawat karte smay es baat ka dhayan rake k furniture Dakshin-Paschim me rakha hoaur Uttar-Porv se jyada khali jagah ho. esse ghar ke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai.

Vastu ke Anusaar Ghar Ki Balkani

  • Balkani ghar ke Poorv va Uttari bhag me ho. Daksin va Paschimi hissa Bakani ke liye uchit disha nahi hai.
  • Balkani ke andar furniture Dakshin, Paschim disha me rakhe.
  • Baalkani ki chat ki uchai mukhya bhavan ki chat se kam ho, eske alawa balkani ki chat ke liye teen ka estemaal na kare.
  • Balkani me hamesha chote poudhe ya phool wale gamle hi rakhe. Gamle Dakshin Va Dakshin-Paschim me na lagay.

Monday, February 1, 2016

Accha Vastu Laye Khushiya aur Sampatti

Acchi property ka ek sambandh uske vastu se bhi hota hai. Acche vastu wali property tanavmukt rakhti hai aur pragti va khushali laati hai. Aisye bat karte hai ke kaise astu ke upaay khushali aur ghan smpatti se aapko sukhmay jeevan mil sakta hai.

Ghar ka accha vastu aapke jeevan me pragati aur sampannata ke karan banta hai. Agar apne ashiyane me khoobsurati aur adhunikta talash rahe hai, to sath me vastu ka vichar bhi jaroor kare, kyoki yadi vastu sahi nahi hai, to bhavan me rahne wale tanavgrasth ho sakte hai. Mansik tanav ki shuruat hamare aas-paas moujood nakaratmak urja se hoti hai.

Vastu ke Anusar Ghar Me Dukh aur Tanav ke Kuch Mukhya Karan Hote Hai.

  • Ghar me vastu va panctatvo me asantulan.
  • Ghar me pramukh aantrik sthano ka ashudh hona
  • bedroom ke shetra va uske rango ka galat chayan
  •  Uttar-poorv disha me store room, jute-chappal ya gandagi hona.
  • Dakshin disha me puja sthal hona 

Vastu ke Upayo Par Amal Kare
  •  Sunishchit kare ki aapke ghar ki Uttar-poorv disha me stor room na ho! Es disha me store room banane ya vaha par faaltu saaman rakhne se vaha rahne valo ko gahre tanaav aur avsaad ka saamna karna pad sakta hai.
  • Mansik Swasthy ko prabhavit karne aur tanav ko badhane vale zone uttar-pachim disha me besroom banane se bachna chahiye.
  • Yadi bedroom agney konme hai to vaha halka hara rang karwa le tatha neele rang se sambandhit vastuo ko hata de.
  • Marm sthan behad sanvedanshil sthan hote hai. marm stham par koi pillar ho, pani ka bhumigat tank ho ya diwar me koi keel thok de, to es tarah ki choti si gatividhi bhi seedha sharir ki reedh ki haddi me bhi chot lagne ki sambhawna bana deti hai, kyoki yeh vastu purush mandla ka bhi bhag hai. parantu en sukshm marm sthano ki thik pahchan ek kuchalvastu shastri hi karta hai.
  • Rango ke uchit sanyojan se aap tanav se mukti pa sakte hai hare aur peele rang ke sabhi sheds poshanatmak rango ke tahat aate hai. Agar aap hamesha tanavgrast rahte hai, to apne ghar ki poorv disha me hare aur dakshin-pachim disha ki diwaro ko peele rang se paint karwaye. esase parivarik sadasyo ke beech sambandh banta hai, jisse tanaav aur dipresion se chutkara milta hai.
  • Apne ghar me panchtatvo ke santulan ka khas khyal rakhe. apne ghar ke sabhi kamro me jal, aakash, vayu, agni aur prathvi tatv ki upasthiti ko suniscchit kare. Maan lijiye aapke ghar me angi tatv santulit nahi hai, to use santulit karne ke liye use disha me prateekatmak taur par agni ka chitra lagakar use zone ko santulit kar sakte hai. esi tarah se aakash tatv ko santulit karne ke, liye safed rang kaa prayog paschim me kare.
  • Sakaratmak urja ke liye ghar me hare patto vale poudhe hi lagaye.

Sunday, January 31, 2016

Vastu Aur Fengshui Ke Anusaar Bhagyank Aur Shubh Rang

Har rang ka apne ek swabhav hota hai, koi rang nipunta pradaan karta hai, koi sahajta aur koi shanti ka anubhav karata hai to koi rang man me uttejna lata hai. Har vyakti ki janm tithi ke bhagyank ke mutabik uske liye alag-alag rang hote hai.

