Dosto Rasoi Ghar Kisi bhi vyakti ke ghar ka sabse adhik aur mahatvapoorna sthan hota hai atah eska bahoot adhik asar hamare jeevan par padta hai esliye eske bare me jaakari hona ati avashyak hai,
Aiye jante hai ke vastu ke anusar kis tafar muh karke bhojan banana ashubh ho sakta hai aur kis disha me muh karke bhojan athava khana banana chahiye jisse hamari jindagi me shubh fal hame aur hamare parivar ko prapt ho.
Vastu Ke Anusar (Rasoi) Kitchen Bhojan Aur Disha
(Video by DekheAurSeekhe Channel) Rasoi Me Kis disha me muh karke khana banana chahiye.
Es video me hum aapko Rasoi aur Bhojan banane ki koun acchi aur kounsi durbhagya lati hai se sambandhit jaankari de rahe ha. Video me charo dishao ke baare me bataya gaya hai ki konsi disha laabhkari siddh hogi.
Indino aaine ka estemal ek sajawati saman ke taur par bhi kiya ja
raha hai! yah ghar ke vastu dosho ko theek karne me kaam aata hai! ek
khoobsurat frame ke aina kaise badhata hai ghar ki sundarta.
Ghar
ki andruni saaj-sajja me aajkal khoob estemal ho raha hai. Aaj bazar me
tarah tarah ke akarshak va kalatmak dhang se bane aaine aa rahe hai,
jinka upyog ghar ki sajawat me bhi char chand laga det ahai.
Sajayen Kalatmak Aine
Ab
Aine me uske frame ki kalatmakta par bhi gaur kiya jata hai. Lakdi,
metal, rot, Iron aadi anek chijo se bane eske manmohak frame es sadharan
se aine ko shandar roop de dete hai, aur vah aapke ghar ki shobha
badhane waale ban jata hai. aap ghar ki diwaron ke rang se male khate
aine khareed sakte hai ya phir chahe to furniture ke rang ke anusar bhi
ski kharidari kar sakte hai ya banwa sakte hai.
Choti Jagahon Ko Banaye Khaas
AIne ki apni sundarta to hoti i
hai, kisi choti jagah ko douna bada dikhane aur akarshak banane me bhi
eska estemal khoob hota hai. office ya dukano me aam taur par aine ka
estemal es uddeshya se bhi kiya jata hai. waise es tarah ki desiging ke
liye yah behad jaroori hai ki jagah ke mutabik sahi aine ka chunav kiya
jaye aur ese lagane ke liye upyukt sthan ki vyavastha ho.
Ghar Ke liye Shubh Hai
Ghar ki samanya saaj sajja se bhi ek kadam
aage badhkar aab aine ka estemal vastu aur fengushui me bhi hone laga
hai. Vastu aur fengshui me aine ka mahatv bataya gaya hai. esse sukh
samraddhi ke liye estemal kiya jata hai. Leking es uddeshya se aina
hamesha vastu shastri ki salah se hi lagayen. es sambandh me vastu ke
jaankaro ka manna hai ki vastu ke anusar lagane se shesha aapke ghar aur
karyalay me bure prabha ko kam karta hai.
Vastu va
fengshui ke anusar aina ghar ya kisi bhi sthan ki ore aane wali
nakaratmak urja ko wapas bhej deta hai, esliye vastu ke nazariye se khas
kar ghar ke bahari hisse me esnko lagane ka kaafi mahatv hai. vaises to
sajawati uddeshya se aine kai prakar ke hote hai. par yadi aap sajawat
ke saath-saath ghar ki sajawat ko theek karne ke liye bhi eska estemal
karte hai to eske liye charcoal mirror behtar bataya jata ha. uttar
poorv ki kisi bhi diwar par aine par aine kaestemal kiya jaye to mana
jaye to jata hai ki ya h poonji pravah ko doguna karne wala sabit ho
sakta hai. manyata hai ki esse unnati milegi.
Kahan Lagayen
Jahan par jagah kam hoti hai, waha sheesha lagakar
gehrai ka aabhas badhaya jata hai. aajkal ghar pahle jitne khule nahi
bante, aise me sheesha interior ki jaroorat hi ban gaya hai. esliye
adhikta ghar ke living room me ine se sajawat ki ja sakti hai. sankari
jagah me seedhi ya seedhi rekha me nahi bani jagah par tedhi diwar per
ya aisi diwar per jo 6 inch moti na ho, par aap interiors me aine
estemal kar sakte hai.
Ghar ki bahari sajawat me name
plates wali jagah par aina lagane ka ab kafi chalan hai. kahte hai eske
peeche bhi wastu aur fengshui samabandh bhi manyata hai ki wo nakaratmak
urja ko wapas bej dete hai. mana jata hai kijab aapke ghar koi aata hai
aur wo negative energy lekar aata hai to use ghar ke bahar laga hua
aina wapas bhej deta hai.
