loading...

Tuesday, July 23, 2013

Ragistry Sang Lagani Hogi Sampatti ki Satellite Picture

Ab Ragistry karate Samay Stamp Chori Aur Vibhag Ko Gumrah Nahi Kar Sakenge Kreta Aur Vikreta

Greater Noida: Ab sampatti ki ragistry karwate waqt uski satellite picture bhi deed (Bainama) ke sath lagani hogi. Esse sab ragistrar satellite picture dekhkar sampatti ki location jaan sakenge.
Darasal prashan aur shashan lagatar badh rahe stamp chori ke mamle se pareshan hai. Property dealer aur kreta-vikreta adhikariyo ko gumrah karke galat dhang se ragistry karwa lete hai.


Uttar Pradesh sarkar ka stamp ewam ragistry vibhag online ho gaya hai. Pradesh bhar ke sa ragistrar karyalayo me internet aur server linkup ki suvidhaye hai. sampattiyo ka byora online karne ke baad ab sarkar ragistry prakriya ko asan aur pardashi bana rahi hai. Essi prakriya ke tahat shashan ne aadesh jari kiya hai ki sab ragistrar karyalayo me jab koi vyakti ragistry karwane ke liye ayega to usse sampatti ki satellite picture bhi li jayegi aur location poochi jayegi. eske jariye satellite picture Google Earth se download kiye ja sakenge.
Yeh picture bainama ke sath lagai jayegi. ese baare me sahayak mahanirikshak (stamp) S.N. Rai ne bataya ki Noida aur Greater Noida sa ragistrar karyalayo me yeh vyastha laagu ho gai hai. Tehseel star per sa ragistrar karyalayo ko bhi amal karne ko kaha gaya hai. esse stamp ki chori rukegi.

Adalato Me Mukadmo Ka Ambaar: Jile me har saal ausatan 2 lac ragistry hoti hai. Adhikariyo ka kehna hai ki agar 5 feesadi bhi stamp chori ke mamle ho to kareeb 10,000 stamp chori ke mamle samne aate hai. aise logo se stamp vasooli karne ke liye vibhag ko mukadma ladna padta hai.


Categories