loading...

Wednesday, February 24, 2016

Vastu Kare Sahi Margdarshan- Teenager Life Aur Vastu

Kishoraastha athva Teenage baccho me vikaas ki vah avastha hai, jab vyakti ka vikaas ho raha hota hai. Es samay apnai gai aadate unke bhavishya ka nirdharan karti hai. Es avastha me apne bhavishya ko lekar bhi unmekai ashankay rahti hai. Padhai jaise medical ya non medical, commerce, art, ya humanity khel-kood, kapdo ka chunaav, kaha ghumne jaye va kai aise karya jinme vah pahle apne mata-pita ki salah liya karte the, ab unra me badlaav ke karan aur maansikta me parivartan aane ki ajah se vah kuch nirnay swaayam bhi lene lagte hai.

Eske sath-sath vah ghar me hone vale karyo me bhi apni pasand-napasand jahir karte hai ki furniture ese tarah ka lena hai ya light aisi lagwani hai va ghar ki divaro par color scheme aisi rahegi. aisa hona swabhavik bhi hai. umra ke anusaar badhte va badalte shouk me kuch buraai nahi hai parantu unka kamra aisa hona chahiye jo ki unhe sochne ki shramta pradaan kare, unke charitra ka nirmaan kare aur unka naitik vikaas kare. Yah vah samay hai jab balika apne aap ko jeevan ke liye taiyaar kar rahi hoti hai. Atah usake rahne ka sthan aisa ho jo use utsaahit kare tatha jaha rahkar vah apni yogyatao ka sahi upyog kar sake.

Fengsui me kai aise upaay hote hai, jinse apke ghar ka interior bhi adhunik rahega va jis tarah ki pasand aajkal ki ladkiya karti hai, vah bhi unke anukool rahega.

Study Room Me Kare Badlaav

  • Yadi ghar me study room alag se nahi hai to living room ke poorv me table rakh kar uska praavdhan kiya ja sakta hai aur us par lamp bhi lagva sakte hai.
  • Pashai me nirantarta bani rahe eske liye aap hare rang ke Fengsui lamp ka prayog kar sakte hai. Yah aapko poorv ki deevar par lagana hai yah na keval aapko padhai me balki kisi pratiyogita ki taiyaari me bhi madad karega.
  • Poorv disha surya dev ki disha hoti hai, esliye poorv disha ko energetic banane ke liye hare rang ka prayog behad accha rahta hai. es disha ke shubh prabhaav se aap gyaanvaan logo ke sampark me aate rahenge jo ki acche bhavishya ke liye pahli seedhi saabit hogi/
  • Yadi aap videsh jaane ke ecchuk hai to vyavya kon yani Uttar-Paschim me crystal globe lagay aur use din me teen baar ghumay.
  • Teenager ladkiyo ke liye shayankaksh ka chyan vayavya kon me ya poorv disha me kiya ja sakta hai parantu kabhi bhi dakshin-pachim, dakshin me enka shyankaksh nahi hona chahiye va unke kaksh ki uttar poorv ki divar par mata-pita ki tasveer jaror honi chahiye.
  • bed ki vyavastha dakshin se lekar paschim tak ki ja sakti hai.
  • Tasveer jo interior va Fengsui dono ka khyaal rahe, vahi lagay.
  • yadi vah kisi se prerit hai ya kisi ke vichaaro se prabhavit hai athva koi role model hai to vah uski tasveer Uttar-Poorv me laga sakti hai.
  • Ese umra me jaroorat hoti hai tej tarraar dimag va swasth shareer jisse padhai ke samay padhai va manoranjan ke samay khelo ka bharpoor anand uthayaja sake. eske liye dakshin me 2 laal ghodo ki tasveer lagai ja sakti hai yah dekhne me bhi sundar pratet hoti hai tatha laabhdayak bhi rahti hai.
  • Disha ke anusaar prakaash ka rang kai mayyano me laabh deta hai
  • Yadi fancy light ka chayan karna hai to ese disha ke anusaar kare Uttar me neele rang ki light aapko behad acche avasar pradaan karegi.
  • Poorv me hare rang va neele rang ki light prayog ki ja sakti hai.
  • Yadi aap apni dakshta me nipunta laana chahte hai to Dakshin-Paschim me peele rang ki light ka upyog kiya ja sakta hai.

Sunday, February 21, 2016

Fengsui Tips- Labhdayak Aur Jaroori Upaay

Fengsui se judi aisi kai bate hai hai, jinhe aap apni dincharya me shamil karke sukh, sobhagya, acche swasthya, tarakki evam dhan ki prapti kar sakte hai:

Fengsui Ke Aasan Upay

  • Asli ya artificial narangi ka paudha apne ghar me rakhe, Esse makaan ki shobha badhegi, saath hi dhan laabhbhi hoga.
  • 3 chini cikko (coins) ko laal rang ke dhage se bandhkar apni nakad peti me rakh de. Esse bhi dhan me badhotri hogi.
  • Arthik Laabh ke liye aap chahe to vishesh fengsui Items jaise: Laughing buddha, 3 tango wala mendhak aadi ko bhi apne makaan me khaas jagah de sakte hai.
  • Parivarik sukh-shanti ke liiye living room ki dakshin-pachim disha me sfatik ke 2 gole latkaay.
  • Parivar ke sabhi sadasyaeksaath baithkar khana khaye, Esse aapsi sambandh majboot hote hai.
  • Khush-haal dampatya jeevan ke liye bedroom ki Dakshin-Pachim disha me transparent ya laal rang ke sfatik ke 2 gole tang de.
  • Esi tarah medreen batakh ko apne bedroom me khaas jagah dekar aap apne dampatya jeevan ko aur bhi khushaal bana sakte hai.
  • tarakki ke liye office ki Dakshin disha me finiks pakshi ki tasveer ya painting lagay, Vyapaar me badhotari ke liye ye bahoot upyogi hota hai.
  • Esi tarah office me nakli sone ke sikko se bhara samudri jahaaj rakhkar bhi vyavsaay me unnati ke suavsar prapt kiye ja sakte hai.
  • Sobhagya prapti ke liye disha ke tatv ko dhyaan me rakhe aur usi ke anusaar makaan ke vibhinnkamro me wind chimes latkaay.
  • sobhagya pane ke liye mukhya dwar ke upar ghode ki naal lagana bhi shubh hota hai. Ha, es baat ka dhyaan rakhe ki naal ke dono sire neeche ki ore ho.
  • Acche swasthya ke liye ghar me jeevit ya artificial kachua rakhe, Esi tarah ghar me baans (banboo) ke paudhe rakhkar bhi accha swasthya va lambi umra payi ja sakti hai.
  