Koun Se rang apke bhagyank Ke Anusar Apke Liye Faldayi honge?


Ghar me shubhta bahi rahe, eske liye apke paas madhyam hai rangi ke chayan ka. Aap apni janmtithi va bhagyank ke anusaar apne ghar ki diwaro, pardo, furniture va sofe ke fabric me rango ka chunaav kar esme badhotri kar sakte hai. asar log kahte hai ki laal rang shubh hota hai va kala rang ashubhta lata hai, par fengsui va panch-tatvo ki agar baat ki jay to tatvo ke adhar par har rang ka apna ek prabhav hota hai, adhiktar vyakti Uttar va Poorv disha ko behtar mante hai,

Uttar disha ka pratinidhitv jal tatv karta hai, Neela rang jal tatv ko darshata hai. Es disha me neele rang ke saath-saath kale rang ko bhi manyata di gai hai, Jabki laal rang ko es zone ke liye ashubh bataya gaya hai, kyoki vah agni tatv ka pratinidhitv karta hai. Hame yeh dhyaan rakhna chahiye ki koi bhi rang ashubh nahi hota hai, par tatvo va dishao ke anusaar unke prabhav me pariartan jaroor aa jata hai. jal, agni, vayu, dhatu va kaasht yani lakdi ye pach tatv fengshui ke antargat aate hai, jinka koi na koi na koi subh ashubh ran hota hai.

Ham vastu ke niyamo ke anusaar to parivartan kar lete hai, parantu rango ke chayan ko lekar utna gambhir nahi hote, jiske chalte nikar bhavishya me samasye aati hai va ham unka kaaran bhi gyaat nagi kar pate. Dishao ke anusaar rango ke prabhav me antar aata hai.

Apni Janmtithi se esko ham behtar tarike se prayog me la sakte hai. Yadi kisi vyakti ki janmtithi 04-03-1981 hai, ab ham yadi janmtithi se bhgyank nikale to 8 ank aata hai, jo ki bhumi tatv ko darshata hai. Esi prakar har vyakti ka apna bhagyank hota hai, Jiske anusaar use ghar me rango ka chayan karna chahiye.

Jal Tatv Ka Ank 1 hai

Neela va kala, dono hi rang es ke liye shubh faldayak hote hai. Aise vyakti ko hamesha prasidhi prapt karne wale karyo me ruchi rahti hai. eske saath-saath va gatishil bhi hote hai, bade star par kary karne ka rujhan man me rahta hai.

Enhe apne shetra me aage badhne ke liye jal tatv wale zone me yani Uttar disha ko Urja se bharna chahiye.
Aise rang aapke dil evam dimaag ko tarotaza rakhte hai. Profesional jaise ki charted accounted, doctor aur naukripeshe valevyakti va sarkaari vibhag se jude karmchari ko jal tatv ko badhane vali chijo ko ghar me rakhna chahiye jaise ki nadi ya samudra ki painting, fountain, etyadi laga sakte hai.

Agni Tatv Ka Ank 9 Hai

9 Ank agni tatv ka pratinidhitva karta hai. eski disha Dakshin hai, agni tatv hone se swabhavik hai ki aise vyakti me Urja ka sanchar adhik marta me hota hai.

Yadi Dakshin disha me bhumigat jal tank hai, boring hai ya Bhubhag kata athva badha hua hai to aisi sthiti me vyakti ko karyo me asafalta bhi mil sakti hai. Engineering ya tecnical vibhag se jude hue logo ke liye yah upyogi tatv hai. Enhe karysthal par eski badhotri  karni chahiye. Laal, kesari va esnse milte-julte rang agni tatv ke dosho ko door karne me sahayak haote hai.

Bhumi Tatv Ke Ank 2,5 aur 8 hai

Bhumi tatv ke liye peela va bhura rang jana jata hai. yadi kisi ka bhagyank 2 hai to use ghar ke Eshaan kon me peela rang avashya prayog karna chahiye. peele ya cream rang ke parde, furniture, sho-peace va anya saman ko saaf-suthre tareeke se rakha ja sakta hai. jaha par atiti kaksh hai, vaha soorajmukhi plant kagana sakaratmakta lata hai. bhumi sambandhi karyo me laabh milta hai, parantu yah us jatak ki poorn janmtithi par nirbhar karta hai ki uski janmtithi me koun se ank upasthit hai aur koun se nahi.

