loading...

Saturday, July 27, 2013

Ab Aa Rahi hai Urban Rapid System Traffic Ko Khatam Karne

Yeh Hai Bharat Ka Future Transport System - Urban Rapid System

Vishwa ka pehle Urban Rapid Transport (PRT) System kuch hi saal me Bharat me bhi jamini haqukat banne wala hai. Abhi tak yeh system sirf London me hai. Panjab ke amratsar shahar ko ese advance system ke liye chuna gaya hai.


Amratsar me shuru hone wale ese systen ke tahat 4-5 seats wali battery se chalne wali gadiya chalai jati hai, jinhe chalane ke liye driver ki jarrorat nahi hoti.


Hariyana ke CAM ne bhi ese transport system ko teji se develop ho rahe Gurgaon ke liye ek acha vikalp bataya hai. Ese system se polution ko bhi kafi kam kiya ja sakega. Traffic system ko behtar banane me yeh ek badi pahal ho sakti hai hai.


Wednesday, July 24, 2013

GPA -Genral Power Of Attorney ke Jariye Owner Phir Se Bana Sakenge Property

Genral Power of Attorney Ke Estemal Se Dubara Property Banay Ab

New Delhi: Delhi Sarkar ne vidhansabha chunav se kuch mahine pehle janral power of attorney (GPA) ke Jariye property ki rajistry ko phir se manjoory dedi hai. Esse real eastate market me teji aane ki ummid hai. owner clear cell deed nahi hone se GPA ke jariye property sell karte the.
April 2012 me revenue department ne supreem court ke ek faisle ke adhar per sabhi GPA based property transaction per rok laga de thi. 2012 ke order ke pehle Delhi me kareeb 20 fesadi rajistry GPA transfer ke jariye hoti thi.

Delhi Sarkar ne 27 april 2012 ko order me sab-ragistrar offic, DDA aur NDMC ko october 2011 ke suprem vourt ke order ko follow karne ko kaha tha. Esme GPA ke jariye sell deed ka ragistration karne se mana kiya gaya tha. ab ragistrar property owner kisi bhi vyakti ke naam GPA kar sakta hai. Owner kisi bhi shaksh ko property manage karne ya use owner ki tarah se property transfer karne ka adhikar se sakta hai. halanki, GPA transaction title ko transfer karne ke liye mutation nahi kia ja sakta hai.

Bhartiya Vastu Vigyan Ki Ho Rahi Hai Balle Balle

Vastu Gyan Ghar Ka Maha Vigyan

Aadhunik Yug ki Bhotik Tarakki ke chalte badhte sharikaran ne andhadhund emarato ki baadh la di hai. En shahro me apne niji makan banane ki chahat walo ki bheed ne makano ke jamghato ke karan vastu sambandhi samasyaon ka khamiyaja bhugatne wale logo ki sankhya me aur bhi badhoutri hui hai.Kintu aaj bhi yadi hum Bharat ke apne purane gaovo aur unme bane makano ki vastusthiti ko dekh-parakg kar sake to payenge ki inme Bhartiya Sthapatyaved adharit vastu vigyan ke sidhanto ka hi palan hua hai.

Sthapatyaved arthat vastu ke ve niyam jo prakrati ke sare niyamo ka palan karte hue aawas, bhawan ya nagar yojna banate hai. Arthat aise nirmaan sidhant jinka palan karne se sab kuc sucharu rakhne wali prakrati sabhyata ka vatawaran bana rehta hai. Yeh vastu vigyan hi hai jo kisi bhi tarah ke bhawan nirman me uchai, lambai, chaudai ke alawa uski disha kon, naap-tol aur sthan ke maharwa ko bhi batata hai. kisi bhi ghar, gaon, shahar, rajya aur desh me nirmit hone wale bhawan kaise aur kaha banaye jaye, jisse unme niwas ya karya karne wale logo ko prakriti ka poorna sahayog milta rahe, yeh sab sthapatyaved me ullekhit hai.


Gharo ka pravesh dwar kis disha me ho, adhyayan kaksh, bhojan kaksh, rasoighar, pooja sthal, karyasthal, kal sangrah, jal strot, shayan kaksh, snanagar, aadi bhu shetra ke kis sthan per, kis disha mem kis kon per, kis tol ke banaye jaye, yeh vastu shatra batata hai.