Wednesday, February 17, 2016

Privar Ki Khushali Ke Liye Apnaye Vastu


Aaj hum chahe kitne bhi adhunik kyo na ho jaye parantu nischit roop se ek baat to kabhi na kabhi har kisi ke man me aati hogi ki purane zamane me parivar me jyada log hote the aur arthik sadhan bahut seemit hote the. Phir bhi parivar ke sabhi sadasyo ke beech apnatv aur sneh hota tha. yadi him vastushastra ke najariye se dekhne ka prayaas kare to hum yah payenge ki vastu ke siddhanto ko banane evam samaj dwara unke palan ke peeche jitne bhi uddeshya rahe hai, unme ek aham baat hoti thi ki parivar ke beech aapasi prem, sadbhavna, apnapan evam samman bana rahe.

Vastu Se Parivar Me Khushiya Aye

Pahale log makan banvate samay vastu ke sidhanto ka dhyan jaroor rakhte the. halanki aaj ke sandarbh me un sabhi prachin sidhanto ko vyavhar me lana un puri ratah sambhav ho aap parivar ki khushhali ke liye vastu sidhanto ka palan kare.


  • Yadi aapka bhavan keval ek hi tal vala ho ya phir agar kisi multistory building me aapka flat ho to uske pachim ya phir dakshin bhag me bujurgo evam hamare varisthtam sadasyo jaise dada-dadi ya phir mata-pita ka kamra hona chahiye.
  • Eske viprit bachho ke rahne ke liye baaki sabhi dishaye upyukt hai.
  • Yeh dhyan eakhe ki parivar ke sabhi sadasyo ke bedroom me prakratik prakash ki samuchit vyastha honi chahiye. Aise prakash ki samuchit vyastha honi chahiye. Aise sthan keval tabhi mil sakte hai, jab pratyek kamra aage-peeche ya khule sthan se milta ho, yadi prakash ki jyada vyastha na ho paye to khidki ke saath roshandan jaroor banaye.
  • Prakratik prakash se sochne ka tarika sakaratmak banta hai va kisi ke prati vemnasth ki bhavna nahi panapti.
  • Puja-Paath, jap, katha, pravachan evam aise hi anya dharmik karyo ke liye yo to sampoorn poorv disha uttam hai, phir bhi aise sabhi shuddh karyo ke liye poorvottar disha sarvottam hai.
  • Parivar ke sabhi bade sadasyo ko chahiye ki ve sabhi baccho va anya sadasyo me aisi parampra viksit kare ki chahe thode hi shrano ke liye sahi, parantu sabhi log bhagwan ke mamaksh natmastak hona seekhe. esme sabhi ke man ko shanti milti hai aur log paraspar ek-dusre ke prati saman ki bhavna rakhte hai.
  • Subah bistar se uthkar poorv disha ki ore mukh karke bado ke charan sparsh karna ek aisi shakti rakhta hai ki esse parivar me ekta ki bhavna majboot hoti hai.
  • Esi prakar rat ko sone se  pahle bado ka ashirvad lene se aayu, vidhya, evam vansh badhta hai, parantu aise sanskaro ko yadi hum apne parivar ke sandarbh me poorntah charitarth hote dekhna chahte hai to sabse pahle bade sadasyo ko bhi eski shuruaat karni hogi. tabhi yah parampara hum bhavi peedhi ko hastantrit kar sakenge.
  • yadi aapka makan ek se adhik tal vala hai to aayu me bade sadasyo ko upar ke tal par evam kam umra ke sadasyo ko neeche vale tal par rahna chahiye. arthat bado ke paav ke neeche ke bhag me chote sadasy rahe to uttam hai, agar parivar ke bujurg seedhiya chadhne-utarne me asamarth ho to unhe neeche vale tal me hi rahna chahiye.
  • Pure parivar ki ekjut-ta ke liye yah bhi dhyan rakhe ki aapka dining room ghar ke poorv, uttar ya dakshin-poorv disha me ho.
  • Eske saath hi yah avashyak hai ki parivar ke sabhi sadasya 24 ghante me se kisi ek samay ka bhojan eksaath baithkar kare. Es samay bujurg vyaktio ko poorv ya uttar disha ki ore mukh karke baithna chahiye.
  • Bhojan karte samay parivar ke sabhi sadasya TV aadi na dek kar paraspar bate kare va apni dincharya, uplabdhiyo va aise hi anya kriyakalap ke vishay me samanya ya phir prasannata-poorn bato ki chahcha kare. dhyan rahe ki koi bhi apriya vishay na uthaya jaye. ese tarah vastu ke sid-dhant ko apnana vastav me parivar ko ek sutra me piroy rakhne me sahyogi hoga.

Thursday, February 11, 2016

Do Propertiyo Per Stamp Duty Me Choot- Propery Cunsultation


Doosri Property ki Stamp Duty Par Choot Mil Sakti Hai?

Q1: Meri 2 housing property hai, Ek jaldi me hi kharedi hai. Dono hi housing loan per hai. Ek me mai reh raha hu, dusre me mere rishtedar hai. Mujhe dono me se kisi bhi porperty se kamai nahi ho rahi hai. Lekin mai pehle khareedi property per tax choot le chuka hu. kya dusri porperty per bhi tax choot le sakta hu, Kya dusri porperty ki stamp duty per milne wali choot ke liye awedan kar sakta hu, Pehli wali property ke liye mai aisa kar chuka hu, Krapya bataye.
Prabhat Singh, Gurgaon.

Ans:
Ek vyakti kitni property khareede, eski koi seema aykar ect me nahi batai gai hai. Lekin agar kisi ke paas do property hai, Jisme se ek me wah aur dusre me uska rishtedar rah rahe hai to ek kouse self acupayed property ke taur pe ghoshit karna hoga. Aisa karte hi mana jayega ki dusri property kiray per de gai hai. es tarah esse kiray ki ek anumanit ay bhi mani jayegi, es tarah self accupayedproperty ka varshik mulya shunya mana jayega aur vyakti property lene ke liye 2 lac Rs. ki seema tak ke loan per byaj ke bhugtan ka davedar mana jayega. aap home loan ke repayment ke liye es per aykar labh le sakte hai, aap dusri property ke liye de gai stamp duty ke liye tax choot per laabh le sakte hai. Ho sakta hai ki aapne kisi aur saal me kisi aur property ke liye esi prakar ki choot ka labh liya ho. Es property ke liye bhi aap aisa phir kar sakte hai.