Lakdi Tatv ke Ank 3 va 4 hai

Ya Ank kashth tatv ka pratinidhitv karta hai. Eski disha pachim va poorv hai banking, accounting, vittiya sansthano ke shtera se jude logo ka bhagya yadi 3 va 4 hai to dhyan rakhe ki karyasthal va ghar par es tatv me kami naa aye. eska prabha badhane ke liye es zone me wind chimes lagai ja sakti hai.
Safed, peela, cream rang es bhagyank ke logo ke liye behad shubh fal deta hai, yadi es zone me koi bhag kata hua ha i to yah aapko dhan sambandhi, loan sambandhi va samajik samasyae de sakta hai.
Do safed ghodo ki painting bhi es tatv se labh lene ke liye lagai jaa sakti hai.

Dhatu Tatv ke Ank 6 va 7 hai

Yadi ki vyakti ka bhagyank dhstu tatv ka hota hai to aise vyakti ko hamesha kisi na kisi se protsahan va samarthan prapt hota rahta hai. eski disha poorv hai. Jo loog kray-vikray, loha, cosmetics, faincy maal, kheti-baadi, building material, fasal, paramparik vyasay va yatayat se sambandhit vyavsaay me karyarat rahte hai, unke liye jaroori hai ki ghar me hare rang ki upasthiti avashya ho

Hare rang ka prayog pardo ke roop me, divar par rang ke roop me kiya ja sakta hai. eske saath hi hariyali se sambandhit chitra bhi lagaye jaa sakte hai.

Chote-Chote se ye samanya parivartan aapke jeevan aur ghar me badi khushiya la sakte hai aur aapke bhavishya pareshaniyo se bacha sakte hai.

Baccho Ka Kamra Kaisa Ho

Baccho Ki Tarah Sajay Baccho Ka Kamra


Jab bhi aap bacche ke liye kamra sajay to es baat ka dhyaan rakhe ki kamra uski jaroorat aur umar ke hisaab se fit baithe.

Jab bhi ham apne baccho ke liye kamra taiyaar karne ki baare me sochte hai to sabse badi chuk yeh kar jaate hai ki use bado ki tarah parfect banane ki kosis me jute rahte hai. Use apne hisab se taiyar karne ki yojana banate hai, Lekin visheshgyo ka manana hai ki bacche ka kamre ko agar sahi mayano me taiyar karna hai to bacche ke star par jakar sochna hoga. Uski jarorate kya hai, uski pasand-npasand aadi bato ka dhyan rakhna hoga.

Nursery Children Room

  • Agar aapke ghar me baccha hai to use sirf ghar me farsh se matlab hota hai. vah to vahi par khelta rahta hai, esliye ghar me jyaada se jyada khali space hona chahiye jisse baccho ko khelne ki khoob jagah mile.
  • Jin furniture ka jyada estemal na ho, unhe hata de.
  • Diwaro par gaadhe rang karwana accha rahta hai. Ha, paint jaroor washable hona chahiye, jisse bacche jo diwar par likhe ya range, use saaf kiya ja sake.
  • Diwaro par aise waal paper lagwa sakte hai, jin par cartoon ya narsary poems likhi ho ya unke character bane ho. Eska ek fayeda yah hai ki en walpapers ko aap asani se utaar sakte hai aur jab bhi apne bacche ke kamre ko phir se sajane ki soche to aisa kar sakte hai.
  • Es baat ka dhyan rakhe ki bacche ki pahuch me koi nukili chij na aane paye. Bijli aadi ke switch bhi unki pahuch se door hi rakhe, Chote bacccho ke kamre ke liye en bato ka khaas khyal rakhe. 
  • Flooring acchi honi chahiye
  • Shelf chaude hone chahiye
  • Parde kamre ki theme ke anusar hone chahiye

Pre-Teen Children Room

5-6 saal ki umra ke baccho ke baccho ki jaroorat badhne lagti hai. aise e unhe yah bhi seekhana avashyak hai ki kamra thik karne ki jimmedari unki hai, Diwaro par jyaada gadhe rang na karwaye, en baato ka dhyaan rakhe-
  • Jyaada cabard aur shelf hone chahiye.
  • Ek bacche ke liye singal bed aur do baccho ke liye dual level bunk bed hone chahiye.

Teenager Room

Kishoravastha me kadam rakh chuke baccho ke liye aap kisi khas niyam ko nahi apna sakte. es umar ke baccho ke liye acchi privacy mahatv rakhti hai, esliye darwaje acchi tarah se lock hone vale ho, khirkiyo ke sheeshe bhi transparent nahi hone chahiye.

Poore din ki thakaan ke baad aram karne ke liye avashyak sabhi suvidhay honi chahiy. Aapse ve jo saaf-safai, jimedari, privacy aur milyo ka paath seekhenge, ve poori jindagi unke saath rahega.