Vastu shastra ke anusar bane makan me kia jane wala koi bhi karya badharahit, samasyarahit aur adhik sucharukta ke sath hota hai. log grehshanti ke liye yagyanusthan karwate hai. grehshanti yagyo, anusthano ke ayojan ka labh tabhi milta hai jab yajmaan aur anusthani dono ke aawas vastu ke anushar bane ho.
Yajmaan aur anushthani dono kitni ki astha, dhyey, samarpan aur vidhi vidhan se grehshanti yagya, hawan, jaap, ved, path, mantrajaap, devi aradhna, sahasranaam path air koi bhi anusthan sampann kara le, sambandit ya ahanvit devi-devta ka prabhav utpann nahi hoga, devi anukampa jagrat nahi hogi, arthat poorn labh nahi milega yadi dono me se kisi ek ka bhi awasiya bhawan vastu ke sidhanto ke anusar nahi bana hai. vastu ki andekhi se kisi na kisi prakar ki samasya uttpann hoti rhti hai.
Adhunik vigyan eski tathyarakta aur vaigyanikta per jo shodh kar raha hai. Uske adhar per aaj desh-videsh me vastu vigyan per logo ka vishes jamne laga hai. aur we ese apna bhi rahe hai. aaj bhart hi nahi america, Europe aur asia ke desho me vastu anusar bhawano ke nirman ki disha me teji se bashotri ho rahi hai. Bharat sahit vishwa ke anya viksit desho ko samajh me aa raha hai ki sthapatyaved adharit vastu vigyan ke anusar bane awaso me prakity ka poshan niyam prapt hota rehta hai. Jisse sab kuch sucharukta se chalta hi.





Tuesday, July 23, 2013

Rasoi Me Na Banaye PujaGhar

Kitchen Se Judi Kuch Jankariya Nimnlikhit Hai, Jiska Kitchen Banate Samey Dhyan Rakna Chahiye.

  • Jis ghar me kitchen ke ander hi store ho, to grahswami ko apni hen va strore room alag-alag banane chahiye.naukri ya vyapaar me kaafi kathinaiyo ka saamna karna padta hai. In kathinaiyo se bachav ke liye kitchen

  • Kitchen va bathroom ka ek seedh me sath-sath hona shubh nahi hota hai. aise ghar me rehne walo ko jeewan yapan karne me kaafi kathinaiyo ka saamna karna padta hai. Swasthya bhi thik nahi rehta. Aise ghar me kanyaon ke jeewan me ashanti rehti hai.
  • Kitchen me pooja sthan banana bhi shubh nahi hota hai. jis ghar me kitchen ke ander hi puja ka sthan hota hai. Usme rehne wale garam dimaag ke hote hai. Pariwar ke kisi sadasya ko rakt sambandhi shikayat bhi ho sakti hai. 
Kitchen Me Na Banay Puja Ghar Video Dekhen
(by DekheAurSeekhe Channel)

  • Ghar ke mukhya dwar ke thik saamne kitchen nahi banana chahiye. mukhya dwar ekdam samne ka kitchen grehswami ke bhai ke liye ashubh hota hai.
  • Yadi kitchen bhumigat pani ki tanki ya kuye ke sath laga ho to bhaiyo me matbhed rehte hai. Ghar ke swami ko dhan kamane ke liye bahut yatraye karni padti hai.
 
  • Ghar ki baithak me bhojan banana ya baithak khane ke theek samne kitchen ka hona ashubh hota hai. Aise me rishto ke madhya shatruta rehti hai. aur baccho ko shiksha prapt karne me kathinayi aati hai.
  • Jis ghar me kitchen mukhya dwar se juda ho, waha prarambh me pati-patni ke madhya bahut prem rehta hai. ghar ka watawaran bhi sohardpoorn rehta hai, kintu kuch samaybaad bina karan aapas me matbhed paida hone lagte hai. anubhaw me paya gaya hai ki jinke gharo me kitche banane ke sadhan jaise gas, stove, microwave, oven etyadi ek se adhik hote hai, unme dhan ke sadhan ek se adhik hote hai. Aise pariwar ke sabhi sadasyo ko kam se kam ek samay bhojan sath milkar karna chahiye. Aisa karne se aapsi sambandh majboot hote hai tatha saath milakar rehne ki bhawna bhi balwati hoti hai.



NCR Ka Dayera Aur Badha

Rastriya Rajdhani shetra ka vistaar karte hue NCR planning board ne somwar (Monday) ko Rajasthan ke Bharapur, Bhiwani tatha Hariyana ke Mahendragarh ko NCR me shamil karne ke prastav ko manjoori de di hai. Ab Uttar Pradesh ke Mathura, Hatras aur Aligarh jilo ko NCR me shamil karne ki baari hai. NCR planning board jald hi UP ke en teeno jilo ko bhi NCR me shamil kar sakta hai.

