loading...

Wednesday, February 3, 2016

Ghar Ka Pravesh Dwar Kaisa Ho Vastu Ke Anusar?

Ghar ka pravesh dwar kuch aisa hona chahiye, Jise dekhte hi dil prafullit ho jaye. Mai aaj aapko ghar ke pravesh dwar ko sajane ke asaan nuskhe bhata raha ho.

Khil Uthe Ghar Ka Pravesh

Ghar ki saaj-sajja ke viseshagyo ki mane, to ghar ke pravesh dwar ki vishesh sajavat aapki property ke mahatv ko thoda aur badha deti hai. yeh ghar ki dekhrekh aur rakh rakhav aadi ke liye bhi aapke najariye ka parichay ban jata hai! aap apna kuch samay ghar ki bahari khoobsurati ko nikharne me lagay, taaki yah bahar se bhi tarotaja aur akarshak dikhe aur log aapke ghar me pravesh karna chahe. Darwajo ko bhi aapke life style ki tarah arthpoorn hona chahiye.

To kyo na darwaje ko bhi sajaya jaye. esme aap interior digners ki bhi madad le sakte hai Aajkal fengsui ya ki Vastu ke anusaar apne pravesh dwar ko sajane ka kaafi chalan dekha ja raha hai. Yah aapki marji hai ki aap kiska chayan kare. Chahe to dono ko ek saath milakar bhi esktemal kar sakte hai.

Pravesh Dwar Ke Aas Paas Ka Sthan

Aajkal ki flat sanskrity me pravesh dwar ke pahle aamtaur par ek saarvjanik gallery milti hai. Kuch gharo me pravesh dwar se ghuste hi aapko yah tay karna chahiye ki aap apne pravesh dwar ke baad ka hissa sirf sajavat ke liye upyog karna chahte hai ya ki use upyogi bhi banana chahte hai. Bahar ki ore gallery me nischit roop se apne pravesh ko bharpoor dhang se saja sakte hai.

Kaisa Ho Mukhya Darwaja

Ghar ka mukhya darwaja bada hona aapke ghar ki sundarta me char chand laga deta hai. Agar ghar ka mukhya darwaja anupaat me chota dikhta hai, to use bada akar dene ke liye usi rang ke panel bana sakte hai. bahari darwaje me taxture se lekar window exsent aur dramatic handle tak kais prayog kiye ja rahe ai. Aamtaur par enke liye dhatu, lakdi, fiber glass aur mishrit material ka prayog kiya jata hai. Bahari darwajo me shekh rang, high glass fleck aur industrial steel ke darwajo ka en dino kafi chalan hai. darwajo ka in dino kafi chalan hai darwajo me bahar ki ore dono taraf sylish wall lamps ya lights lagwa sakte hai. suraksha ki drasti se aamtaur par double door lagwaya jata hai. esme western homes ke style wale darwaje ka bhi prayog ghar ko anokha andaz dega.

Pravesh Dwar Ki Light

Darwaje se ghuste hi aam bhartiy flats me hall me lage bulb ya tube lights ki hi roshni se kaam chalaya jata hai. Par agar apne ghar ka pravesh dwar sajane ka man hai, to aap darwaje ke baad ek sunder shendeliar ya stylish light ka prayog kar sakte hai. ese tarah entry parbadhiya roshni bhi rahegi aur style bhi milega. Agar shendeliar jaisa lagwa rahe hai, to ese farsh se saadhe 6 foot uncha hi rakhe taki uska prabhav acha aye.

Kaisa Ho Furniture

Entry ko anavashyak aur bhari-bharkam furniture se mukt rakhna chahiye. Lekin kuch furniture to chahiye hi hota hai. Esiliye darwaje ke andar ki taraf diwar se laga kar koi stylish cabinet ya table rakh sakte hai. Aajkal kai stylish shu rack bhi aa rahe hai, Jinka upyog yaha salike se kare, to vah sajavat ke saath upyogi bhi sabit hoga, ek stylish automon ya kursi bhi rakh sakte hai.

Anupat Me Ho Carpet

Mukhya darwaje par bahar ki ore stylish doormat ka estemal karna ek samanya baat hai. Ander ki taraf aap choti dariyo ya rag ka upyog kar sakte hai. es baat ka khyal rakhe ki yah pravesh dwar ke anupat me ho yani ki na to bahut jyada bada ho na hi chota dikhe aur darwaja khulte samay esme ade nahi. eske neeche ek rubberpad ka estemal kar sakte hai taaki yah apni jagah se fisle nahi.

Khoobsurat Ho Nameplate

Bahar se sajawat ke liye ghar ke darwaje par nameplate ek style statement bhi ban sakti hai. lakdi ya matelik name plate darwaje par laga sakte hai. Name plate darwaje par laga sakte hai. Nameplates par vinyl plastic, lakadi athwa metal se bane aksharo ko ese par ukere.

Mukhya Dwar Ko De Khoobsurat Sheds

Mukhya darwaje ka akarshak aur bold hona kafi jaroori hai. Ese aap chamkeele sheds ya khobsurat paint se design de sakte hai. Apne interior aur kamro ke color theme ka anusaran karte hue ese contrast rang de sakte hai. apne darwaje ko khoobsoorat rango se paint karwaye, par dhyan rakhe ki paint ka color aisa ho, jo ankho ko ananddayak to lage hi sath hi ek khushnuma ahsaas de aur yah ghar ke bahari design se bhi mail khata hua ho.

Door Nakar Lagega Stylish

Bazar me khas darwaje ki sajja karne waali accessories khoob uplabdh hai. Jaise ki ayaran ka door nakar, wind chimes, artificial foolo ke guldaste aur bele aadi. Darwaje ko sajane me doormet, doorbell, doornob aur door nakar ka bhi upyog kar sakte hai. Enka sahi tareeke se estemaal kar apne darwaje ko master peace bana sakte hai.

Paramparagat Sajawat 

Darwaje par aapko enti jaga to mil hi jayegi ki use poudho se saja sake. Eske liye aap krateem ya prakratik poudhe darwaje ke bahar aur ander, dono taraf laga sakte hai. Flat ke bahar ki diwar par aap keligraphy ya photograph aadi ka prayog kar sakte hai. aap foolo ka khoobsurat guldasta ya aisa hi koi show peace bhi apne mukhya darwaje ke madhya me chipka sakte hai. Deep aur Ganesh pratima se bhi sajawat kar sakte hai. Pravesh dwar par bahar ki taraf se ethanik sajawat me bidanwar ka prayog karna to aam hi hai.

Banaye Photo Wall

Aap apne pravesh dwar ko upyogi sajavati, dono hi bana sakte hai, Ese tarah vaha rakhne ke liye jo saman chune, usme sirf sajawat hi nahi, upyog ka bhi dhyan rakhe. Darwaje se pravesh karte hi yadi koi deewar padti hai, to use family photo wall ki tarah estemaal kar sakte hai. Ya aisi hi kai kalakratya laga sakte hai. ese tarah aapka pravesh dwar jeewant ho uthega.

Categories