Kya Flat Ka Malikana Haq Do Logo Ko Mila Sakta Hai?

Q2: Meri patni ne naukri ke dauran homeloan liya tha. ab unki naukri nahi hai, esliye mai home loan ka dayitwa khud per sthanantarit karwana chahta hu. Kya esse flat ka malikana haq bhi badal jayega? Kya hum dono makan me sajhedar ban sakte hai?
Samar Mishra, Faridabad.

Ans: Jee ha, Aap apni patni ki taraf se home loan ki EMI anaupcharik roop se ada kar sakte hai. Lekin es par aapko koi tax choot nahi milne wali, kyoki aap property me sajhedar nahi hai. aap bank se kahkar apna naam property ke sajhedar se taur per judwa sakte hai, Lekin eske liya aapko stamp duty ka bhugtan karna padega.




Kya Mai Kuch Awadhi Ke Liye EMI Rok Sakta Ho?

Q3: Maine 19 Lac Rs ka loan liya hai. eski pratimah EMI 20,000 Rs hai. Mere flat ki vartman keemat 50 lac Rs ke lagbhag hai. Mai Mumbai me 11 mahine ka ek management program karna chahta hu. es dauran mere paas koi naukri nahi hogi. Kya yeh sambhav hai ki utni awadhi ke liye me apni EMI rok saku.
Ritesh Malhotra, Ghazibad.
Ans: Behtar hoga ki aap use avadhi ke liye koi entezam kar le. Taki apka naam defaulters ki list me na jude. Eska ek tareeka yeh ho sakta hai ki naukri chodne se pehle, yadi aap yogyata shart per khare utarte hai, to apni karzdata santha se top-up loan le len aur uska upyog 11 mahino ki EMI va Top-up loan ki EMI chukane me kar de. Sarvottam yeh hai ki aap education loan le, Taki course ki fees usse chukay aur apni savings se home loan ki instalment chuka de. Na ki apni savings se course ki fees chukay.


Dusri Property Per Tax Choot Kaise Paye- Kanooni Salah


Ek Se Jayada Property Hone Per Tax Me Choot Milegi Ya Nahi?

Q1. Maine apne bete ke naam per Delhi me ek flat khareeda tha, lekin ab use bechna chahta hoo. Ab mera beta Bangluru me rehta hai, vah es kaam ke liye Delhi nahi aana chahta. hum saare kaam kaise kare? 
Shantanu Singh, Delhi 

Ans. Apka beta apke naam per power of attorny banwa kar se sakta hai. Uske baad aap property ki khareed se sambandhit karwahi anjam se sakte hai.

Q2: Mai ek awasiye yojna me puri tarah furnished flat khareedne ki soch raha hu, Lekin esse pehle mai flat ke construction ke bare me pata lagana chahta hu. Mai es bare me kya kar sakta hu. Krapya bataye. (Please Help).
Ajay Mathur, Noida

Ans: Certificate ke bare me puchna chahiye. Aap pata kar sakte hai ki building es tarah ke sabhi kagzaat ke anusar banai gai hai ya nahi. agar awikrut yojna se kuc alag nirman hua hai, to phir yeh dekhna hoga ki uske liye anumati le gai hai ya nahi ya usse sambandhit muawaze ye bhugtan aadi adhikrut ekai ko kiye gaye hai ya nahi.

Q3: Mai ek NRI mahila hu aur mai Delhi me ek flat ko kiray per dena chahti ho, Kya mai aisa kar sakti hu, aur aisa karne ke liye mujhe kisi se anumati ki awashyakta hogi?
Shiksha Shrivastav, Delhi

Ans: Je Haa, Aap reserve bank of India ya kisi anya adhikarik ekai ki anumati ke bina hi makan kiray per de sakti hai. Jo kiraya milega, vah NRO account me jayega ya phir videsh bhej diya jayega.


Q4: Maine 6 mahine pehle 5 saal ke liye lease per makan liya hai. kuch karano se lease deed ragister nahi karai ja saki hai. ab uska ragistration karana hai, Kya hum aisa kar sakte hai?
Mohan Singh, Noida.


Ans: 1908 ke Indian ragistration act ke anusar 11 mahine se jyada ki awadhi ki lease deed ko karyanvayan ke 4 mahine ke andar ragister karwana jaroori hota hai, lekin kuch apwad mamlo me ragistrar 4 mahine ka atirikt samay bhi de sakta hai. per yeh sthitiyo aur tathyo per nirbhar karega sath hi apko eske liye jurmana bhi dena hoga. Jis up-ragistrar ke adhikar shetra me yeh property padti hai, uske office me avedan kar sakte hai.

Tuesday, February 9, 2016

Vastu Shastra Apnay Baccho Ka Bhavishya Banay


Apne baccho ke bhavishya ki har kisi ko chinta rahti hai, Khaastaur par unki padhai aur sehat ko lekar. Ve man lagakar padhe aur pariksha me acche ank laye, saath hi unki sehat bhi durust rahe, eske liye vastushastra me kuch upay bataye gaye hai, aaiye jane unke baare me-

Vibhin shetro me badhti pratiyogitao ko dekhte hue aajkal ke samay me saare abhibhavako ko apne baccho ki chinta lagi rahti hai. Kisi ko bacche ki padhai ki chinta hai, to kisi ko apne baccho ki sehat ki, agar aap bhi ese tarah ki chinta se thora chutkaara pana chahte hai to kuch vastu upaay aapke liye kaafi sahayak ho sakte hai.