NCR planning board ki baithak ke baad shahri vikaas mantri kamalnath ne kaha ki NCR me 3 jeelo Bharatpur, Bhiwani aur Mahendragarh ko shamil kiya gaya hai. Jabki Jind aur Karnaal ko NCR me shamil karne ke samband me Hariyana sarkaar alag se ek prastaav bhejegi. Enn 3 Jeelo ke shamil hone ke baad NCR ka shetraphal 34,144 warg kilometer se badhkar 46,249 warg kilometer ho jayega.

Baithak me moujood ek sheersh adhikari ne kaha ki UP ke 3 jilo ko Shamil karne ka vichar bhi NCR planning board ke samakhsa hai. UP sarkar ki ore se aupcharik prastaav liya jayega. Adhikari ne kaha ki ab tak NCR me sirf ve jile shamil the jo Delhi se 100 Km ke dayere me the. Ab yeh daayera badhakar 150 Km ker diya gaya hai. Esliye Hathras, Aligarh aur Mathura bhi ab eske dayere me  aa jayenge.

Gourtalab hai ki December 2012 me UP sarkar ne kendra ko parta likhkar enn jeelo ko NCR me shamil karne ka aagrah kiya tha. NCR planning board ne Jaipur ko Counter-Magnet area ka darja dene sambandhi Rajasthan sarkar ke prastaav ko bhi manjoori de di hai.

Counter- Magnet area Delhi aane wale prawasiyo ko apni ore kheechane ka kaam karega. Board ne UP ki upshetriya yojna ko bhi manjoori de di hai. Kamalnaath ne kaha ki NCR me sharikaran 62 % ho jayegi. Eske alawa NCR ki prati vyakti aaye bhi desh me sarvadhik hai.



Ragistry Sang Lagani Hogi Sampatti ki Satellite Picture

Ab Ragistry karate Samay Stamp Chori Aur Vibhag Ko Gumrah Nahi Kar Sakenge Kreta Aur Vikreta

Greater Noida: Ab sampatti ki ragistry karwate waqt uski satellite picture bhi deed (Bainama) ke sath lagani hogi. Esse sab ragistrar satellite picture dekhkar sampatti ki location jaan sakenge.
Darasal prashan aur shashan lagatar badh rahe stamp chori ke mamle se pareshan hai. Property dealer aur kreta-vikreta adhikariyo ko gumrah karke galat dhang se ragistry karwa lete hai.


Uttar Pradesh sarkar ka stamp ewam ragistry vibhag online ho gaya hai. Pradesh bhar ke sa ragistrar karyalayo me internet aur server linkup ki suvidhaye hai. sampattiyo ka byora online karne ke baad ab sarkar ragistry prakriya ko asan aur pardashi bana rahi hai. Essi prakriya ke tahat shashan ne aadesh jari kiya hai ki sab ragistrar karyalayo me jab koi vyakti ragistry karwane ke liye ayega to usse sampatti ki satellite picture bhi li jayegi aur location poochi jayegi. eske jariye satellite picture Google Earth se download kiye ja sakenge.
Yeh picture bainama ke sath lagai jayegi. ese baare me sahayak mahanirikshak (stamp) S.N. Rai ne bataya ki Noida aur Greater Noida sa ragistrar karyalayo me yeh vyastha laagu ho gai hai. Tehseel star per sa ragistrar karyalayo ko bhi amal karne ko kaha gaya hai. esse stamp ki chori rukegi.

Adalato Me Mukadmo Ka Ambaar: Jile me har saal ausatan 2 lac ragistry hoti hai. Adhikariyo ka kehna hai ki agar 5 feesadi bhi stamp chori ke mamle ho to kareeb 10,000 stamp chori ke mamle samne aate hai. aise logo se stamp vasooli karne ke liye vibhag ko mukadma ladna padta hai.


Saturday, July 20, 2013

Greater Noida Banayegi Dhai Lac Ghar

Greate Noida West / Extension Develop 2.5 lakh flats- NCR planning board


Greater Noida: G.N pradhikaran agale 2 varsho me 4,000 ekad zameen adhigrahan karega. Greater Noida phase 2 ke adhar darjan gaon ko chod kar shesh zameen greater noida west ke 1 darzon gaon me hai. 130 meter expressway se sate ese elake me pradhikaran ne sectors ke number bhi nirdharit ker diye hai. Ummid ki ja rahi hai ki yaha kareeb 2.5 lac logo ko ashiyana mil sakega.