Basement Ka Kya Upyog Ho Sakta Hai

Basement Basics

Dosto, kuch log aksar ghar me basement banane ke baare me sochte hai jisse wo eska estemal rahne ke liye ya kisi dusre kaam me estemaal kare ya phir kiraye par de sake, Aiye aaj es bare me kuch jankari le lete hai.

Kya Hai Basement?

Yeh vah sthan hai, jo Graund level ke neeche bana hota hai, Niyamo ke mutabik basement space ko avasiye uddeshyo ke liye estemaal nahi kiya ja sakta hai.

Basement Ka Kya Upyog Ho Sakta Hai?

National Building code dwara nirdharit kiye gae niyamo ke anusaar basement ka upyog keval storage va parking ke liye hi kiya ja skta hai

Group Housing Me Basement

Esme basement nirman ki anumati parking, utilities, aur services ke liye hai, leking eski gadana area floor area me nahi ki jati hai.

Basement Banane Ki Sohch Rahe Hai?

Agar aap basement banane ki yojna bana rahe hai to aapko sthaniya vikaas pradhikaran se eski poorv anumati leni hogi.

Swikrat FAR se Jyada Nirman Na Kare

Agar Aapne ek swatantra plot par ghar banaya hai to aap swikrat yogy floor area resio se jyada nirman nahi kar sakte.

Saturday, January 30, 2016

Ghar Me Vastu Parivartan Se Mahilao Ko Kya Labh Hai

Mahilao Ko Karyasthal Par Dilay Vishesh Pahchan


Aaj mahilay swatantra roop se apna vyavsaay chala rahi hai, saath hi office me garimamayi upasthiti darj karwa rahi hai! Karyasthal par apne dimaag evam buddi ka prayog karke vikaas kiya ja sakta hai, par kaise? yeh jwalant vishay hai!

Apne dimag ya mansik star me vikas karne ke liye kai chije sahayak hai, ek vidhi yeh hai ki aap pahle hi tay kar le ki koun sa shetra me karya karna chahiye, yah kafi had tak pata lag sakta hai.

Aisa karne ke liye sahi disha me karya karne se safalta milna swabhavik hai, jaroori hai ki aap me viswas ho, aap chust ho evam sabse adhik jaroori hai ki aa sapni shramtao ko prayog me laye, yadi ek mahila apni shramtao ko pahchan kar karya karti hai to use ache parinam mil sakte hai.

Vastu Ke Anusar Mahilao Ko Kya Karna Chahiye?

Upaay
  • Eske liye ghar ke dakshin-porv zone me kisi lal rang ke phool ki tasveer lagayenge to acche parinaam milenge.

Sahi Eshan Kon Kare Vichar Shakti Me Badhotari

Ghar ya karyasthal par eshaan kon ka sahi hona eske liye avashyak hai. Aksar ji gharo me es zone me dosh hota hai, vaha soch me nayapan ya adhunikta nahi aa pati! esi ke saath jeevan ke kai karyo ko asan kar dene vali sakaratmak soh bhi esi zone se prabhavit hoti hai, jiske chalte yah behad mahtvapoorn disha mani jati hai.

Apne ist devta ki ya jis vyakti se aap prabhavit hai, uski tasvir es zone me laga de. aap dekhenge ki aap m eus vishay se sambandhit gatividhiyo ko karne me pahle se kahi adhik sakriyata aa gai hai.

Upaay
  • Uttar-poorv me kabhi jhadu, gandagi ya safai se dambandhit saman ya upkaran na rakhe.

Badhao Ko Rokne me Saksham Fengshui

Atm vishwas kisi bhi vyakti ki safalta pratpt karne ki kunji hai, kuch shran hote hai jab hamara atmvishwas poorn hota hai, usi tarah kuch pal aise bhi hote hai jabki ham me eski kami hoti hai.

Kahte hai dakshin disha buri hai ya ashubh hai, parantu aisa bilkul nahi hai. yadi kisi ghar me dakshin disha ka shetrafal anya disha se kam rahta hai to vaha rahne wale vyaktiyo me samanyataya vyavsaay me sthirta me kami dekhi ja sakti hai, vyakti ke jeevan me sangharsh bhi badh jata hai.
Jo log media se ya kisi sarkari vibhag ya kanooni vibhag se jude hai. es disha ko vyaktigat vastu ke anusaar prayog me lane se safal parinaam prapt kar sakte hai.

Tips
  • Dakshin me jal tatv se sambandhit rang va vastuo ka estemal na kare, aisa karne se virodh utpann hota hai.