  • Kai bacche ekaagra chit hokar ek baar me jyaada der tak nahi padh paate to kai jaldi apne paath yaad nahi kar paate hai, kuch bacche class me padhay gaye paath ko bhool jate haiaur es tarah ve apni mehnat ka poora phal prapt nahi kar paate. Eske liyebaccho ko Eshaan Kon me baithakar padhai karwana chahiye. Saath hi padhte samay unka mukh bhi poorv, uttar ya uttar-poorv disha me karwana chahiye. Aise padhdai karne se man ekagra hota hai aur bacche ka padhai karne se man ekagra hota hai aur bachee ka padhai me man lagta hai. 
  • Baccha jis kamre me padhai karta hai uski uttar-poorv divar par maa saraswati ki tasvir lagaye, jisse bacche par unka aashirwaad bana rahta hai.
  • Bacche ke kamre me agar diwar ka rang halka neela ya aasmani ho to yah laabhdayak siddh hota hai. Parde, chadar, kursi ki gaddi ya takiye ka rang bhi neela rakh sakte hai.
  • Anavashyak roop se kitabe-copiya kabhi bhi bikhri nahi rahni chahiye. Mej par navgrah, piramin, education tower ya globe rakhne se sakaratmak urjaa ka pravah badh jata hai. Bacche jyaada der tak ekagrachit hokar padh paate hai.
  • Bacche ki pustake aur school ka bag dakshin ya dakshin-paschim disha me nahi rakhna chahiy.
  • Bacche ki sehat bhi mata-pita ke liye aksar chinta ka vishay rahti hai. swasth shareer me hi swasth dimaag rahta hai. saath hi accha swasth aapke bacche ke sarvangin vikaas ke liye bahut jaroori hai. Aise me ye dhyaan rakhna chahiye ki bacche ko vitamin, calcium aadi ke diye jane vale tonic ya kisi prakar ki davai rasoighar me na rakhi jaaye. AKsar ham log freeze ya chammach ki uplabdhata ke chalte dawaiya rasoighar me rakh dete hai. yah bahoot hi galat hai. dawaiya apna kam kargar taur par kare, esliye jaroori hai ki unhe uttar ya uttar-poorv disha me rakhna chahiye.
  • Vastu ke anusar baccho ke acche sharirik vikaas ke liye unhe kabhi bhi ghar ke dakshin aur dakshin-paschim yani Nretatya kon me nahi sulana chahiye aur na hi es ore baithkar unhe padhna chahiye.
  • Baccho ke asamanya vyavhar me sudhar ke liye agar uttar, poorv ya uttar-poorv disha me baithkar abhibhavak unse baatchit karte hai to uske sakaratmak parinaam dekhne ko milte hai.
  • Baccho me kai tarah ke talent hote hai, Aksar bacche kisi na kisi khel, sangeet ya chitrakari me kaafi utkrast hote hai, aise me ense sambandhit unki samagri jaise guitar, pent brush, carom, aadi ghar ke poorv ya uttar-poorv kamre me rakhne chahiye. aisa karne se kai baar sakaratmak prabhav dekhne ko milte hai. 

Monday, February 8, 2016

Chota Ghar Dikhega Bada- Home Decoration


Ghar chota ho, to saman bikharne me nimut nahi lagta hai. Aise me kam jagah aur kam lagne lagti hai. Aiye jaane chote ghar ki avyavastha ko kam karne ke kuch nuskhe interior ki ray me-

Apartment aur flat culture ke es daur me aam aadmi aamtaur ar do kamro ka makan malik hi ban para hai. lekin ghar ke liye jaroori saman aur sadasyo ki sankhya ke saamne aksar yah jagah bhi choti lagne lagti hai. Samaan ka bikhrav kaabu nahi aata. aisi sthitiyo me apne ghar me jagah nikaalne ki sochiye. yah kathin kaam interior designers ke liye aasan hai.

Bekaar Saman Ho Ghar Se Bahar

 Ghar ko avyavasthit karne me sabse bada hath un bekaar chijo ka hota hai, Jinhe ham na to istemaal karte hai aur na hi kisi ko de sakte hai. Esliye sabse pahle raddi ko haftavaar nikaale. purani saadiyo ko bistaar ya furniture ke cover banane me laga le. Esse almari khali hogi. Jaroorat ki copy-kitabo ke liye book shelf banva sakte hai. Ghar me hangers bikhre na rahne de. unnhe ek saath tange. Packing ke khali dibbo se bhi nijaat paye, ese prakar any saman ke liye jagah banegi.

Laye Double Duty Furniture

'Saman Ek Fayede Anek' yani double duty furniture. Ese tarah ke furniture me sofa, gaddedar chouoki, daraaj vali cofee table aur palang aadi aate hai, Sofa ya gaddedar chouki me andar ki ore saman rakhne ke liye jagah bani hoti hai, jisme aap apne uuni kapde va jaroorat ka saman rakh sakte hai. Es tarah ke furniture chote gharo ko vyasthit rakhne ke liye sabse upyukt mane jaate hai. Daraj vali table me T.V. AC ke remote, Akhbar, magazine aadi tareeke se rakhe ja sakte hai.


Soft Toy Velcro Par Chipkay

Ghar me khiloune jaha-taha bikhre rahte hai to kisi kude-karkat se kam nahi lagtte hai, enhe sambhalna bada uljhan bhara kaam hota hai. Ye jagah bh bahut gherte hai. Eske liye aap diwar par keel ki madad se Velcro lagakar soft toys ko chipka de, yah dekhne me sundar to lagenge hi aur vyasthit bhi lagenge.

Aise Rakhe Rasoi Vyasthit

Kitchen vyasthit rakhna sabse mushkil bhara kaam hai, Aalu pyaaj, lahsun aadi ke liye teen floor vali rack ka prayog kare. Masale rakhne ke liye megretic container ka prayog kare, JInhe aap freej par chipka sakte hai aur dekhne me bhi stylish lagte hai. Bartano ki almari me ek lid lagay, jisme aap cukar, pateele, frying pen aadi ke dhakkan ko tareeke se laga sakte hai. Jaroorat pade to fork, chammach, churi aadi ko rakhne ke liye drawer me divider lagay. Eske alawa safai se judi cheeje jaise- Duster, cleaning brush, soap aadi rakhne ke liye sink ke paas ek chota cuburd banva sakte hai.

Box Bhi Upyogi

Ghar me aisa saman bhi jaroor hota hai, jiska eskemal ham hamesha na karke kabhi-kabhi kiya jata hai. Jaise bijli ka saman, decoration light wulb, winter shoes aadi. Ese tarah ke saman ko edhar-udhar rakhne ke bajay box ka estemal kar sakte hai. Lekin kai baar box me saman bhar dene ke baad jaroorat padne par inko dhudhna mushkil ho jata hai. esse bachne ke liye chahe to saman ki list bana kar box par chipka sakte hai. esse box me rakhi chije dhoondna asan hoga.