Greater Noida West elake me pradhikaran ne beete 4 varsho me kareeb 80 lac warg meter zameen bechi hai. ese beech beete 3 warsho se pradhikaran 1 inch zameen bhi adhigrahan nahi kar saka hai.
Ulte makoda, Shahberi, Gulistanpur, Surajpur aur Devla me adhigrahan ki ja chuki kareeb 1 hazaar ekad zameen hath se nikal gai hai.

"Kisano ko pehle seedhe zameen dene ka prastav diya gaya hai baad me yaha zameen adhigrahan ki prakriya shuru ki jayegi. Gaon me sarve ka kaam shuru kar dia gaya hai."

High court en sabhi gaon me zameen adhigrahan ko raddkar chuka hai. Ek ore highcourt ke aadesho se zameen adhigrahan radd hua hai aur doosri ore pradhikaran ne naye sire se zameen adhigrahan karne me deri kar di hai. Esi beech pradesh me vidhan chunavo ka bigul baj gaya hai. lihaja zameen adhigrahan ka kaam puri tarah thap ho gaya hai. Greater Noida West elake me ab bhi ek darjan gaon hai jaha zameen adhigrahan kia jana hai. ye sabhi gaon 130 meter expresway ke behad nazdeek hai. pradhikaran afsaro ki ummid hai ki yaha kareeb 4000 ekad zameen pradhikaran ko mil sakegi. ese elaake me awasiy sector basane ki yojna banai hai.

Seedhe kray bhi ki jayegi zameen:  Pradhikaran en gaonvo me na kewal zameen adhigrahan karega balki kisano ko seedhe zameen beche jane ka prastav bhi dega. Seedhe zameen dene wale kisano ko 1580 rupayee warg meter ki dar per muawza dia jayega.

Thursday, July 11, 2013

Indutry ki Jebh Se Jayega Kisano Ko Muawja

Ab Industries ko Apne Paas se Kisano ko Muawaja dena hoga


New Delhi: Greater Noida authority ne court ke aadesh per kisano ko adhikar muawja dene ke liye paisa industry se wasoolne ka faisla kia hai. Eske liye Greater Noida ki factories ko notice jari ker 550 Rupaye prati warg meter ke hisab se compensation charge jama karne ko kaha gaya hai.

Esse Greater Noida aur Noida ke udhmiyo me hadkamp macha hai. aur unhone ese tuglaki farman batate hue court jaane ki dhamki di hai. Wahi, doosri ore authority ka kehna hai ki etni badi rakam jutane ke liye uske paas income ka koi jariya nahi hai aur udyamiyo ko yeh rakam chukani hi  padegi.
Greater Noida me notice pane wale 1500 se jyada udyamiyo ko pehli kist 1 august ko jama karane ko kaha gaya hai. Noida udyami association ne budhwar ko authority se apna virodh jatate hue kaha ki yeh mamla authority aur kisano ke beech ka hai, aise me udyamiyo ki jebh se muawja chukane ka koi aadhar nahi banta.

Association ke president Vipin Malhan ne kaha, 'Vasooli ke notice se poori industy me hadkamp hai hum eski purjor virodh karenge. Authority ne high court ke 21 October 2011 ke aadesh ka hawala dekar kisano ko 64.7 feesadi muawaja dene me apne uper atirikt vittiy bojh ki baat kahi hai. aur Units se 550 Rupaye ke prati warg meter ki dar se rakam chukane ko kaha hai.

Udymiyo ki daleel hai ki 20 saal pehle authority aur industrial alloty ke bech jo bhi leter, leaze deed aut anya dastavejo ka exchange hua, usme kahi bhi aage chalkar koi atirikt rashi wasoolne ki baat nahi hai. Eske alawa sawal yeh bhi uth raha hai ki formula ke aadhar per udyamiyo se prati wrg meteer etna charge kia ja raha hai. khabar likhe jane tak kai anya associations ki ese per baithak ho rahi thi aur jyadatar udyami ese court me challenge ki baat kar rahe the.
Ese bare me pooche jane per greater noida authority ke dipty CEO Manvendra SIngh ne kaha, 'hamare paas income ka koi anya saadhan nahi hai aur authority no profit no lose ke aadar per kaam karti hai. Aakhir hum muawje ki rashi kaha se layenge? court ne hi ese baat ki chut dee hai ki authority load transfer ker sakti hai. 'yeh pooche jane per ki industrial alloties ki lease deed me bhi aage aise charge ka jikra nahi hai, unhone kaha, 'muawaje ka paisa mamla pehli bar samne aaya hai aur yahi wajah hai ki pehli baar hame rakam jutane ka koi viakalpic rasta apnana pad raha hai. udyamiyo ko thoda -thoda bhar to sehna hi padega. 'udhar, Noida ki industries me bhi ese lekar chinta jatai jati rahi. Unito ko aashanka haia ki patern noida authority per unse koi atirikt charge vasool sakti hai.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Wednesday, July 10, 2013