Dishao Ka Sahi Va Poorn Estemal

Dakshin-Pachim disha netratv karne ki shramta ko niyantrit karti hai. team me vibhinn vyaktiyo ke saath karya karna padta hai. aapko karya evam apni bhavnao ke madhya samanjasy baithate hue apne uddeshya evam lakshya ki ore satat badhne ke liye dhrad sankalp hota hai, yadi es zone me vastu sahi hai to yah vyakti ko kafi prabhavshali bana deta hai. Dakshin-paschim disha aapki dakshta ko prabhavit karti hai. es disha ka vastu kaisa hai, sab usi par nirbhar karta hai.

Tips
  • Dakshin-Paschim me apne karya se sambandhit upkarano ko rakhe. apni ruchi va kuch prtsahit karne wali kitabe paschim me rakhe.
  • Samajik gatividhiyo se judne va apna prabhutv badhane ke liye poorv disha me surya dev ki tasvir lagay. Christal boll ka upyog kare, yeh urja ka sahi pravah banay rakhta hai.

Netratv Shramta Ka Vikas Kaise Kare

Paschim zone ko vastu anuroop karke ham apne labh ko badha sakte hai, jo ki aaj ke yug me pratyek manas ki pahali avasyakta hai.

Upay- 
  • Es zone ko saaf suthra rakhne ke sath saaj-sajja se pripoorn rakhe.
  • Es zone me safed rang ka chayan karne se behtar parinaam milte hai.es disha me Dolphin ka chitra lagay. yeh aapke liye anand, khusi evam samanata lati hai.

Wednesday, January 27, 2016

Tijori Kis Disha Me Rakhe: Vastu Ke Anusaar

Agar paiso ki almari sahi disha ma nahi hai, to usse ghar me dhan ki sthiti prabhavit ho sakti hai, janiye dhan aagman ke liye almari ki sahi disha ke bare me-

Locker Ki Sahi Disha Karaye Dhan Labh


Ghar me paiso ki almaari ya locker ka sahi disha me rakha hona ghaar me paise ka avagman sucharu banay rakhta hai, esse ghar me sthayitv bhi aata hai, lekin agar locker sahi jagah par nahi hai, to arthik sankat ka saamna karna pad sakta hai.

Kaise Jane ke Paiso ki Almari ki Disha Thik Nahi hai?

  • Dhan rakhe ke kahi bewajah ke kharche to nahi aa rahe hai
  • Paisa aata hai, lekin turant kharch ho jaata hai.
  • Davaiyo par jyaada kharch hota hai.
  • Bachat nahi ho pati hai.
  • Na chahte hue bhi shoping aur ghumne-firne me paisa kharch hota hai.

Safe ya Locker ki sahi disha kya hai?


Vaastu me ghar me estemaal hone wali pratyek vastu ke liye alag-alag dishaye batai gai hai. Vaastu me batai gai dishao ke anusaar vastue rakhne se sakaratmak urja ka sanchaar hota hai aur ghar me dhan ka sucharu roop se avagman hota hai, khushaal jeevan ke liye keemti vastuo aur dhan ko surakshit rakhna behad jaroori hai, vaastu ke anusaar ghan ka zone uttar disha hai, eska kaaran yeh hai ki uttar ko dhan ke devta kuber ki disha mana jaata hai. Bavjood eske uttar disha me dhan ko rakhna surakshit aur sthaai nahi mana jata hai. Vaastu ke anusaar dhan ko surakshit rakhne ke liye ye upaay kare:-
  • Almari ko Dakshin disha me es tarah rakhe ke uska muh Uttar disha ki taraf khule.
  • Alar almaari ka muh Uttar disha ki ore na khul paye to use Poorv ki ore mukh karke rakhe, jisse ki kholte samay vah Poorv Disha me khule.
  • Agar almaari ko Dakhsin me rakhna sambhav na ho, to use Pachim disha me rakhe.

Uttar Disha Ko Kare Vyasthit

Ghar me dhan ke avaagman ko sunischit karne ke liye behad jaroori hai ki sanchit dhan ke shetra Uttar ko prabhavshali banaya jaye, Vaastushatra me Uttar disha ko nay avsaro ki prapti aur sanchit dhan ka shetra mana gaya hai. Uttar disha ko jodkar eske prabhaav ko badhaya ja sakta hai. Jaroori nahi hai ke eske liye aap koi vishesh upaay kare. Divaar ke rango aur pardo me disha ke anukool badlaav karke bhi aap ese vyasthit kar sakte hai, Jal tatv Utar disha ka pratinidhi hai, esliye yah behad jaroori hai ki dhan ka praavah banaye rakhne ke liye aapke ghar me jal tatv Uttar disha me hi ho, eske alaava ek baat ka dhayan aur rakhe ki Uttar disha saaf-suthri honi chahiye.

Friday, January 22, 2016

Garbhwati Mahila Ka Kamra Koun Si Disha Me Ho?