Partition Se Ban Jaye Baat

Dressing table ya anya kisi daraj me partition karke bhi saman ko vyasthit karke rakha jaa sakta hai. Eske liye aap gatte ko daraaj ki aakar anusar katkar unpar colorful paper chipkaye aur phir daraaj me thori-thori doori par lagakar partition kare. ese tarah aap apne meckup ki choti-choti chijo jaise- pin, hair clip, ring, kajal, ear ring, aadi ko vyavasthit tarike se rakh sakte hai. Chahe to daraaj me choti-choti katoriya rakhkar bhi unme samaan rakha ja sakta hai eske alaava cork board par pin lagakar us par apne neck piece, bracelet latka kar stylish look de sakte hai.

Friday, February 5, 2016

Gift Deed Lena Behtar Ya Sale Deed: Property Samadhan


Property Samadhan


Question- Mere pitaji ke paas ek plot hai, jis par mai apna ghar banana chahta hu, Jis par me apna ghar banana chahta hu. Agar mai eske liye home loan lu, to mujhe kya karna hoga? Tex me chut pane ke liye koun sa raasta sabse accha saabit hota-mere pitaji se gift deed ya sale deed?
Antikesh Sharma, Noida

Answer- Chunky aap jameen ke malik nahi hai, esliye aapkpo lan ke byaaj par aur loan ke repayment par tax ke labh nahi milenge. Agar aapkpo malik banna hai to ki co-owner, to aapko ta gift paane wale ya ki kharedar ke taur par eska malikana adhikar lena hoga. Agar yah aapko gift ke taur par milta hai, to eske transfer socument me lagne vali stamp duty par bachat hoga.

Question- Maine shuruat me bank se loan liya tha, fir apni property ko bechkarapna loan bhi bhar diya. Maine naya ghar liya hai aur naya loan bhi ek anya bank se. Kya dono hi loan par tax ka fayda le sakti hun?
Mahima Singh, Noida

Answer- Ye prashan use varsh se sambandhit hoga, jisme pahla vala loan chukaya gaya aur dusra liya gaya. Jab bikne vale ghat ke liye loan ki baat aati hai, to byaaj ka hissa kiray se hone vali aamdani se ghata diya jata hai. Lekin agar dono hi property upyog me lee jati rahi hai,to phir sthiti jara pareshani vali ho jaati hai. Enme se kisi ek ko hi aapko khud ke upyog me lee ja rahi property ke taur par lena hoga aur use varsh me property ke liye dey byaaj ki seema2 laakh rupay prativarsh tak par hi hogi. Dusri proeprty ke liye mana jayega ki vah kiray par hai aur use par dey byaaj use property se shone vale kalpanik kiray ki aamdani se kata jayega.
Ya maan le ki aapka makaan newnatam 5 saal tak aapke paa raha, to dono hi loan par chukaya jane wala principal payment section 80C ke tahat kata jayegea. Agar jo ghar becha gaya hai, use aapke malikaana haq me 5 saal se kam samay hua, to use varsh me kisi bhi home loan ki mukhya rashi me se kisi tarah ki koi chut nahi milegi aur principal amount ke hisse ke liye usse pahle ke varsho me daava ki gai katauti ko use varsh ki aay mana jayega, jis par tex lagega.

Question- Mai apna apartment bechkar naya ghar lena chahta hu, Maine ek bank se 3 lack rupay ka loan liya hai. Kya yah loan naye apartment ke liye tranfer ho sakta hai?
Mahesh kumar, Delhi


Answer- Home loan transfer karne vala koi pravdhan nahi hota hai. Agar aap apni vartman property bechna chahte hai, to aapko vartmaan property per kiye gaye loan ko foreclose yani ki niyat avadhi se pahle hi puri tarah chukana hoga. Nai proeprty par aapko home loan aapki credit history aur aay ke adhar par milega. Ho sakta hai ki naye loan par thori si procesing fees lee jaye.

Dusra Ghar Banega Niyamit Aaye Ka Jariye


Real estate me nivesh karna hamesha fayedemand saabit hota hai. Esliye log aksar do property to lete hi hai. Agar aap apni pahli property le chuke hai aur usme rah rahe hai, to ag;a nivesh residential property me hi karne ki soche. Ese aap aay kak saadhan bana sakte hai kiraye par dekar. Kiray par ghar dene se aapko kuch laabh honge-

  • Niyamit aay hoti hai. eske kiray se aap property ke tex, dekhrekh aur marammat aadi me hue kharch ki chinta se mukt rah sakte hai aur niyamit aap bhi hogi.
  • Margej loan ke mamle me, dhan dene wali sanstha keval use aay ko dekhegi, jo ki karj lene vale ko kiray ke madhyam se ho rahi hai. agar usse acchi aay ho rahi hai, to margej loan jaldi mil jata hai.
  • Real estate labh ke mamle me sarvottam hai. chunki aapke makaan ki value din-ba-din badhti jaati hai, esliye aap jis din ese nakad me badalte hai, aapko accha-khasa laabh hota hai.
  • Agar lambe samay tak property lease par di jaati hai, to ese bechne par ese par capital gain tex kisi bhi any aay ke strot par lagne vali dar sess kam hota hai.
  • Agar aap apna dusra ghar lene ja rahe hai, to patrikao aur akhbaro me aa rahe vigyapano ke madhyam se pata jaroor kar le ki market me rental property ke taur par kis tarah ki property jyada pasand ki ja rahi hai aur usi anusar nirnay le. ese mamle me real estate agents bhi aapki acchi madad kar sakte hai.
  • Kiray par dene ke liye apni dusi property aisi chune, jaha tak asani se pahuchna sambhav ho, bahoot upar ki manjilo ke, factory ke bagal ke ya aise hi makano ko lene se bache. Market ke paas ki property me aapko kiraydaar asaani se milenge.
  • Jo marammat karwaye, vah usake mulya me ejaafa karne vali ho, taaki aapko kiray ki rashi me laabh ho.

Ghar Me Kuch Banwaye, To Rakhe Dhyan


Waqt ke saath ghar me atirikt kamre ya kitchen me kuch aur cabinets jaisa jodne ki jarurat pad hi jati hai. Agar ghar me kuch naya banwane ki soch rahe hai, to kuch baato ka kare vichar.

Ghar ke liye aap jo bhi banwana chah rahe hai, uske design ke liye pahle kuch prernaye ekatthi kar le. Maan lijiye ki aapke kirchen ka renovation karwana chah rahe hai, to usse dambandhit design, material aadi ke bare me jitne sample ho sakte hai, utne dekh le . Eski jaankari internet ya interior decoration ki magazine aadi se le sakte hai.