Ghar Khareedte Samay Corpate Area ko De Jyada Tarjeeh

Jaane Corpate Area ko kyu tarjeeh dena chahiye

Kisi flat ki diwar se lekar uska antrik hissa corpate area ke tahat aata hai. Yeh super Build Up Area se 15 se 20 feesadi tak kam hota hai. super build up area me corpate area ke sath flat ki jagah bhi shamil hoti hai. samanyatah builder aur khareerdar ke bech samjhoute me en builder aur kharerdar ke bech samjhoute me en bato ki jankari di gai hoti hai. Aapko yeh dekhna chahiye ki samjhoute e corpet area ke bare me charcha jaroor ho. Sath hi yeh bhi dekhe usme corpate area se kam flat dene ki sthiti me samjhouta khatm karne ki shart jaroori judi ho. aisa hone per aap samjhouta khatm karne ka adhikar hoga aur kisi tarah ki jurmana bhi nahi dena hoga.

Kaise jane Ghar ki Wajeeb Keemat

Samanyatah builder flat ki keemat me bijli, pani aur parking ki suvidhao ka shulk bi jodte hai. Aapko yeh dekhna chahiye ki sambandhit suvidhaon ki charcha samjhoute ki sharto me shamil ho, Eske sath hi builder project me kisi badlav ke liye bhi kharidaro se shulk wasoolte hai. yeh dekhna na bhule ki sarkar se project me badlaw ki manjoori mili hai ya nahi.

Builder Ke Pichle Project Ki Kare Padtaal

Kai Mouko per builder project me de gai jankari se alag flat ki jagah me kami ya vraddhi kar dete hai. Eske liye aap builder ke pichle project ki padtal kar sakte hai. Yadi pehle se anya logo ne falt khareed rakha hai to unse jaankari hasil kar sakte hai. Yadi samjhoto me tay seema se jyaada kam ya jyaada adhik badlaav na karne ki shart judi ho to yeh behtar hai.

Kabje ka Certificate Lena Na Bhule

Builder aur Kharidari ke beech samjhoute me project ke poora hone ki shart bhi shamil hoti hai. Kai mouko per builder flat soupne me tay awadhi se ek se do saal tak ki der karte hai. Yadi aisa hone per aap builder se jurmana mang sakte hai. sath hi jab builder aapko ghar banakar soup raha ho to uska certificate lena jaroor le. yeh aapke malikana haq ka pramaad hota hai.eske saath hi anya dastavej ko antim roop dena na bhule.










Tuesday, July 9, 2013

Greater Noida Me Mafia Ne Bech Dali Pradhikaran Ki Zameen

Bhumi Mafia ka Mayajaal Bech dale 400 Plot Greator Noida Pradhikaran Soti Rahi

Greater Noida Vikas Pradhikaran ki Jalpura Gaon me kareeb 100 crore rupaye ki zameen mafia ne bech dali. jabki pradhikaran ke adhikari ankhe moondkar sab dekhte rahe. Yaha pradhikaran ne 7 saal pehle kareeb 30 begha zameen khareedi thi. Lekin pradhikaran ne ese zameen ke rajasw recod me apna naam darj nahi karaya.

Ese ka fayeda uthakar mafia ne colony basa di. ese zameen per kareeb 400 logo ko bhukhand beche gaye hai. yeh khulasa tab hua jab ek kharedaar ne loan lene ke liye bank se sampark kia. Bank ne loan dene se pehle zameen ka barahsaala manga. Kharedar ne jab tehseel se barahsala nkalwaya to use thagi ka pata chala. Darasal usne jis vyakti se zameen kharedi, wah malik nahi tha.

Sameeti Ke Logo Ne Kia Farziwada

Kuch warsho baad sameeti se jude logo ko jab yeh baat maloom hui to unhone farziwada karke yeh zameen plots me bechni shuru kar di. 07 july 2011 ko eska ek hissa sukhbeer aur Baleshwar putragan Bhule niwasi Jalpura ko becha gaya. Zameen bechne ke liye rajistry per samiti ke kathit sachive ka photo lagaya gaya hai.

