loading...

Thursday, January 22, 2015

Lease Aur Licence Me Antar Jane

Difference between Lease and License
Aapne aksar lease property aur license property e bare me suna hoga, aamtaur per log dono ko ek hi prakriti ka maan lete hai, lekin dhyaan rahe ki ye dono apne vyavhar aur hit ke anusar bilkul hi alag hai.

Property ko lease ya license per dena atirikt income ka jariya ho sakta hai, kai log lease ya license wali property me antar nahi samajhte. In dono ke beech antar hota hai, phir bhi kisi property ke mamle me yeh pehchan karna ki lease hai ya license kaafi kathin hota hai.


Adalato ne yeh pramanit karne ke liye sidhant aur sujhav rakhe hai, Jinme yeh pehchan ki ja sake ki sauda lease hai ya license. Licensing se viprit property ki lease ko property transfer act ke tahat achal sampatti ke hastantaran ka jariya mana jata hai. lease karne wala property ke kabje ko pane ka adhikari hota hai aur leasekarta ki choot per property ko estemal karne ka adhikari hota hai. es prakar lease achal sampatti ke kabje me hit (swamitwa ka adhikar) ka transfer hota hai. License me property ka kabja malik ke paas hi rehta hai, lekin license lene wale ko kisi vishesh uddeshya ke liye parisar ka estemal karne ki anumati mil jati hai.
Es tarah se license lene wale ke paksh me property me kisi tarah ka hit nahi banta aur license lene wala license dene wale ke dwara sahmat tareeke se hi property ka estemal kar sakta hai vyapak roop se kaha jay to kisi saude me vyakti ko property ka seemitestemal karne ko kaha jaye ya uske adhikar seemit kar diye jaye aur niyantran me hi rahe to aises saude ko party ka vishesh kabja mil jata hai to use pratyksh drastyta kirayedar hi mana jayega. lekin aise me paristhitiya sthapit ho sakti hai, jo lease taiyar karne ki mansha nakarti hai.
yaha ese tarah ke saudo ke kuch vyapak sanket diye gaye hai, jo samanya taur per court me lease ya license ke roop me pesh kiye jaate hai. Kuch mamlo me jaha lease karne walo ko property ka vishesh abja diya gaya ho to aise dastavejo ko court dwara ek lease deed ke roop me mana gaya hai. Vahi doosri taraf jaha prativadi ko vivadit sampatti ka kisi vishesh prayojan ke liye vishesh kabja diya gaya hai, lekin usane property ko sab lease karne ki anumati nahi di hai, vaha saude ko license mana gaya hai. rochak yeh hai ki aise bhi mamle mile hai, jaha parisar ki chabhiya license lene wala subah leta hai aur sham ko wapas kar deta hai. yeh sauda court ne license ke roop me mana hai. Vivado ko kam karne ke uddeshya se partiyo ko saude ke dastavej me yeh spast roop se likhna chahiye ki yeh lease hai ya license.


Lease deed ya license deed me kiraya/ license fees, kis party ka property er vishesh kabja rahega, property ke estemal ke niyam etyadi spast roop se likhe jaane chahiye. kisi saude ki prakrity agar vastav me lealsle jaisi hai to sadharan taur per use dastavej ko license deed ka naam dene bhar se vah license deed nahi ban jata. yeh pahle se hi sthapit hai ki saude ki prakrity ka nirdharan karne ke liye dastavej ka naamkaran gaud hota hai. Saude ki sahi prakrity ko jaane ke liye court partiyo ke sahi maksad ko janne prayas karti hai ki kya ve lease banana chah rahe the ya license? Court dastavej ki bhasha aur un tathyo va paristhitiyo per gaur karti hai, na ki partiyo dwara use dastavej ko diye gaye naam per.

Categories