Ghar Ke Use Jagah Ka Estemaal Koun Karega?

Kisi jagah ko nay sire se bana rahe hai, to ese baat par gour kare ki uske estemaal kin kaamo me hoga. in bato ka dhayan rakhenge, to vaha ke layout banane, uski fittings, vaha ke upkaran aur vaha ke rang aadi ke bare me nirnay lene me sasni hogi.

Jaroori Chijo Ki List

Bathroom aur kitchen jaisi jagaho ka upyog ghar ki baaki jagaho se jyada hota hai, Esliye yaha ki fittings ka dikhne me sundar hona jitna jaroori hai, utna hi vyaharik hona bhi, taki un jagaho par kaam karna suvidhajanak ho, jaroori chijo ki list bana le jaise ki kuch logo ko har haal me kamre me acchi roshni chahiye hoti hai, to kuch ko diwaar par kuch badhiya pattern etyaadi. Esse aap apne space ko personal touch de sakte hai.


Jagaho Ko Bekaar Na Chode

Aajkal kitchen aur bathroom ke liye aamtaur par jyaada jagah nahi milti. Kahi aisa bhi ho sakta hai ki sirf ek lambi diwaar hi khali ho. Aise me use diwaar ka poora upyog hona jaroori hai. Usme cupboard, drawyer, bench vagaireh ka prayog kar apne liye ek suvidhajanak sundar kitchen banwa sakte hai.

Sundarta Ka Rakhe Khyaal

Space ko suvidhajanak aur suruchipoorn Banana hai, to thode me hi jyaada kaam kar dikhate hai rang aur textures. Enme aapke kitchen ya bathroom me style aa jayega. Apne bathroom ko kisi theme ke anusaar renowet kara sakte hai, esi tarah kitchen ke panels ke liye kuch khaas chunaav kiye jaa sakte hai.

Thursday, February 4, 2016

Ghar Nirman Ke Liye Kaisa Plot Shubh Hota Hai


Jab baat bhawan banane ki leiye sahi kism ke bhukhand ka chunaav karne ki aati hai to bhumi ke prakar ki janch karna bhi bahut aham hota hai. Ghar shubh faldayak ho, eske liye avashyak ka hi ki bhumi ki kism vastu ke anusar ho aur bhukhand ka aakar bhi vastu mammat ho.

Kitne Prakar Ki Bhumi Hoti Hai?

Bramh sanhita ke anusar nirman ke liye uttam bhukhand vah hota hai, jisme acchi gandh hoti hai. hamare grantho me 4 kism ki bhimi ka varnan hai.
  • Brahmdi- Ache swad aur gandh vali ghasdaar bhumi ko brahamdi bhumi kahte hai. Ese kism ki bhumi ko rehayshi bhavano ke liye uttam bataya jata hai aur ese maksad ke liye khareedne ki sifarish ki jati hai. yah use ghar me basne vale sadasyo ko aaram ka ehsaas karati hai.
  • Khasmiya- Yah bhumi lal rang si abha liye hoti hai aur esme teekhi gandh hoti hai. yah bhumi police chouki, kachahri aur sarkari karmchariyo ke liye rehaysh banane keli ye sabse uttam hoti hai.
  •  Vaishya- ek anya prakar ki bhumi hoti hai. yah bhumi peelapan liye hoti hai, eski gandh khatti hoti hai. ese kheti se jude vyavsaayik kaamo jaise ki pashupalan, machlipalan, khad utpaado aur deri aadi ke liye upyog karne ki salah di jaati hai. ese bhumi par bank, vyavsayik parisar ya showroom aadi banana bhi aacha rahta hai.
  • Ek anya prakar ki bhumi kalapan liye hoti hai. eski gandh kadvi hoti  hai. ese rehaish ke liye accha nahi samjha jata hai. ese par manoranjan sambandhi bhavan, club ya karkhano aadi ka nirman karaya ja sakta hai.

Kaisa Ho Bhukhand or Bhumi Ka Akaar?

Aamtaur par chokore, aayataakar aur golakarbhukhand imarate banane ke liye utam mane jaate hai. samanyataya ek sudoul akar ka bhukhand accha hota hai, Jabki bedoul aakar ka bhukhand vastu me kharaab mana jata hai. in akaro ke alawa bhukhand ke kuch aur bhi khaas akaar hote hai.
  • Andakaar Bhukhand- Aise bhukhando me rahne se chinta, avsaad aur kai anya pareshaniya ho sakti  hai.
  • Tikona Bhukhand- Tikone bhukhand par bane makan me rah rahe logo ko mukadme-baaji aur aag ke khatre ki ashanka rahti hai.
  • Ardh-Golakar Bhukhand- Ardh-gloakar bhukhand par bane makaan me rahne walo ko man ki khushi prapt hoti hai.
  • Asth Kodiye Bhukhand- 8 kono vala bhukhand astkoniye kahalata hai. esie bhukhand par bane makan ke bare me manyata hai ki usme rahne walo ko man ki shanti aur khushali milti hai.
  • Tare ke akaar ka bhukhand- Aise bhukhand par kiya gaya nirmaan dhan ki hani, mukadme-baaji aur bhram ka kaaran banta hai.
  • Pankhakaar bhukhand- Yah bhukhand hath se dulaane vaale paramparik bhartiya pankhe ke aakaar ka hota hai. ese par bane makaan me rahne se dhan ki haani hoti hai aur paaltu janwaro ko khatra rahta hai.
  • Mradangakaar Bhukhand- Mradang ek paramparik bhartiya vaadh yantra hai. aise aakar ke bhukhand par bane makaan me rahne ki salaah vastushastri hargij nahi dete. kyoki esme rahne valo ko kaafi takleefo aur dukho ka saamna karna padta hai.


Wednesday, February 3, 2016

Ghar Ka Pravesh Dwar Kaisa Ho Vastu Ke Anusar?

Ghar ka pravesh dwar kuch aisa hona chahiye, Jise dekhte hi dil prafullit ho jaye. Mai aaj aapko ghar ke pravesh dwar ko sajane ke asaan nuskhe bhata raha ho.