Esi tarah shesh zameen 09 August 2011 ko lekhraj putra Mangal niwasi Kheda Chouganapur ko bech di gai. ese baar zameen bechne ke liye Anil Singh naamak vyakti ko samiti ka adhikrat vyakti bataya gaya. khas baat yeh hai ki yeh zameen kuch dino ke baad hi colonizaro ne khareed li.

Pradhikaran Ne 2006 Me Khareedi Thi Zameen

Jalpuragaon me vikaas pradhikaran ne karar niyamwali ke tahat saikaro begha zameen kisano se seedhe kharedi hai. Jalpura me sachidanand sahkaari awaas samiti ki 22,285 warg meter zameen esi tarah pradhikaran ne kharedi thi. 15 may 2006 ko ese zameen ki ragistry Dadari sub ragistrar karyalay me pradhikaran ke haq me karwai gai. Pradhikaran ne zameen 360 Rupay prati warg meter ki dar se samiti ko bhugtan bhi kar dia, lekin pradhikaran ne ese zameen ka dakhil kharij apne naam per nahi karaya. esse rajaswa record me zameen samiti ke naam per hi darj rahi.

Colonizers ne bakayda naksha banakar ese zameen oer kareeb 400 logo ko plot beche. dedh saal ke dauran Dadari sab rajistrar karyalay me bane saare plots ki rajistry hui hai. yaha kuch ghar ban chuke hai jabki kuch ki chardiwari karai ja chuki hai.
Farziwada karne wale gayab hai. kareeb 100 crore rupay ke ese ghotale me Dadari tehseel aur pradhikaran ke karmchariyo ki milibhagat rahi hai. majedar baat baat yeh hai ki pradhikaran ki zamen kaha aur koun si hai, yeh land department ko pata hi nahi hai.

"Ese Ghotale ki jach karwai jayegi. Bhumafia per karwahi hogi. eske sath hi pradhikaran ke jimmedar adhikari aur karmchari bhi nahi bakshe jayenge, yeh behad gambhir mamla hai. 
Harsh Kumar Varma, Upper Mukhya Karyalay Adhikari, Greater Noida.
"

Pradhikaran Karmchariyo Ki Milibhagat.

 Pradhikaran ko adhisuchit ya adhigrahit zameen per bhumafia colony basate rehte hai. Pradhikaran ke karmchari sab kuch jante hue bhi chuppi sadhe rehte hai. darasal pradhikaran me aise karmchatiyo ki kami nahi, jinki bhumafia se milibhagat hai. Pradhikaran ke kai adhikariyo ke rishtedar aur parija khud ese dhande me hai. yahi karan hai jiski wajah se bhumafia per karyawahi nahi hoti hai.


For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Delhi Se Duriya Ghata Dengi Rapid Rail

NCR Ke Saath Pachim UP ko Delhi-hariyana ke Kareeb la Dega Project

Ghaziabad: Jansankhya Visphot, Public Transport ki Maramari aur bhayanak Jam jaise sankat jhel rahe Gaziabad samet pachim UP ke kai shahro ko rapid rail bahut badi rahat degi. Merut ke baad badaul ke bhi esme shamil hone se pure NCR ke sath pachim UP aur Delhi, Hariyana ek dusre ke bahut kareeb aa jayenge. Lakho logo ko iska seedha fayeda milega. Sabse aham baat ye hai ki pachim UP ke shahro se Delhi- NCR ki ore kisi had palayan bhi rukega.
Reasonal Rapid Transit Syatem (RRTS) per mahatwakanshi pariyojna me badaut ke bhi shamil ho jane se pura pachim uttar pradesh eska labh uthayega. Bhavishya ki bath to ye hai ki aage eske Mujffarnagar aur saharanpur tak vistar ki sambhawna bhi bani rahegi. Sirf Badaut tak ki Rapid rail pahuch jane se roj kareeb 25,000 log edhar se udhar daud lagayenge. Jam se karahte NH-58 ko bahut badi rahat degi aur esse adha public road transport kam ho jayega. Delhi se rapid rail waya Gazibad merut hote hue badaut pahuchegi. Delhi se Merut tak 17 station banne the, Jinki sankhya ab aur badh jayegi. Meruth shahar me rapid rail under ground track ke jariye entry karegi baki root elivated rahega.


 Interchange Station Naya Bus Adda per Banega.