Kisi stri ke liye garbhwati hona ek saubhagya soochak ghatna hai, lekin garbhawastha ke dauraan pareshaniya bhi kam nahi hoti, har garbhwati mahila ki eccha yahi hoti hai ki vah bina kisi pareshani ke swasth, sundar aur buddhimaan santaan ko janm de, eske lie vastu vigyan me kuch upaye bataye gaye hai, aiye jane ke wo upay kya hai-

Garbhwati Mahila Ke Kamre Ka Vastu Aur Upay


  • Garbh dharan karne ki yojna bana rahi mahilao ko uttar-pachim disha ka kamra apne liyechunna chahiye, garbhdharan ho jaane ke baad yeh kamra chodkar sharirik pareshani se bachne ke liye ghar ke dakshini hisse me sthit kamre me samay bitana chahiye. 
  • Yadi garbhwati mahila sanyukt parivar me rahti hai to dakshin ke atirikt dakshin-pachim me sthit kamre ko bhi apna sthai kaksh bana sakti hai. esse use parivar ke sabhi sadasyo ke bharpoor sahyog milega, paridamswaroop 9 maah ka kathin samay bina kisi asuvidha atha dukhad ghatna ke cyateet ho sakega aur phir ek swasth bacha janm le sakega.
  • Sote samay gharbhwati mahila ka sir dakshin ki taraf aur pair uttar disha ki ore hone chahiye taaki use poorn vishram ki nind mil sake.
  • Sote samay garbhwati mahila ke kame me bed ke upar koi bim ya duchatti na ho
  • Yadi ghar ke madhya sthan me koi beem hai to kisi yogya vastushatri se uska upay karwana chahiye taki garbhwati mahila ko mansik peeda se bachaya ja sake.
  • Garbhwati mahila ke kamre ka farsh-uncha na hokar samtal hona chahie taki durghatna se  bacha ja sake.
  • Garbhwati mahila ko apne kamre me uchit roshni ki vyastha kar leni chahiye taki use swasthya ki koi dikkat na ho.
  • Dark color va kale rang ki vastuo ko vishesh roop se aaspaas nahi rakhna chahiye. 
  • Ghar me halke rango ki cheje aur enhi rango ke parde, chadar, gown, toliya, vastra aadi ka prayog labhdayak rahta hai. 
  • Vastushastra ke anusaar garbhwati mahilao ko swasth, buddhiman aur sundar santan prapt karne ke liye 9 mahino ke garbhkaal me dharmik, deshbhakt va vigyan ki duniya ke mahapurusho ke lekh padhne chahiye aur unki sundar swasth shishuo ki tasvir ya postar apne bed ke samne ki divar par lagani chahiye.
  • kamre me hinsak, darawani tasvire na lagay.
  • Ghar me kante wale poudhe na lagay, acche swasthy ke liye ghar ke ishan kon me pooja path, yog-dhyan niyamit roop se karne se garbhwati mahilao ko sakaratmak parinaam milte hai.
  • Yadi apni dawaiya ya tonic bhi mahilay eshan kon me sthir kamre me rakhe aur vahi unka sevan kare to unka prabhav sakaratmak hota hai.
  • Garbhwati mahilao ko kar chalane se bhi parhej karna chahiye aur bike scooter par nahi baithna chahiye, bacche ke janm ke baad bhi yadi ve eshan kon me sthit kamre me hi rahti hai to ese accha mana jaata hai.

Thursday, January 21, 2016

Ghar Ko Sajaye Apne Man Ke Rango Mutabik

Personalize home, Aap sochenge ghar to personaliz hi hota hai, par ghar poori tarah se aapki numaindagi kare to kamaal hoga na. apne ghar ko kaise de apna khaas andaz, eske bare me aaj mai aapko bataunga.

Aapka ghar kore-canvas jaisa hota hai, us par manpasand rang ukerne ka man karta hai, khoob saare rang, wo rang, jo man se nikalte ho, dil ke kisi koine me khwahishe hai, wo ghar ki siwaro par khoobsurti se bikhri ho to ghar sach me apana-sa lagta hai, ghar ko personal tuch dena asan nahi, par etna kathin bhi nahi, aiye jane kaise-

Poorwajo Ki Tasvire Ho Diwaro Par

Ghar ki diwaro par pariwar ki alag-alag mouke se judi tasvire latka kar ghar ko asani se personal tuch dene ki suruaat ki jaa sakti hai, es tarah aap unhe asani se sanjo kar to rakh hi payengi, saath hi parivar ki nai pedhi bhi un logo se judaav mahsoos karegi, Jaroori nahi ki divaro par lagai hui photo kisi professional studio me hi khinchi ho, frame me un tasvito ko lagaiye, jo aapko achhe palo ki yaad dilaye.

