loading...

Monday, June 10, 2013

Noida - Greater Noida Me Ghar Lena Hua Ek Sapna

New Delhi: Noida, Greater Noida aur Yamuna Expressway Authorities ne haal me he zameen kee kimat badha di hai. Isse aam aadami ke liye ghar lena sapna aut mehanga ho gaya hai. in authorities ne jameen kee keemat me 40 feesadi tak ki badhoratri kee hai.

New Noida Metro Rail Corporation: 
Noida Authorities ne Noida Metro Rail Corporation (NMRC) ko special purpose weekly (SPG) banaya hai. yeh Noida aur Greater Noida ke beech proposed metro line banane me madad karega. is metro line ke bare me sabse pahale January me charcha garam hui thi. Yeh line banane me Delhi Metro Railway Corporation (DMRC) ki madad ke bagair banaya jayega. Yeh Noida or Greator Noida Authority (GNIDA) ki pahal hai. GNIDA ke chairman aur cheig executive officer Rama Raman ne kaha, "NDMRC ko isme shuru me 1,000 caroor Rs. ka investment karna pad sakta hai. January me hui board meeting me Noida- Greater Noida ke beech 29 kilometer lambi metro line banane ka elaan kia tha. Iski anumanit laagat 5,064 coror rupees thi.


AFR me Badhotri Hogi: 
Rama Raman ne Kaha, "Authority mojuda floor area ratio (AFR) ko 2.75 karegi. Wah Noida, Greater Noida Expressway ke saath special corridor develop karegi. Noida authority ne metro corridor ke saath noida-greator noida expressway ke 500 meeter ke dayere me aane wale land ka AFR badhane ka plan kia hai. Authority 500 meter ke dayere me AFR me 0.5 ka izaada karegi. ise baare me antriksh group ke managing director Rakesh Yadav ne kha, 'isse metro line ke aas paas ke elako me zameen ki value badh jayegi.





Land Price will be Higher:


Noida me group housing, residential aur industrial properties ke allotment rate me 15 feesadi ki badhotri ho rahi hai. wahi, commercial aur indusrial land rate me kramasha: 30 feesadi aur 11.25 feesadi ka izaafa aua hai greater noida me industrial ko chodkar baaki sabhi category ki zameen ke daam me 8.33 feesadi ka izafa hua hai. Industrial properties ke allotment rate pichale saal ke barabar hi hai. July 2012 me development authority ne zameen ki keemat me 7.5 feesadi se 40 feesadi ka izaafa kia tha. GNREDA ke liye yeh badhorti bahoot mahatwapoorna hai, kyoki wah cash sankat ki mushkil se joojh rahi hai. Greater noida me residential plot bahoot mahatwapoorna hai, kyoki wah cash sankat ki mushkil se joojh rahi hai. Greater Noida me new residential plot ab  1,592 rupaye prati warg meter mahange ho gaye hai. wahi, commercial space ke liye 3,155 rupaye warg meter ki extra keemat chukani hogi.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Categories