loading...

Wednesday, March 16, 2016

Vastu Ke Anusaar Ho Dinning Area

Ghar ke bedroom, drawing room, toilet va rasoi aadi ki tarah ab gharo me alag se dinning area bhi banne lage hai. Aise me es aham sthan ko bhi Vastushastra ke anuroop hona chahiye.
  • Agney kon yani Dakshin-Poorv me rasoi nirmaan ke baad dining area rasoi se paschim ya sakshin me accha mana jaata hai.
  • Kabhi bhi poorv ki diwaar se sataakar dining table nahi rakhna chahiye varna disha se aane vali sakaratmak urja me avrodh utpann ho jate hai.
  • Dining areame bhojan ki table ayataakar, vargaakar va kuch paristhitiyo me oval shape ki hona sahi mana gaya hai.
  • Dining table lete samay prathmikta lakdi se bani table ko hi dijiye, metal ya plastic ki table lene se bachna chahiye.
  • Aajkal lakdi ke table par top pa shisha lagi table chalan me dikhti hai. Vastushastra ke anuroop usme kanch, marble ya alag ke lakdi ke box me rakhe, aisa karne se parivar ke sabhi sadasyo ke beechmatbhed nahi hote hai.
  • Dining area me halke rango ka upyog accha rahta hai. Creamy, narangi, gulabi aadi rang behtar hai, jo vataavaran ko bhi sukhad banaate hai.
  • Sining area me falo se sambandhit scenery lagana vastu ke anusaar accha mana gaya hai. Dining area me agar table se uncha ek bada shesha laga diya jaye to vastu ke anusaar ghar me sakaratmak urja ke praavah ko bal milta hai aur ye kaafi shubh hota hai.
  • Yadi dining area me wash basin lagaana ho to usee Uttar ya Poorv ki diwaar par lagayen aur uske upar ek bada sheesha kagane se ghan me sakaratmak urja ka praavah hone lagta hai.
  • Dining table par ek bade kanch ke bowl me alag-alag kism ke fal rakhne chahiye aur bowl hamesha bhara rahna chahiye. Aisa karne se aapke ghar me barkat ka praavah hota hai. vaise upaay ke taur par es baul me kuch kratrim fal rakh kar table ke beech me bhi saja sakte hai.

Categories