loading...

Wednesday, August 28, 2013

Rental Growth Me Dwarka, Lajpat Aur Defence Colony Top Per

Delhi Rental Rates On Top

New Delhi: Ke Rehayashi Elako me rental growth the lihaj se dwarka sector 29, Lajpat Nagar aur Defence Colony ne sabse jyada teji dekhai hai. Pechle 4 saal se 6 mahine me en elako me gharo ka kiraya 5-8 feesadi tak badha hai. Dwarka sector 3, 6, 11, 12, 14, 22, 23, Vasundhra Enclave, Indraprasth Extension, Patpatganj, Pachim Vihar, Jaise elako me rental me koi khas badlav nahi aya hai, Jabki Kailash Colony, Kalkaji Extension me rental girawat dekhne ko mili hai. Property consultants aur research farmo ka kehna hai ki Metro ki prastavit lines aur anya infra projects ke chalte sthaniya property ki capital value to badh rahi hai, lekin rental gir raha hai. Aise elako me aage bhi rental per dabav bana rahega. Jankaro ka yeh bhi kehna hai ki agale 6 mahine tak south aur west delhi ke residential elako me rental per sabse jyada dabaw rahega.



Real Estate Portal Magic-Brics-Dot-Com ki head (content end research) Jayshri Kurup ne haliya sarve aur taja research data ke hawale se bataya 'Delhi ke jin elako me road linkez, modern transport, retailing behetar hui hai ya residential quality badhne ki sambhawana hai, waha rehayshi kiraye badh rahe hai. Pechle 3-4 mahino me rental value ke lihaj se Dwarka, Saket aur Mayur Vihar Phas-1 top per rahe hai. Eske baad Vasant Kunj, Malviya Nagar, Safdarganj Enclave, Hauz Khas, Sareta Vihar, Janakpuri aur Greater Kailash ka number aata hai. 

Agar growth ki baat kare to mila-jula trend nazar aata hai. 'Unhone bataya ki April se ab tak Dwarka Sector-9 me Rental growth sabse jyada 8%, Lajpat Nagar 1 me 6% aur Defence Colony me 5% badha hai. Yeh Badlav January se March Timahi ke mukable darj kia gaya hai. Waha Dwarka sector 3, 6, 11, 12, 14, 22, 23, Vasundhra Enclave, Indraprasth Estension, Patpadganj, Pachim Vihar jaise Elako me rental stable hai. Kailsh colony me rental 8 fesadi gira hai, Jabki Kalkaji Extension me 6 fesadi aur Malviy Nagar, Kalkaji me 4 fesadi ki giravat darj ki gai hai.

Portal k iek taja report me kaha gaya hai ki jin elako me metro, road corridore, flyover ya doosare tarah ke infra projects prastavit hai, waha kiraya ghat raha hai, jabki capital value badh rahi hai, logo me dar hai ki khudai, todfod aur jaam se living quality bigadegi, filhal Malviya Nagarme average rental value 22 rs prati varg foot monthly hai. East Of Kailash aur Chitranjan park me 27 rs., Dwarka ( sabhi sectors ka ausat) 12Rs. IP Extension me 17rs. Vasundhra Enclave me 18 Rs. aur Pachim Vihar me 11 Rs darj ki gai hai.

 

Sidhi Vinayak Basera Assosiate ke ravi kumar kehte hai, 'kai Posh aur mahange elako ke pas bheed badhne ke chalte kiraydar chitakne lage hai. Okhla industrial area ke aaspas aise trend dikhe hai, jabki kuch colloniyo me parking ki dikkat se rental me girawat arahi hai. 'Mayur Vihar phes me-1 aur 2 ke property dealers ka kehna hai ki Noida ke kareeb hone se multinational companies me kaam karne wale high paying professionals ka rujhan udhar ho raha hai, lekin be modern fixers and fittings chahte hai, jabki yaha ke jyadatar flat purane patern per bane hai. Esse en elako ko kai ache kiraydar nahi mil pa rahe hai.

Propery Consullants ke mutabik Delhi Sarkar aur Central Skeemo ke tahat agami mahino me South, South-West aur West me sabse jyada infra projects prastavit hai. chunavo ke maddenazar kai elako me construction chal bhi raha hai. Eske chalte agali 2-3 timahiyo tak residential rental per dabaw rahega aur 10% tak girawat asakti hai.  

 



Categories