loading...

Sunday, January 31, 2016

Baccho Ka Kamra Kaisa Ho

Baccho Ki Tarah Sajay Baccho Ka Kamra


Jab bhi aap bacche ke liye kamra sajay to es baat ka dhyaan rakhe ki kamra uski jaroorat aur umar ke hisaab se fit baithe.

Jab bhi ham apne baccho ke liye kamra taiyaar karne ki baare me sochte hai to sabse badi chuk yeh kar jaate hai ki use bado ki tarah parfect banane ki kosis me jute rahte hai. Use apne hisab se taiyar karne ki yojana banate hai, Lekin visheshgyo ka manana hai ki bacche ka kamre ko agar sahi mayano me taiyar karna hai to bacche ke star par jakar sochna hoga. Uski jarorate kya hai, uski pasand-npasand aadi bato ka dhyan rakhna hoga.

Nursery Children Room

  • Agar aapke ghar me baccha hai to use sirf ghar me farsh se matlab hota hai. vah to vahi par khelta rahta hai, esliye ghar me jyaada se jyada khali space hona chahiye jisse baccho ko khelne ki khoob jagah mile.
  • Jin furniture ka jyada estemal na ho, unhe hata de.
  • Diwaro par gaadhe rang karwana accha rahta hai. Ha, paint jaroor washable hona chahiye, jisse bacche jo diwar par likhe ya range, use saaf kiya ja sake.
  • Diwaro par aise waal paper lagwa sakte hai, jin par cartoon ya narsary poems likhi ho ya unke character bane ho. Eska ek fayeda yah hai ki en walpapers ko aap asani se utaar sakte hai aur jab bhi apne bacche ke kamre ko phir se sajane ki soche to aisa kar sakte hai.
  • Es baat ka dhyan rakhe ki bacche ki pahuch me koi nukili chij na aane paye. Bijli aadi ke switch bhi unki pahuch se door hi rakhe, Chote bacccho ke kamre ke liye en bato ka khaas khyal rakhe. 
  • Flooring acchi honi chahiye
  • Shelf chaude hone chahiye
  • Parde kamre ki theme ke anusar hone chahiye

Pre-Teen Children Room

5-6 saal ki umra ke baccho ke baccho ki jaroorat badhne lagti hai. aise e unhe yah bhi seekhana avashyak hai ki kamra thik karne ki jimmedari unki hai, Diwaro par jyaada gadhe rang na karwaye, en baato ka dhyaan rakhe-
  • Jyaada cabard aur shelf hone chahiye.
  • Ek bacche ke liye singal bed aur do baccho ke liye dual level bunk bed hone chahiye.

Teenager Room

Kishoravastha me kadam rakh chuke baccho ke liye aap kisi khas niyam ko nahi apna sakte. es umar ke baccho ke liye acchi privacy mahatv rakhti hai, esliye darwaje acchi tarah se lock hone vale ho, khirkiyo ke sheeshe bhi transparent nahi hone chahiye.

Poore din ki thakaan ke baad aram karne ke liye avashyak sabhi suvidhay honi chahiy. Aapse ve jo saaf-safai, jimedari, privacy aur milyo ka paath seekhenge, ve poori jindagi unke saath rahega.

Categories