loading...

Thursday, April 28, 2016

Aine Se Sajayen Ghar

Indino aaine ka estemal ek sajawati saman ke taur par bhi kiya ja raha hai! yah ghar ke vastu dosho ko theek karne me kaam aata hai! ek khoobsurat frame ke aina kaise badhata hai ghar ki sundarta.

Ghar ki andruni saaj-sajja me aajkal khoob estemal ho raha hai. Aaj bazar me tarah tarah ke akarshak va kalatmak dhang se bane aaine aa rahe hai, jinka upyog ghar ki sajawat me bhi char chand laga det ahai.

Sajayen Kalatmak Aine

Ab Aine me uske frame ki kalatmakta par bhi gaur kiya jata hai. Lakdi, metal, rot, Iron aadi anek chijo se bane eske manmohak frame es sadharan se aine ko shandar roop de dete hai, aur vah aapke ghar ki shobha badhane waale ban jata hai. aap ghar ki diwaron ke rang se male khate aine khareed sakte hai ya phir chahe to furniture ke rang ke anusar bhi ski kharidari kar sakte hai  ya banwa sakte hai.

Choti Jagahon Ko Banaye Khaas

AIne ki apni sundarta to hoti i hai, kisi choti jagah ko douna bada dikhane aur akarshak banane me bhi eska estemal khoob hota hai. office ya dukano me aam taur par aine ka estemal es uddeshya se bhi kiya jata hai. waise es tarah ki desiging ke liye yah behad jaroori hai ki jagah ke mutabik sahi aine ka chunav kiya jaye aur ese lagane ke liye upyukt sthan ki vyavastha ho.

Ghar Ke liye Shubh Hai

Ghar ki samanya saaj sajja se bhi ek kadam aage badhkar aab aine ka estemal vastu aur fengushui me bhi hone laga hai. Vastu aur fengshui me aine ka mahatv bataya gaya hai. esse sukh samraddhi ke liye estemal kiya jata hai. Leking es uddeshya se aina hamesha vastu shastri ki salah se hi lagayen. es sambandh me vastu ke jaankaro ka manna hai ki vastu ke anusar lagane se shesha aapke ghar aur karyalay me bure prabha ko kam karta hai.

Vastu va fengshui ke anusar aina ghar ya kisi bhi sthan ki ore aane wali nakaratmak urja ko wapas bhej deta hai, esliye vastu ke nazariye se khas kar ghar ke bahari hisse me esnko lagane ka kaafi mahatv hai. vaises to sajawati uddeshya se aine kai prakar ke hote hai. par yadi aap sajawat ke saath-saath ghar ki sajawat ko theek karne ke liye bhi eska estemal karte hai to eske liye charcoal mirror behtar bataya jata ha. uttar poorv ki kisi bhi diwar par aine par aine kaestemal kiya jaye to mana jaye to jata hai ki ya h poonji pravah ko doguna karne wala sabit ho sakta hai. manyata hai ki esse unnati milegi.

Kahan Lagayen

Jahan par jagah kam hoti hai, waha sheesha lagakar gehrai ka aabhas badhaya jata hai. aajkal ghar pahle jitne khule nahi bante, aise me sheesha interior ki jaroorat hi ban gaya hai. esliye adhikta ghar ke living room me ine se sajawat ki ja sakti hai. sankari jagah me seedhi ya seedhi rekha me nahi bani jagah par tedhi diwar per ya aisi diwar per jo 6 inch moti na ho, par aap interiors me aine estemal kar sakte hai.

Ghar ki bahari sajawat me name plates wali jagah par aina lagane ka ab kafi chalan hai. kahte hai eske peeche bhi wastu aur fengshui samabandh bhi manyata hai ki wo nakaratmak urja ko wapas bej dete hai. mana jata hai kijab aapke ghar koi aata hai aur wo negative energy lekar aata hai to use ghar ke bahar laga hua aina wapas bhej deta hai.

Aina Lagate Samay Rakhe Dhyan

Double sided mirror ya aamne samne ki diwar par aina estemal karne se bachna chahiye.esse us jagah par atpata look banta hai. jis jagah par aapko ek sundar wallpaper ya manmohak tasveer laga rahe ho, use diwar ke samne aina lagana chahie taaki doguna look se wo jagah adhik khoobsurat ban jaye.

Friday, April 15, 2016

Latest Property Tips- Housing Society and Vishesh Pravshan

Delhi me housing society ke vittiya lenden ki jaankari pane ke sambandh me kuch vishesh praavdhno ke baare me aiye jaante hai!