Shouk Bhi Ho Interior Ka Hissa

Aapko samudra kinare milne wali seep jama karne ka shouk hai? ya phir anokhe aakar me dikhne wale ped ki shakhaye pasand hai? ya phir kuch aur to en sablo interior ka hissa banaiye, jaise seep ko kanch ke gilas me mani plant ke sath saja dijiye, dekhiye yeh kitna sundar lagega.

Purani Chijo Ko Naye Andaaz Se Ghar Me Sajaye

Aapke paas pardada ki wo ghadi hai jo ab durlabh hai, ya wo pen hai, jo saalo pahle seemit sankhya me hi banay gaye the, hum enhe sahej kar almari me rakhe rahte hai, taaki yeh kharab na ho, par enhe bhi interior ka hissa banaiye, mehmaan par yeh anokha asar dalenge.

Monday, January 18, 2016

Vastu Ke Anusar Bedrooom Kaisa Aur Kis Disha Me Hona Chahiye

Nind manushya ki ek swabahwik kriya hai, sukoon va taazagi ke liye shyangrah ka hona bhi jaroori hai, Yadi manushya thik prakar se nind nahi le paata ho to uski kary-shamtapar bura prabhav padta hai. Manushya ka sharir ek chumbak ki bhanti hai aur sir uttari dhruv aur pair dakshini dhruv hai, Atah nind ke samay sir ko dakshini disha me hona chahiye, taki chumbakiya tarango ka prabhav bhali prakar se ho sake.



Yadi chumbakiya pravah uchit prakar se sharir me hoga to nind swata hi acchi ayegi. shayankaksh ki lambai aur chaudai es prakar ho ki eske gudanfal me 9 se guna karke 8 se bhag dene par 3 ya 5 shesh bache. 3 shesh bachne par dakshini disha me banay bedroom ke akaar ka fal shatru par vijay, arthik evam sharirik sukh ki prapti hoti hai, shesh paach bachne par paschimi disha me banay gay bed room ke aakar ka fal arthik sampannata lata hai,

Bedroom Ka Vastu Aur Samadhan

  • Television, Heater aur anya bijli ke upkaran bedroom ke agney kon (आग्नेय कोण ) me hone chahiye.
  • Ghadi poorv ya paschimdisha ki diwar par lagay, uttar va dakshin disha uttam nahi mani jati hai.
  • Tijori bed room (sone ka kamra) me na rakhe, Yadi sthan ke abhav me rakhni pade to vastu ke anusar shyan-grah ( bedroom) ke dakshini bhag me rakhi jani chahiye, taki Tijori kholne par uttar disha ki drashti seedhi pade.
  • Palang sone ke kamre ke samne nahi rakhna chahiye, yadi aisa hoga to chitt me vyakulta aur ashanti bani rahegi.
  • bedroom me tand (tiwar me marbal ya cement se bani hu khuli almari ya saman rakhne ka slab) paschimi ya dakshini deewar par ho, parantu sone ke bistar uske neeche nahi hona chahiye, yadi bed ko tand ke neech jagah kam nah hone ke karan rakhna bhi pade to false sealing jaroor karway.
  • Shayankaksh me double bed ya palang es prakar ho ki use per sone se manushya ka sir paschim disha me rahe, es tarah sone ke paschat uthne par poorv ya uttar disha me mukh ho, poorv disha suryoday ki disha hai. yeh jeevan daata aur shubh hai. Uttar disha dhanpati kuber ki mani gai hai. atah pratah uthte hi us taraf muh hona shubh hai.
  • Palang ko shayan grah ki deewaro se thoda-sa alag rakhna chahiye.
  • Bayi ore karwat se sona hitkari hai.
  • Poorvi va uttari disha vale kamre ka shayan grah swasthya ke liye haniprad hota hai.
  • Uttar disha me sirhana kadapi nahi hona chahiye.
  • Sote samay pair mukhya pravesh dwar ki ore hone chahiye.
  • Grah swami (ghar ka malik) ka shyan grah dakshin-paschim kon me athwa paschim disha me hone chahiye, Dakshin -pachim kon dhara tatv athva sthirta ka prateek hai. aisa hone par deerdhkaal tak nivas hota hai.

Saturday, January 16, 2016

(Snanghar) Bathroom ke Vastu Ka Kya Asar Padta Hai

Ghar ke vastu me snanghar ke vastu ka bhi mahatv hai, Vayavya disha ke nazdik ke snan par hi aisa nirman uchit hota hai.