Aina Lagate Samay Rakhe Dhyan
Double sided mirror ya aamne samne
ki diwar par aina estemal karne se bachna chahiye.esse us jagah par
atpata look banta hai. jis jagah par aapko ek sundar wallpaper ya
manmohak tasveer laga rahe ho, use diwar ke samne aina lagana chahie
taaki doguna look se wo jagah adhik khoobsurat ban jaye.
Delhi me housing society ke vittiya lenden ki jaankari pane ke sambandh me kuch vishesh praavdhno ke baare me aiye jaante hai!
Delhi cooperative societies Act 2003 ke tahat cooperativ societies ke sadasya hone ke naate society ke vittiya len-den ka byora mangaa jaa sakta hai.
Jankari pane ke liye soochna adhikari (society ke sachive, adhyaksh ya koshadhyaksh, jo esse sambandhit soochna dene ke liye adhikrat hote hai) ko likhit me arji deni hoti hai!
es arji par agar 30 dino ke bheetar javab nahi aata hai, to ese radd mana jayega aur nay sire se arji deni hogi.
soochna adhikari kuch sthitiyon par suchna dene se inkaar bhi kar sakta hai, agar adalat ya pradhikaran ki taraf se es par kisi tarah ka pratibandh hai ya phir es soochna se kisi ki jaan ko khatra ho.
Soochna na mil pane ya soochna uplabdh karane ke liye uchit kaaran na diye jaane par rajistrar of societies me apeel ki jaa sakti hai.
Ghar me kitchen ek aisi jagah hai, jahan se saare parivar ki sehat ki neev padti hai. Aaj hum bata rahe hai ke Vastu ke anusaar kaisa ho kitchen.
Kuch log prashn karte hai ki rasoighar ka vastu sahi nhi hai, yah kaise jana jaye?
Ghar ka koi na koi sadasya lagatar bimaar bana rahta hai, lagatar hone vale es arthik nuksaan, karj, sadasyo ke beech har samay ki anban rahna, ye saare lakshan es baat ki ore eshara karte hai ki aapka rasoighar vastu ke lihaj se doshpoorn hai!
aiye, jaante hai vastu aur fangsui ke rasoighar se jude kuch aise niiyam, jinhe apnaakar aap apne parivar ko sehat ka tohfa de sakte hai.
रसोई वास्तु टिप्स Rasoi Me Na karen Ye Galti (by DekheAurSeekhe Channel)
Rasoighar Ke Liye Avashyak Disha
Ghar ke madhya, uttar, uttar-poorv, paschim bhag ke madhya, dakshin bhag ke madhya me aur dakshin-paschim me rasoighar ka nirman nahi karna chahiye! rasoi mukhya dwaar ke theek saamne bhi nahi honi chahiye!
Rasoighar, bathroom va toilet ki diwar se lagi hui nahi hona chahiye! rasoi jaha agni tatv ka pratik hai, vahi baathroom athva toilet jal tatv ke ! ye doni hi tatv ek-dusre ke viprit mane jate hai. Yah thiti parivar me tanav utpann karti hai aur swasth ke liye bhi hanikarak hai!
khana banane ke liye stov yani gas chulhe ko dakshin-poorv me rakhna chahiye! lekin khyaal rakhen ki yah poorv ki diwar se sata hua na hokar kuch inch door ho! chulhe ki sthiti aisi ho ki vah baahar se dikhai na de. gas silinder ki bhi dakshin-poorv me rakhna chahiye! lekin khali gas sylinder ko dakshin-paschim me rakhen!
Bijli Upkaran
Ovan, Heater aadi ki dakshin athva sakshin-poorv me sthapit karna chahiye! vahin refrigeratior ko uttar ya paschim me rakha ja sakta hai, lekin ese uttar-poorv me na rakhne!
exahust fan ya vntilation ke liye badi khidki ko poorv ki diwar me bana sakte hai, vahi choti khidki ya ventilation ke liye dakshin ki diwar bhi upyukt hai!
Saaj-Sajja
Rasoighar me estemal kiye jaane vale upkarano ke anusar uski saaj-sajja ki jaani chahiye! rasoi ka farsh marble athva siramik tiles ka banaya ja sakta hai!
Swasth se jjuda hone ke karan narangi rang rasoighar ke liye aadarsh hai! esse milte-julte rang jaise laal, pila, gulabi bhi upyukt hai! lekin nila ya baingani rang upyukt nahi hai! agar rasoi ghar ke uttar-poorv bhaag me bani hai to lemon yani halka peela rang karwayen
Anya Samanya Sujhav
rasoighar me saaman fala hua evam avyavasthit na ho.
Jaha tak sambhav ho rasoighar ka darwaja band rakhen.
Rasoighar me bijli ke jyada upkarno ko na rakhen.
Rasoighar me chulhe ka vishesh mahatv hota hai! esliye ese swach rakhen.
Toote hue va estemaal me na aane wale bartano, baasi va asvasthkarak bhojan ko rasoighar me nahi rakhna chahiye. In chijo ko jitna shighra ho sake, rasoighar se hata den.
Anaaj va daalon ko rasoighar me paschim ya dakshin disha me rakhen.
Rasoighar ka darwaja uttar, poorv athva paschim disha me ho.