  • Delhi cooperative societies Act 2003 ke tahat cooperativ societies ke sadasya hone ke naate society ke vittiya len-den ka byora mangaa jaa sakta hai.
  • Jankari pane ke liye soochna adhikari (society ke sachive, adhyaksh ya koshadhyaksh, jo esse sambandhit soochna dene ke liye adhikrat hote hai) ko likhit me arji deni hoti hai!
  • es arji par agar 30 dino ke bheetar javab nahi aata hai, to ese radd mana jayega aur nay sire se arji deni hogi.
  • soochna adhikari kuch sthitiyon par suchna dene se inkaar bhi kar sakta hai, agar adalat ya pradhikaran ki taraf se es par kisi tarah ka pratibandh hai ya phir es soochna se kisi ki jaan ko khatra ho.
  • Soochna na mil pane ya soochna uplabdh karane ke liye uchit kaaran na diye jaane par rajistrar of societies me apeel ki jaa sakti hai. 

Monday, April 4, 2016

Kitchen Me Jo Bhi Bane, Vastu Ke Anusaar Vah Shubh Ho

Ghar me kitchen ek aisi jagah hai, jahan se saare parivar ki sehat ki neev padti hai. Aaj hum bata rahe hai ke Vastu ke anusaar kaisa ho kitchen.

Kuch log prashn karte hai ki rasoighar ka vastu sahi nhi hai, yah kaise jana jaye?
Ghar ka koi na koi sadasya lagatar bimaar bana rahta hai, lagatar hone vale es arthik nuksaan, karj, sadasyo ke beech har samay ki anban rahna, ye saare lakshan es baat ki ore eshara karte hai ki aapka rasoighar vastu ke lihaj se doshpoorn hai!

aiye, jaante hai vastu aur fangsui ke rasoighar se jude kuch aise niiyam, jinhe apnaakar aap apne parivar ko sehat ka tohfa de sakte hai.

रसोई वास्तु टिप्स
Rasoi Me Na karen Ye Galti
(by DekheAurSeekhe Channel)

Rasoighar Ke Liye Avashyak Disha 

Ghar ke madhya, uttar, uttar-poorv, paschim bhag ke madhya, dakshin bhag ke madhya me aur dakshin-paschim me rasoighar ka nirman nahi karna chahiye! rasoi mukhya dwaar ke theek saamne bhi nahi honi chahiye!
Rasoighar, bathroom va toilet ki diwar se lagi hui nahi hona chahiye! rasoi jaha agni tatv ka pratik hai, vahi baathroom athva toilet jal tatv ke ! ye doni hi tatv ek-dusre ke viprit mane jate hai. Yah thiti parivar me tanav utpann karti hai aur swasth ke liye bhi hanikarak hai!

khana banane ke liye stov yani gas chulhe ko dakshin-poorv me rakhna chahiye! lekin khyaal rakhen ki yah poorv ki diwar se sata hua na hokar kuch inch door ho! chulhe ki sthiti aisi ho ki vah baahar se dikhai na de. gas silinder ki bhi dakshin-poorv me rakhna chahiye! lekin khali gas sylinder ko dakshin-paschim me rakhen!

Bijli Upkaran

Ovan, Heater aadi ki dakshin athva sakshin-poorv me sthapit karna chahiye! vahin refrigeratior ko uttar ya paschim me rakha ja sakta hai, lekin ese uttar-poorv me na rakhne!

exahust fan ya vntilation ke liye badi khidki ko poorv ki diwar me bana sakte hai, vahi choti khidki ya ventilation ke liye dakshin ki diwar bhi upyukt hai!

Saaj-Sajja

Rasoighar me estemal kiye jaane vale upkarano ke anusar uski saaj-sajja ki jaani chahiye! rasoi ka farsh marble athva siramik tiles ka banaya ja sakta hai!
Swasth se jjuda hone ke karan narangi rang rasoighar ke liye aadarsh hai! esse milte-julte rang jaise laal, pila, gulabi bhi upyukt hai! lekin nila ya baingani rang upyukt nahi hai! agar rasoi ghar ke uttar-poorv bhaag me bani hai to lemon yani halka peela rang karwayen

Anya Samanya Sujhav

  • rasoighar me saaman fala hua evam avyavasthit na ho.
  • Jaha tak sambhav ho rasoighar ka darwaja band rakhen.
  • Rasoighar me bijli ke jyada upkarno ko na rakhen.
  • Rasoighar me chulhe ka vishesh mahatv hota hai! esliye ese swach rakhen.
  • Toote hue va estemaal me na aane wale bartano, baasi va asvasthkarak bhojan ko rasoighar me nahi rakhna chahiye. In chijo ko jitna shighra ho sake, rasoighar se hata den.
  • Anaaj va daalon ko rasoighar me paschim ya dakshin disha me rakhen.
  • Rasoighar ka darwaja uttar, poorv athva paschim disha me ho.

Categories