Bathroom (Snanghar) Vastu Ke Anusar Kaisa Aur Kaha Hona Chahiye?


Vastu me kisi bhi bhavan ke nirman me jo mahatv ghar ke alag-alag sadasyo ke bedroom, rasoi, drawing room, dinning room, puja sthan etyadi ka hai, vahi mahatv ghar ke bathroom ka bhi hai, hum suvidha anusar bhawan ya makan me kahi bhi bathroom ka nirman kara le, ya sahi nahi hai.

Pichle 25 varsho ke vastu anubhavo se mai ye kah sakta hu ki ghar me yadi bathroom ka nirman ghar ke andar hota hi nahi tha, Dekhne me aata hai ki aajkal jagah ki kami ke chalte bathroom nirman karte samay bane bathroom ke vastu ko das guna badha deta hai. Isliye vastushatra ke niyam ko jane bina bathroom aur toilet ke nirman se bachna chahiye.

Kisi bhi sthiti me hame eshan kon yani uttar-poorv me bathroom aur toilet ka nirman nahi karana chahiye anyatha ghar ke sadasyo ko bimari, vishesh roop se mansik bimari se grast hone ki ashanka ho sakti hai. parivar ke sadasyo ke sath durdhatna hona aur gambhir bimariya hona bhi esi dosh ka natija hota hai.

Aisa bhi dekha gaya hai ki kisi vyakri ke ghar va pratisthan me yadi dono jagaho par eshan disha me toilet hai, to ghar ki yuva peedhi nashe ki aadat se ghir sakti hai. yadi vyavsayik sthal par eshan hone ki ashanka rahti hai yadi poilet uttar-disha me hai, to bimari ya achanak aai pareshaniyo ke chalte arthik shrati ho sakti hai. yadi toilet poorv disha me hai, to ghar ke sadasyo ke beech aham ke karan aapsi takrar hone ki ashanka rahti hai.

Vastushatra me uttar-pashim yani vayavya disha ke nazdeek ke sthan va dakshin-pachim disha ke nazdik ke sthan bathroom va toilet nirman ke liye upyukt mane gaye hai. es disha me bina soche-vichare bathroom va toilet ka nirman na karay, balki kisi vastushatri ki madad se bilkul sahi tarike se es disha ki pahchan se bilkul karakar vaha bathroom va toilet ka nirman karana chahiye.

Vastushatri ki madad se bhawan ki bhumi ki lambai-chodai ke anupaat me kampaas dwara sahi se nirman hone se hi vastudosh nahi hota hai, aisa hone par thori si di gai vastu tips ka fayeda ye hota hai ki aapka bahut sa dhan jo vyarth me esme kharch hota hai bach jata hai. vahi bathroom va toilet ke sahi nirman se grahshanti aur sukh bana rahta hai.



Bathroom ke nahane ke nal aur bathroom me pani ka bahav uttar ya poorv ki rataf hona chahiye. bathroom me darpan bhi uttar ya poorv ki divar par hi lagwana chahiye.

Yadi kamre ke sath abthroom laga hua ho to uska sarwaja hamesha band rahna chahiye aur toilet seat bhi prayog ke baad hamesha band rahna chahiye a. Indian toilet ke jagah European seat system isliye chalan me aaya taaki seat dhaki rah sake aur vastu ke anusar aisa hone se ghar me nakaratmak uurja ka failav ruk jata hai. parivar ke sadasyo ko es baat ki aadat bhi dalwaye ki toilet band hi rakhe, toilet me ke khidki jaroor lagwani chahiye taki ghar ki nakaratmak uurja ka ghar se bahar ki ore nikas ho sake.

bathroom ki sajawat me gahare ran jaise neela, kala rang aadi ka prayog nahi karna chahiye. safed ya halke rang jaisi kream, aasmani, gulabi aadi rago ke tiles ka prayog karna chahiye. seat, basin aur slab ka rang bhi gahre ke bajay halke rang ka hi rakhe, to vastushatra me anukool mana jata hai.

yadi aap aise bhawan me rehte hai, jaha bathroom bilkul hi galat bana hua hai, jaise devsthan ya poojasthal ke liye anukool mane jane vali eshan disha me bathroom hai, to turant hi use bathroom ka prayog band kar dena chahiye. poorv uttar ya anya galat disha me bane bathroom ke dosh ko kam karne ke liye bade darpan ko uttar ya poorv me lagana chahiye aur kanch ke ek bartan me samudri namak bharkar rakhna chahiye. bathroom kabhi bhi rasoi ki deewar se sata na ho aur na hi pravesh dwar se sata hua ya uske samne na ho eska bhi bhalibhati dhyan rakhna chahiye.