loading...

Wednesday, February 24, 2016

Vastu Kare Sahi Margdarshan- Teenager Life Aur Vastu

Kishoraastha athva Teenage baccho me vikaas ki vah avastha hai, jab vyakti ka vikaas ho raha hota hai. Es samay apnai gai aadate unke bhavishya ka nirdharan karti hai. Es avastha me apne bhavishya ko lekar bhi unmekai ashankay rahti hai. Padhai jaise medical ya non medical, commerce, art, ya humanity khel-kood, kapdo ka chunaav, kaha ghumne jaye va kai aise karya jinme vah pahle apne mata-pita ki salah liya karte the, ab unra me badlaav ke karan aur maansikta me parivartan aane ki ajah se vah kuch nirnay swaayam bhi lene lagte hai.

Eske sath-sath vah ghar me hone vale karyo me bhi apni pasand-napasand jahir karte hai ki furniture ese tarah ka lena hai ya light aisi lagwani hai va ghar ki divaro par color scheme aisi rahegi. aisa hona swabhavik bhi hai. umra ke anusaar badhte va badalte shouk me kuch buraai nahi hai parantu unka kamra aisa hona chahiye jo ki unhe sochne ki shramta pradaan kare, unke charitra ka nirmaan kare aur unka naitik vikaas kare. Yah vah samay hai jab balika apne aap ko jeevan ke liye taiyaar kar rahi hoti hai. Atah usake rahne ka sthan aisa ho jo use utsaahit kare tatha jaha rahkar vah apni yogyatao ka sahi upyog kar sake.

Fengsui me kai aise upaay hote hai, jinse apke ghar ka interior bhi adhunik rahega va jis tarah ki pasand aajkal ki ladkiya karti hai, vah bhi unke anukool rahega.

Study Room Me Kare Badlaav

  • Yadi ghar me study room alag se nahi hai to living room ke poorv me table rakh kar uska praavdhan kiya ja sakta hai aur us par lamp bhi lagva sakte hai.
  • Pashai me nirantarta bani rahe eske liye aap hare rang ke Fengsui lamp ka prayog kar sakte hai. Yah aapko poorv ki deevar par lagana hai yah na keval aapko padhai me balki kisi pratiyogita ki taiyaari me bhi madad karega.
  • Poorv disha surya dev ki disha hoti hai, esliye poorv disha ko energetic banane ke liye hare rang ka prayog behad accha rahta hai. es disha ke shubh prabhaav se aap gyaanvaan logo ke sampark me aate rahenge jo ki acche bhavishya ke liye pahli seedhi saabit hogi/
  • Yadi aap videsh jaane ke ecchuk hai to vyavya kon yani Uttar-Paschim me crystal globe lagay aur use din me teen baar ghumay.
  • Teenager ladkiyo ke liye shayankaksh ka chyan vayavya kon me ya poorv disha me kiya ja sakta hai parantu kabhi bhi dakshin-pachim, dakshin me enka shyankaksh nahi hona chahiye va unke kaksh ki uttar poorv ki divar par mata-pita ki tasveer jaror honi chahiye.
  • bed ki vyavastha dakshin se lekar paschim tak ki ja sakti hai.
  • Tasveer jo interior va Fengsui dono ka khyaal rahe, vahi lagay.
  • yadi vah kisi se prerit hai ya kisi ke vichaaro se prabhavit hai athva koi role model hai to vah uski tasveer Uttar-Poorv me laga sakti hai.
  • Ese umra me jaroorat hoti hai tej tarraar dimag va swasth shareer jisse padhai ke samay padhai va manoranjan ke samay khelo ka bharpoor anand uthayaja sake. eske liye dakshin me 2 laal ghodo ki tasveer lagai ja sakti hai yah dekhne me bhi sundar pratet hoti hai tatha laabhdayak bhi rahti hai.
  • Disha ke anusaar prakaash ka rang kai mayyano me laabh deta hai
  • Yadi fancy light ka chayan karna hai to ese disha ke anusaar kare Uttar me neele rang ki light aapko behad acche avasar pradaan karegi.
  • Poorv me hare rang va neele rang ki light prayog ki ja sakti hai.
  • Yadi aap apni dakshta me nipunta laana chahte hai to Dakshin-Paschim me peele rang ki light ka upyog kiya ja sakta hai.

Categories