loading...

Tuesday, June 18, 2013

Builder Se Pareshan Hai, Online Manch Banaye


Social Networking va anya online forums ke madhyam se grahak ko apni property ya real estate se judi dhero samasyao ka samadhan mil raha hai. aaj grahak online shikayati portals per bhi apni shikayate darj kar rahe hai. ghar kharidne ke alawa property kharidne ya bechne per lagne wale kar, home loan, creative designe va interior ke bare me bhi log in protols ke madhyam se jankari prapt kar rahe hai.

Canada me rehne wale ek karobari 40 years Amit Goyel ne Gurgaon me ek builder ke ek project me flat book karaya. Is flat ki keemat 1 crore rs thi. Isme se enhone 80 lac rs jama bhi kara diye builder se taye sharto ke mutabik inhe apne flat ka kabza January 2013 me milna tha. per ise sambandh me unhe builder ki ore se koi jankari nahi mil pa rahi thi. karobar me vyasth-ta ke chalte property ki vartaan sthiti dekhne ve Gurgaon nahi ja sake. kagazo me diye gaye builder ke phone number aur Email Id per unke kai baar phone aur mail karne per  bhi builder ne project ke pura hone va flat ka kabja diye jane ke bare me sahi jankari nahi di. kuch dino unhone Facbook per dekh ki usi project me nivesh karne wale bangloru ke ek grahak ne bhi wahi samasya batai, jo unke samne thi. iske baad unhone us dusre grahak ke saath milkar Facebook per ek shikayati page banaya. kuch hi dino me ise page per kai sare log jud gaye. is baat ki jankari facebook ke jariye jald hi buildero ko bhi ho gai. tatkal usne sabhi grahako ko mail bhej kar project poora hone me deri ke liye maafi mangi, sath hi project ko poora kar flat ka kabja dene ki nai tithi ki ghoshna bhi ki.

Aaj ke samay me property ki uplabdhta, uski keemat, location aadi ki jankari, bade paimane per makaan.com magicbriks.com jaisi badi property va real estate se judi Websita ke madhyam se bhi ja rahi hai. Isi tarah commonfloor.com jaise kai online charcha forum bhi hai, jaha property va real estate ke kharirdar va vikreta vibhinn muddo per sanwaad karte hai. Inke madhyam se kai property ki khareed - bikry ho jati hai.

consumercomplaints.in, consumercourt.in, consumerforum.in, consumerredressal.com and complantsindia.com jaisi websits grahak va builder ke beech ek pul ka kaam kar rahi hai. badi sankhya me grahak in websits per apni shikayate darj kara kerke unka samadhan pa rahe hai. Real Estate ke jankaro i mane to Online forum ki real estate me mahatwapoorn bhumika hai. Jyadat projects me nivesh karne ke pehle grahak uske pichle records ki janch jaroor karta hai. aaj ke samay me grahak ye jankariya jutane ke liye online forum ka bhi prayog karte hai. Aise me yadi kisi builder ya property ke bare me dhero online shikayate hoti hai to uske liye dhero muskile badh jaati hai.

Jyadatar badi aur prathisthit real eastate conpanies online shikayat aane per uske jald nistaran ka prayas karti hai. yadi company ko lagta hai ki shikayat galat ki gai hai to we iska spastikaran bhi deti hai.

Real Estate karobar ke jankar rakesh purohit ne bataya ki real estate me karobar me online forum kafi prabhavi hai. kuch samay tak kisi builder ya property se sambandhit shikayat online forum ke chalte dhero grahak nivesh karne se pehle builder ki vishwasniyata ko janch lete hai. yadi unhe lagta hai ki builder unhe dhokha de sakta hai to ve aasani se property me nivesh na karne ka nirnay le sakte hai. per ise prabhavi forum ko desh me aur majboot banane ki jaroorat hai. online forum ki sabse badi kamjori hai ki ve shikayatkarta ko pahachan ko nahi janchte. Kai baar real estate companiya ek dusre ke project ke bare me galat jankari failane ke liye is forum ka prayog karti hai. wahi dusri taraf is forum ki sabse badi kamjori hai ki is forum per jo shikayate darj ki jati hai, unhe websits ke sanchalak builders tak nahi pahuchate. wahi dusri taraf jin shikayato ka nistaran builder kar dete hai, unhe websits se hataya bhi nahi jata.

Is websits ka prayog karne wale logo ke liye aisi websit per apni shikayat darj karana behetar hoga, jo aapki shikayat builder tak pahuchaye tatha usse prapt uttar grahak tak pahuchaye.

In online forums per nimn bato ki pramukhta se chahcha ki jati hai.
  • Project ke late hone, samay per pojeshan na milne va project ke nirast hone ke sabandh me.
  • Kanooni prakriya se sambandhit jankari va kagazi karyawahi ki poori jankari ke sambandh me.
  • Home loan lene ki prakriya va bank tatha anya vitya sansthao ke loan ke bare me.
  • Tax, maintenance, charge va anya kharcho ke bare me.
  • Project me pani va bijli ke conection se judi sharto ke bare me.
  • Property ki keemat ke bare me etc.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Categories