loading...

Monday, January 18, 2016

Vastu Ke Anusar Bedrooom Kaisa Aur Kis Disha Me Hona Chahiye

Nind manushya ki ek swabahwik kriya hai, sukoon va taazagi ke liye shyangrah ka hona bhi jaroori hai, Yadi manushya thik prakar se nind nahi le paata ho to uski kary-shamtapar bura prabhav padta hai. Manushya ka sharir ek chumbak ki bhanti hai aur sir uttari dhruv aur pair dakshini dhruv hai, Atah nind ke samay sir ko dakshini disha me hona chahiye, taki chumbakiya tarango ka prabhav bhali prakar se ho sake.



Yadi chumbakiya pravah uchit prakar se sharir me hoga to nind swata hi acchi ayegi. shayankaksh ki lambai aur chaudai es prakar ho ki eske gudanfal me 9 se guna karke 8 se bhag dene par 3 ya 5 shesh bache. 3 shesh bachne par dakshini disha me banay bedroom ke akaar ka fal shatru par vijay, arthik evam sharirik sukh ki prapti hoti hai, shesh paach bachne par paschimi disha me banay gay bed room ke aakar ka fal arthik sampannata lata hai,

Bedroom Ka Vastu Aur Samadhan

  • Television, Heater aur anya bijli ke upkaran bedroom ke agney kon (आग्नेय कोण ) me hone chahiye.
  • Ghadi poorv ya paschimdisha ki diwar par lagay, uttar va dakshin disha uttam nahi mani jati hai.
  • Tijori bed room (sone ka kamra) me na rakhe, Yadi sthan ke abhav me rakhni pade to vastu ke anusar shyan-grah ( bedroom) ke dakshini bhag me rakhi jani chahiye, taki Tijori kholne par uttar disha ki drashti seedhi pade.
  • Palang sone ke kamre ke samne nahi rakhna chahiye, yadi aisa hoga to chitt me vyakulta aur ashanti bani rahegi.
  • bedroom me tand (tiwar me marbal ya cement se bani hu khuli almari ya saman rakhne ka slab) paschimi ya dakshini deewar par ho, parantu sone ke bistar uske neeche nahi hona chahiye, yadi bed ko tand ke neech jagah kam nah hone ke karan rakhna bhi pade to false sealing jaroor karway.
  • Shayankaksh me double bed ya palang es prakar ho ki use per sone se manushya ka sir paschim disha me rahe, es tarah sone ke paschat uthne par poorv ya uttar disha me mukh ho, poorv disha suryoday ki disha hai. yeh jeevan daata aur shubh hai. Uttar disha dhanpati kuber ki mani gai hai. atah pratah uthte hi us taraf muh hona shubh hai.
  • Palang ko shayan grah ki deewaro se thoda-sa alag rakhna chahiye.
  • Bayi ore karwat se sona hitkari hai.
  • Poorvi va uttari disha vale kamre ka shayan grah swasthya ke liye haniprad hota hai.
  • Uttar disha me sirhana kadapi nahi hona chahiye.
  • Sote samay pair mukhya pravesh dwar ki ore hone chahiye.
  • Grah swami (ghar ka malik) ka shyan grah dakshin-paschim kon me athwa paschim disha me hone chahiye, Dakshin -pachim kon dhara tatv athva sthirta ka prateek hai. aisa hone par deerdhkaal tak nivas hota hai.

Categories