Khil Uthe Ghar Ka Pravesh

Ghar ki saaj-sajja ke viseshagyo ki mane, to ghar ke pravesh dwar ki vishesh sajavat aapki property ke mahatv ko thoda aur badha deti hai. yeh ghar ki dekhrekh aur rakh rakhav aadi ke liye bhi aapke najariye ka parichay ban jata hai! aap apna kuch samay ghar ki bahari khoobsurati ko nikharne me lagay, taaki yah bahar se bhi tarotaja aur akarshak dikhe aur log aapke ghar me pravesh karna chahe. Darwajo ko bhi aapke life style ki tarah arthpoorn hona chahiye.

To kyo na darwaje ko bhi sajaya jaye. esme aap interior digners ki bhi madad le sakte hai Aajkal fengsui ya ki Vastu ke anusaar apne pravesh dwar ko sajane ka kaafi chalan dekha ja raha hai. Yah aapki marji hai ki aap kiska chayan kare. Chahe to dono ko ek saath milakar bhi esktemal kar sakte hai.

Pravesh Dwar Ke Aas Paas Ka Sthan

Aajkal ki flat sanskrity me pravesh dwar ke pahle aamtaur par ek saarvjanik gallery milti hai. Kuch gharo me pravesh dwar se ghuste hi aapko yah tay karna chahiye ki aap apne pravesh dwar ke baad ka hissa sirf sajavat ke liye upyog karna chahte hai ya ki use upyogi bhi banana chahte hai. Bahar ki ore gallery me nischit roop se apne pravesh ko bharpoor dhang se saja sakte hai.

Kaisa Ho Mukhya Darwaja

Ghar ka mukhya darwaja bada hona aapke ghar ki sundarta me char chand laga deta hai. Agar ghar ka mukhya darwaja anupaat me chota dikhta hai, to use bada akar dene ke liye usi rang ke panel bana sakte hai. bahari darwaje me taxture se lekar window exsent aur dramatic handle tak kais prayog kiye ja rahe ai. Aamtaur par enke liye dhatu, lakdi, fiber glass aur mishrit material ka prayog kiya jata hai. Bahari darwajo me shekh rang, high glass fleck aur industrial steel ke darwajo ka en dino kafi chalan hai. darwajo ka in dino kafi chalan hai darwajo me bahar ki ore dono taraf sylish wall lamps ya lights lagwa sakte hai. suraksha ki drasti se aamtaur par double door lagwaya jata hai. esme western homes ke style wale darwaje ka bhi prayog ghar ko anokha andaz dega.

Pravesh Dwar Ki Light

Darwaje se ghuste hi aam bhartiy flats me hall me lage bulb ya tube lights ki hi roshni se kaam chalaya jata hai. Par agar apne ghar ka pravesh dwar sajane ka man hai, to aap darwaje ke baad ek sunder shendeliar ya stylish light ka prayog kar sakte hai. ese tarah entry parbadhiya roshni bhi rahegi aur style bhi milega. Agar shendeliar jaisa lagwa rahe hai, to ese farsh se saadhe 6 foot uncha hi rakhe taki uska prabhav acha aye.

Kaisa Ho Furniture

Entry ko anavashyak aur bhari-bharkam furniture se mukt rakhna chahiye. Lekin kuch furniture to chahiye hi hota hai. Esiliye darwaje ke andar ki taraf diwar se laga kar koi stylish cabinet ya table rakh sakte hai. Aajkal kai stylish shu rack bhi aa rahe hai, Jinka upyog yaha salike se kare, to vah sajavat ke saath upyogi bhi sabit hoga, ek stylish automon ya kursi bhi rakh sakte hai.

Anupat Me Ho Carpet

Mukhya darwaje par bahar ki ore stylish doormat ka estemal karna ek samanya baat hai. Ander ki taraf aap choti dariyo ya rag ka upyog kar sakte hai. es baat ka khyal rakhe ki yah pravesh dwar ke anupat me ho yani ki na to bahut jyada bada ho na hi chota dikhe aur darwaja khulte samay esme ade nahi. eske neeche ek rubberpad ka estemal kar sakte hai taaki yah apni jagah se fisle nahi.

Khoobsurat Ho Nameplate

Bahar se sajawat ke liye ghar ke darwaje par nameplate ek style statement bhi ban sakti hai. lakdi ya matelik name plate darwaje par laga sakte hai. Name plate darwaje par laga sakte hai. Nameplates par vinyl plastic, lakadi athwa metal se bane aksharo ko ese par ukere.

Mukhya Dwar Ko De Khoobsurat Sheds

Mukhya darwaje ka akarshak aur bold hona kafi jaroori hai. Ese aap chamkeele sheds ya khobsurat paint se design de sakte hai. Apne interior aur kamro ke color theme ka anusaran karte hue ese contrast rang de sakte hai. apne darwaje ko khoobsoorat rango se paint karwaye, par dhyan rakhe ki paint ka color aisa ho, jo ankho ko ananddayak to lage hi sath hi ek khushnuma ahsaas de aur yah ghar ke bahari design se bhi mail khata hua ho.

Door Nakar Lagega Stylish

Bazar me khas darwaje ki sajja karne waali accessories khoob uplabdh hai. Jaise ki ayaran ka door nakar, wind chimes, artificial foolo ke guldaste aur bele aadi. Darwaje ko sajane me doormet, doorbell, doornob aur door nakar ka bhi upyog kar sakte hai. Enka sahi tareeke se estemaal kar apne darwaje ko master peace bana sakte hai.

Paramparagat Sajawat 

Darwaje par aapko enti jaga to mil hi jayegi ki use poudho se saja sake. Eske liye aap krateem ya prakratik poudhe darwaje ke bahar aur ander, dono taraf laga sakte hai. Flat ke bahar ki diwar par aap keligraphy ya photograph aadi ka prayog kar sakte hai. aap foolo ka khoobsurat guldasta ya aisa hi koi show peace bhi apne mukhya darwaje ke madhya me chipka sakte hai. Deep aur Ganesh pratima se bhi sajawat kar sakte hai. Pravesh dwar par bahar ki taraf se ethanik sajawat me bidanwar ka prayog karna to aam hi hai.

Banaye Photo Wall

Aap apne pravesh dwar ko upyogi sajavati, dono hi bana sakte hai, Ese tarah vaha rakhne ke liye jo saman chune, usme sirf sajawat hi nahi, upyog ka bhi dhyan rakhe. Darwaje se pravesh karte hi yadi koi deewar padti hai, to use family photo wall ki tarah estemaal kar sakte hai. Ya aisi hi kai kalakratya laga sakte hai. ese tarah aapka pravesh dwar jeewant ho uthega.

