loading...

Monday, November 11, 2013

Bade Naam Ka Arth Quality Nahi

Interior Design Business ke bade namo ke saath anubandh karne ka arth quality ki guaranty nahi. 

Kuch Client kehte hai ki unhe ghatiya darje ka kaam aur chalau material se 2-4 hona pada. Aage Report me padhe.

Jab Noida Espressway per bane Omex Grindwood ke niwasi Naresh Kumar ne apne appartment ko taiyar karwane ke liye interior design business ke bade naam se karar kia to unhone socha bhi na tha ki unhe kya-kya musibate jhelni padegi. Lagane ke chandedino baad hi unke kitchen ka saara lakdi ka kaam gir gaya. 'Mujhe Wada Kiya Gaya Tha Ki Ese Kaam Me UcchQuality ke Plywood ka Istemal Kiya Jayega, Lekin Aisa Kiya Hi Nahi Gaya'.


Esse Neeraj Kumar ne jila upbhokta forum me ek mamla darj kiya, Jisse company per yeh kehte hue jurmana lagaya gaya ki usne yachika karta dwara ghatiya quality ka particle board estemal ker pedit paksh ka mansik aur sharirik utpidan kiya hai. Company ko Interior Design ke liye Neeraj Kumar dwara chukay gay 3 lac wapas karne ka nirdesh diya gaya. Eske baad bhi company ne court ke adesh ka palan nahi kiya aur Kumar ko ese adesh ke palan ke liye 1 aur yachika dayar karni padi.

Kai interior design companys dwara apnay ja rahe dhokhebaji wale hathkando ke khilaf upbhikta adalato me kai mamle arahe hai chunki carpenter, electrician, plumber aadi ko khojne me mushkil hone ke chalte kai log sochte hai ki ghar ka kaam karne ke liye ek hi jagah per samadhan uplabdh karane wali company se karar karna suvidhajanak hoga.

Kai interior design companies ne malls tatha nai socities me dukane khol rakhi hai aur nay gharo ke kharidaro per jaal faikti hai ki way unke ghar ko behad khoobsurat bana degi Ek baar unke jhase me aane ke baad bechare ghar ke malik ko ek 3 dimension design plan ke liye 2000 rs prati kamre ke hisab se chukana hota hai. Eske baad company apne logo ko apke ghar per bhejti hai, eeskee baad company apne logo ko apke ghar per cupboard aur cabinets ke naap ke liye site visit karte hai. Kumar ki hi tarah musibat jhel chuke ek any grahswami kehte hai ki grahak 3-D software ki madad se banekhoobsoorat plan dekhkar prasan ho jate hai aur sochte hai ki unka kam poori shiddat ke sath kiya jayega. company ne unka kaam poora karne ke liye 4 month ka samay diya tha, lekin kaam karne me usne dedh sal ka samay laga diya.


Aise bhi mamle hai, jaha companies ne apne grahak se 50 feesadi advance lene ke baad keemat badha di. Kewal yahi nahi spacification, samay-seema aur jurmana rashi ke ullekh wale kanooni anubandh bhi dastkhat nahi kiye gay.
Greater Noida me rehne wale ek software engineer Altansh Varma ne bhi upbhokta adalat me interior designer company ke khilaf yachika dayar ki hai. Esme unhone kaha hai ki unke mamle me carpenter ka kaam kahi dusri jagah per kia gaya aur wah us kaam ka nirikshan gunwatta se khilwaad kiya, Anadi aur nauseekhiye karigaro se kaam karaya gaya. Cupboard aur cabiner ka kaam kisi dusri jagah karane ke baad jab karmchariyo ki team aai to usne 10 ghante me sara kaam khatm kar diya. pehli nazar me to finish sahi lag raha tha, lekin kuch dino ke baad khamiya samne aane lagi. Yahi waqt hai, jab grahak compani se apna paisa wapas pane ke liye ya khamiyo ko door karne ke liye ek lambi, lekin kadai se ladai lade.

Categories