loading...

Saturday, August 10, 2013

Duniya Me Reality Ki Keemato Me Teji me Delhi Sabse Aage

Delhi is Number One in Property Value on The Earth

New Delhi: Pichle saal me bharat me real estate ki keemato me sabse tez badhotri hui hai. Duniya bhar se real estate data collect karne wali global property guide ke mutabik, Delhi me property ki keemato me 43 anya desho ke shahro ke mukable kareeb 60 feesadi ki sabse jyada teji aai hai.

Dilchasp baat yeh hai ki ese data me bharat me kewal delhi ki jaankari di gai hai, jabki bharat ke shahro ke official data se pata chalta hai ki ese dauran Jaipur me residential property ke daam me sabse jyada 67 feesadi ki vradhi hui hai. Delhi me pechle 2 saal me property ke daam me 60 feesadi ki badhotri brazil ke Sao Pawlo se kareeb 20% jyada hai, Jo Duniya ka sabse teji se badhne wala property market hai.

2011 ke pehle quarter se 2013 ke pehle quarter tak sao pawlo me real estate ke daam 43% badhe hai. Duniya me teesre sabse teji se badhne wale hongcong me market me esi dauran property ke daam 33% ki badhotri hui hai. Dubai bhi 2000 ki shuruat me property boble footne ke baad ab recovery ki ore badhta dekh raha hai. Pechle 2 saal me 43 desho me se kewal 12 me property prices me double-digit growth hui hai.

Enme se Jyadatar Emerging Economy hai. Turki, Estonia, Philipince, Narway, Iceland, Indoneshia, South Africa, aur New Zealand me property ke daam me 10% se jyada badhe hai.

Data se pata chalta hai ki duniya ke sabse bade real estate market me economy ki recovery ke sath property ke daam chadh rahe hai. America me 2012 ke pehle ke quarter se 2013 ke pehle qaurter tak prices 9% badhe hai. Esse pehle enme girawat aai thi. Ese dauran bejing me bhi reality prices me 8% ki growth darj ki gai hai. Bharat me lagbhag sabhi saharo me property prices me teji dekhi gai hai.

National housing bank ke property prices index resideks se pata chalta hai ki desh ke 15 bade shehro me se kewal 2 me 2007 ke baad se property prices gire hai. 2007 index ka Eare hai.

Categories