Gaziabad, Dilshad Garden se lekar naya bus adda tak prastawit highspeed train ka interchange station ki jagah badal sakti hai. aisa hone per highspeed train ke nirdharit alignment me pariwartan hone ki sambhawna ban rahi hai. Metro ke arthla aaur naya bus adda station ke bech 2.4 km. ki duri hai. aise me interchange station ko lekar nay sire se kawayad karni pad sakti hai. halanki GDA sdhikariyo ne esse enkar kia hai.

Poorv sarkar me GDA ne second phase ke antargat dilshad garden se arthla tak metro daudane ka prastav banaya tha. esi dauran anand vihar se mohan-nagar hote hue Meruth tak RRTS yojna ke antargat highspeed train chalane ka prastav bhi taiyar hua hai. High speed train Mohan nagar, Meruth tirahe se hokar gujregi.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Bareilly Se Jim Corbett Ka Safar 3 Ghante Me

 Jim Corbett ab Door nahi

Agale kuch salo me Bareilly se Jim Corbate park ka safar 3 ghante se bhi kam samay me tay ho jayega. Sarkar ne bareli - bageshwar road ke sath Bareilly- Sitarganj - Kashipur Road ke chodikaran (Wide Raod) ko bhi hari jhandi se di hai. Bareilly se Sitarganj tak 75 Km. sadak 10 mtr. Choudi (Wide) hogi. eske age Kashipur hote hue Haridwar tak forlane banega. Pehle charan me Bareli- Sitarganj aur Sitarganj- Kashipur raod ko chouda (Wide) kia jayega. Eske liye national Highway authority of India (NHAI) ne sabhi Aoppchatiktaye (requirment or works) poori kar li hai.



Bareli- Sitarganj highway Choudikaran (widing) ki jimmedari (NHAI) ki Bareli- Sitapur Wing ko mili hai. Kareeb 8 mahine pehle sarkar ne bareli se sitarganj tak sadak ke dono ore zameen adhigrahan ka notice jari kia tha.

Ab Hoga Final Award

 NHAI ke project ke director Chakresh Jain ne bataya ki sadak choudi karne ke liye kul 16.50 hactayer (हेक्टयेर ) Jameen ki zaroorat hai. 75 kkm lambi ese sadak ki zad me kinare bane kareeb 200 makan aur dukane aa rahi hai. logo ko muawza dene ke baad enhe dhwast kia jayega.

Mili hari Jhandi

Highway widing ke liye 5000 ped (trees) kate jane hai. eske liye kendriye paryawaran wa wan mantralay se NOC mangi gai thi. haal hi me mantralay ne NOC jari kar di hai Chakresh jain ne bataya ki NOC wan vibhag ko bheji jayegi. eske baad pedo ka katan shuru ho jayega.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Sunday, July 7, 2013

Ek Metro Se Judengi 100 Colonies

Pehle do charano me jin sthano ke nazdeek se metro gujar chuki hai, waha elake ke vikaas ke sath-sath property ke damo me bhi bhari ezaaafa hua hai. Chahe porvi Delhi ki tanghal sadako ke nazdeek basi colonies ho, Dakshin Delhi ke lajpat nagar jaise eleke ya phir uttari Delhi ke mukharji nagar aur pachim Delhi ki shadipur jaisi colonies. En sabhi sthano per property ki keemato me kai guna badhotri ne zameen maliko ko lakhpati se karodpati bana dia. Metro ke aagman ka ek doosra pehloo hai. door-daraaj ke elake me rehene walo ko bhi kuch samay ke bheetar kai kilometer ka safar tay karana, wah bhi bina jaam me fase. esi kadi me pehle dono charano ke mukable metro ne teesre charan me Delhi me ek poora circle banane ke lakshya rakha hai. Metro NCR me bhi Bahadurgarh, Greater Noida, Gaziabad me aur aage tatha Faridabad tak pahuchne ki ebarat likhne ja rahi hai.


Teesra charan poora hone ke saath hi metro kareeb 155 kilometer ka safar aur tay karegi eski sabse badi khasiyat hogi ki es safar ke jariye wah kareeb 100 colonies ko ek-dusre ke nazdeek layegi. esme Faridabad ka anchua ekala hai to Gaziabad me jaam ke janjaal me pareshan rehne wale colonnies ke log bhi hai. Wahi kalindi kunj ke nazdeek aksar 'peek hour' me deri se pahuchne ki pareshani jhelne wale log bhi hai.

