loading...

Wednesday, January 21, 2015

Vastu Tips- Labhkaari aur Jaarori Prayog


Vastu ke behad jarrori aur laabhkari tips, Ye aapki jeevan dhara jo badal sakte hai aur saath hi naya aur khusnuma bana sakte hai.

 Vastu Jaroori Tips Video Dekhe
(by DekheAurSeekhe Channel)

  • Basement me nivas sthan kabhi nahi banana chahiye, eske uttar, poorve tatha eshan kon shetra ko boring va jal bhandaran ke liye prayog karna chahiye.
  • Ghar ke paas kantedaar vraksh jaise Babool aadi hone ses shatrubhay, doodh vale vrash jaise aak, kataili aadi se dhan naash aur faldaar vraksh santan ke liye hanikarak hote hai.
  • Vastu ke anusaar ghar ke dakshin me paakad ka vraksh, paschim me bad ka vraksh, uttar me gular aur purab me Peepal ho to anistkaari prabhav dalta hai.
  • Tulsi ka paudha hamesh ghar ke poorve disha ya uttar disha ki ore hi lagana chahiye, dakshin disha me tulsi kathor yaatna aur karagar ka bhay deti hai.

  • Fengsui ke anusaar hanso ka joda shayankaksh me rakhne se pati aur patni ke beech pyaar aur vishwas me vradhi hoti hai.
  • Aisi vastue jisse vaivahik jeevan ke aanandmay shrano ki yaad aati rahe, unhe naitratya kon me lagne se katuta me kami aati hai.
  • Agar pati-patni me lagatar jhagra hota hai to unhe vastu ke hisaab se apne double-bed per ekahra gadda bichana chahiye.
  • bhuhand ke beech ek ka hath gadha khodkar usme se nikali mitti ko dobara bhariye yadi mitti kam pad jaay to use bhumi per bhawan nahi banana chahiye.
  • Vastu me mitti ka bahut mahatva hai. jo mitti shvet, upjau tatha bhini-bhini mahak vali hoti hai, aawaas tatha vavsayik karyo ke liye shubh hoti hai.bhavan nirman se phle bhokhand pr paach brahmano ko bhojan karna bohat shubh mana jata hai.
  • Agar pati-patni me lagatar jhagra hota hai to unhe vastu ke hisaab se apne double-bed per ekehra gadda bichana chahiye.
  • bhukhand ke beech ek hath ka bada gaddha khodkar usme se nikali mitti ko dobara bhariye yadi mitti kam pad jay to use bhumi per bhavan nahi banana chahiye.
  • Vastu me mitti ka bahut mahatva hai. jo mitti shwet, upjau tatha bhini-bhini mahak vali hoti hai, Awaas that vyavsayik karyo ke liye shubh hoti hai. Bhawan nirmaan se pehle bhuhand per panch bramhano ko bhojan karna bahoot jaada shubh mana jaata.
  • Kamre me har tarah ke saaman ko saleeke se rakhna chahiye. esse ghar to suvyavasthit rehta hai hai, ghar me khushaali aur shanti ka mahol bhi banta hai.
  • vastu ke anusaar ghar ko sakaratmak uurja aur khusnuma mahol dene ke liye bhawan ki diwaron per manmohal rango ka estemal bhi jyaada karna chahiye.

  • Ghar me gandagi, kuda-kabad aur bikhre pade saaman se ghar ke sadasyo ko apne lashya hasil karne me bahoot kathinaiyo ka saamna karna padsakta hai.
  • Vastushatra ke anusaar bedroom me palang ke theek saamne aina hona ashubh hota hai. esse grahswami ko anidra, baicheni jaisi pareshaniyo ho sakti hai.
  • Agnikon me aanar ka ped shubh phal seta hai, lekin es disha me vat, peepal, paakad aur goolar ka ped takleef aur mratutulya kasth deta hai.
  • yadi padhai karte vakt bahoot jyaada neend aati ho, padhani me man na lage, rukawat aaye to eske liye chatra ko poorv ki deesha sirhana karke sona chahiye.

Categories