Tuesday, February 2, 2016

Naye Ghar Ka Vastu Kaisa Ho: Vastu Ke Niyam

Agar aap Apna naya ghar khareedne ja rahe hai, to Vastu ke anusaar uska chayan kare. Ghar laabhkari sabit hoga.

Jane Vastu Ke Kuch Khaas Ninyam

Badalte parivesh me apartment culture ne mahanagro ke saath-saath chote shahro me bhi apni jade majboot kar lee hai. kai baar aisa bhi hota hai ki aapne badi hasrat se apne liye ek falt khareeda, use apne manmutabik sajaya aur usame apne parivar ke saath shift bhi ho gaye.. Leking vaha shift hone ke baad se hi aapka pareshaniyo se saamana hone laga, to eska ek arth yah bhi ho sakta hai ki aapke sapno ke aashiyane ka nirmaan vaastu siddhanto ke anuroop nahi hua ho.

Esse ghabrane ki jaroorat nahi hai. Vastu ke aasan samaadhano ke maadhyam se bina kisi tod-fod ke aap ape apartment ke Vastu dosh ko door karke vaha par khushaal jeevan vyateet kar sakte hai.

Naya Flat Ke Liye Vastu Ke Niyam

  • Flat ya ghar khareedte samay apne liye us ghar ya appartment ka chayan kare, jiske aaspaas paryapt khula sthan ho, Yah khula sthan Dakshin-Pachim ki tulna me Uttar-Poorv me jyaada khula ho.
  • Ekdam Vargakaar va ayatakar flat milna mushkil hota hai, lekin dhyan de ki flat ya ghar kabhi bhi Uttar-Poorv va Dakshin-Paschim se kata hua na ho.
  • Usme samuchit prakratic roshni aur taji hava aane jaane ka prabandh ho. esse ghar ke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai aur khushiya aati hai.

Vastu ke anusaar Kamro Ki Disha 

  • Master bedroom hamesha Dakshin-Paschim me ho aur agar aapka ghar duplex hai, to phir master bedroom upari tal par banay.
  • Baccho ka padhai me man lage eske liye yah jaroori hai ki unka kamra Poorv me ho.
  • Baithak Uttar-Paschim me hona labhdayak rahata hai. Baithak kaksh ki sajawat karte smay es baat ka dhayan rake k furniture Dakshin-Paschim me rakha hoaur Uttar-Porv se jyada khali jagah ho. esse ghar ke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai.

Vastu ke Anusaar Ghar Ki Balkani

  • Balkani ghar ke Poorv va Uttari bhag me ho. Daksin va Paschimi hissa Bakani ke liye uchit disha nahi hai.
  • Balkani ke andar furniture Dakshin, Paschim disha me rakhe.
  • Baalkani ki chat ki uchai mukhya bhavan ki chat se kam ho, eske alawa balkani ki chat ke liye teen ka estemaal na kare.
  • Balkani me hamesha chote poudhe ya phool wale gamle hi rakhe. Gamle Dakshin Va Dakshin-Paschim me na lagay.

Monday, February 1, 2016

Accha Vastu Laye Khushiya aur Sampatti

Acchi property ka ek sambandh uske vastu se bhi hota hai. Acche vastu wali property tanavmukt rakhti hai aur pragti va khushali laati hai. Aisye bat karte hai ke kaise astu ke upaay khushali aur ghan smpatti se aapko sukhmay jeevan mil sakta hai.

Ghar ka accha vastu aapke jeevan me pragati aur sampannata ke karan banta hai. Agar apne ashiyane me khoobsurati aur adhunikta talash rahe hai, to sath me vastu ka vichar bhi jaroor kare, kyoki yadi vastu sahi nahi hai, to bhavan me rahne wale tanavgrasth ho sakte hai. Mansik tanav ki shuruat hamare aas-paas moujood nakaratmak urja se hoti hai.

Vastu ke Anusar Ghar Me Dukh aur Tanav ke Kuch Mukhya Karan Hote Hai.

  • Ghar me vastu va panctatvo me asantulan.
  • Ghar me pramukh aantrik sthano ka ashudh hona
  • bedroom ke shetra va uske rango ka galat chayan
  •  Uttar-poorv disha me store room, jute-chappal ya gandagi hona.
  • Dakshin disha me puja sthal hona 

Vastu ke Upayo Par Amal Kare
  •  Sunishchit kare ki aapke ghar ki Uttar-poorv disha me stor room na ho! Es disha me store room banane ya vaha par faaltu saaman rakhne se vaha rahne valo ko gahre tanaav aur avsaad ka saamna karna pad sakta hai.
  • Mansik Swasthy ko prabhavit karne aur tanav ko badhane vale zone uttar-pachim disha me besroom banane se bachna chahiye.
  • Yadi bedroom agney konme hai to vaha halka hara rang karwa le tatha neele rang se sambandhit vastuo ko hata de.
  • Marm sthan behad sanvedanshil sthan hote hai. marm stham par koi pillar ho, pani ka bhumigat tank ho ya diwar me koi keel thok de, to es tarah ki choti si gatividhi bhi seedha sharir ki reedh ki haddi me bhi chot lagne ki sambhawna bana deti hai, kyoki yeh vastu purush mandla ka bhi bhag hai. parantu en sukshm marm sthano ki thik pahchan ek kuchalvastu shastri hi karta hai.
  • Rango ke uchit sanyojan se aap tanav se mukti pa sakte hai hare aur peele rang ke sabhi sheds poshanatmak rango ke tahat aate hai. Agar aap hamesha tanavgrast rahte hai, to apne ghar ki poorv disha me hare aur dakshin-pachim disha ki diwaro ko peele rang se paint karwaye. esase parivarik sadasyo ke beech sambandh banta hai, jisse tanaav aur dipresion se chutkara milta hai.
  • Apne ghar me panchtatvo ke santulan ka khas khyal rakhe. apne ghar ke sabhi kamro me jal, aakash, vayu, agni aur prathvi tatv ki upasthiti ko suniscchit kare. Maan lijiye aapke ghar me angi tatv santulit nahi hai, to use santulit karne ke liye use disha me prateekatmak taur par agni ka chitra lagakar use zone ko santulit kar sakte hai. esi tarah se aakash tatv ko santulit karne ke, liye safed rang kaa prayog paschim me kare.
  • Sakaratmak urja ke liye ghar me hare patto vale poudhe hi lagaye.