loading...

Thursday, June 13, 2013

Delhi-Mumbai Industrial Corridor a Vast Development

Delhi Se Mumbai Tak Ke Liye Swatantra Cell Corridore ka Kaam Jald Shuru

Mukhyamantri Ashok Chavhan ne Delhi-Mumbai industrial corridore ke karya ko gati dene ke liye MIDC ke antargat swatantra cell sthapit karne ke nirdesh diye hai, Mukhyamantri ne yeh nirdesh Friday ko Sahayadri guest house Delhi-Mumbai industrial corridore development corporation ki hui baithak ke dauran swatantra cell ke swaroop ke sambandh me unhone spast kiya ki yeh cell udyog sachive aur MIDC ke sanyukt karyakari adhikari ke margdarshan me karya karega, iske alawa ise cell me cidco, rajaswa aur anya vibhad ke adhikari deputation par karya karenge.

Ise beech mukhyamantri ne spast kiya ki ise project ke antargat agamai teen varsho me cinner, digghi, nashik, aurangabad, dhule me mega industrial park banaye jayenge.

 

Mega industrial park ke swaroop me viksit hone wale sahar me buniyadi suvidhaon ke karya kendra sarkar ke sahyog se Mumbai-industrial development corporation ke madhyam se poora kiya jayega mukhyamantri ne ise pariyojna ke liye avashyak bhumi adhigrahan ka karya karne ke shidhrata se shuru karne ke bhi nirdesh diya hai, baithak me rajya ke mukhya sachive J.P. Dange, Delhi-Mumbai Industrial development corporation ke sachive R.P. Singh, udhyog vibhag ke pradhan sachive ajeej khan aur MIDC ke mukhya karyakari adhikari chatrapati shivji upasthit the.


Categories