Etna hi nahi, moujpur, Jaafraabad, yamuna vihar, shiv vihar jaise poorvi (East) Delhi ke elake bhi eski zad me ayenge, jaha logo ke liye sadak per chalna bhi kai baar dushkar ho jata hai. eske alawaring road aur anya sadko per agle teen warsh ke bheetar wahano ka dabaw yadi kam raha to uska bhi shrey sirf metro ko hi jayega Metro ke teesre charan ka nirman karya 2016 me poora hona hai, eske saath hi metro se safar karne wale yatriyo ki sankhya me lagbhag 10 se 15 lac tak ki wradhi hogi. ab tak achuti rahi kai pramukh colonies bhi mero se judengi.

Teesre charan ke liye kai extension lines  banai ja rahi hai to kuch nai lines taiyaar ho rahi hai. badarpur se Faridabad ke beech kareeb 13.5 kilometer ki nai line man rahi hai. wahi Noida ke liye janakpuri se seedhi line taiyaar ho rahi hai. Esi prakar mukundpur se shiv vihar ke beech kareeb 55 kilometer ki lambi line ban rahi hai. yeh ring road ke sath-sath porvi Delhi me wahano ki sankhya ko kam karne me sahayak sabit hongi.

Kaha Se Hokar Gujregi Metro

Delhi: Mukundpur, Vasant Vihar, Palam, Munirka, R.K.Puram, Panchsheel Park, Greater Kailash, Chitranjan Park, Narayna, Motibagh, Bhikaji Kama Place, Sarojni nagar, Shri Nivaspuri, Ashram, Shalimar Bagh, Rohni Sector 18-19, Badali, Sidharth Nagar, Loni, Shahadra, Zafrabad, Shiv Vihar, Moujpur, Kalkaji Extension, Zohri Enklave, Yamuna Vihar, Gonda, Saray Kale Khan, Dariyaganj, Delhi Gate.

Noida: Kalindi Kunj, Botenicle Garden, Noida Extension.
Faridabad: Sector-37, Saray, Green Field Coloni, Sector-30, 31, 28, 21, 27, 19, 16, 15, 17, 14, 12, 11, 10, 9, 6, 7, 8, Palla, Newla Indira Colony, Dabua Colony etc.




For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Saturday, July 6, 2013

RRTS Se Sawaregi Elake ki Surat

Mono Train Aapke Sapno Ki Train Aa Rahi Hai.

Rapid rail shuru hone ke sath hi waqt aapki mutthi me hoga. Bhale hi jebh halki ho, per keemati waqt aapka hoga. aap aasani se Merut, Alwar aur Panipat jaisi jagaho per makaan kharid ker apna awagman asan ker sakte hai. Kya hogi bhavishya iski surat aur logo ke liye kitni mufeed rahegi yeh yojna, yaha se jaane poora vivran.


Rapid Rail Transit Syatem (RRTS) per muhar lagne ke saath hi Delhi se Alwat, Merut aur panipat ke beech ab doori ghanto ki bajay minto me poori ho sakegi. Jaha ek ore logo ko awagman ka sadhan milega, wahi dusru ore sapne ke ashiyane banane ke liye naye sthan bhi sulabh honge.

Kaha jata hai ki bhi ilaake ka vikaas karna hai to yatayat ke behetar saadhan uplabdh kara do, yeh baat NCR ke vikaas me poori tarah se charitarth bhi hui hai. Delhi aur NCR ke kai Elaako me builders ne yatayat ke saadhan na hone ke bawajood bahanebaaji se makan beche. Aaj log yaha makan khareed kar pareshan ho rahe hai. Builder ne apane daavo me kaha ki Metro ki yaha se doori sirf 20 mmnut ki hai. Agar yatayat sadhan na hote to yeh doori aur bhi mushkil hoti.

Ab baari hai NCR se kuch aur aage ke vikaas ki. kahane ko to Merut, Alwar aur panipat ki doori itni hai ki log yaha jakar basne ke bare me sochne bhi katrate hai, lekin logo ki esi soch ko ab kendriya shahri vikaas mantralay ne poori tarah se badalne ki yojna bana li hai. Merut me jaha flyover ke saath saathkai naami builders ne project shru kar dia hai, wahi Alwar, Bahadurgarh, Bhiwani, jaise elake bhi logo ke liye har range ke makan dene ko taiyar hai. Bahadurgarh me to pehele se hi Metro ke pahuchne ka rasta saaf ho gaya hai, Lekin Merut, Alwar, aur Panipat me High Speed rail pahuchne per muhar lagne ke saath hi in elako me bhi property me boom aane ki sambhawna panapne lagi hai. Merut me mojood sa,ay me property aap 8 lac rupaye se lekar 45 lac rupayee tak ke flat behad umda quality me prapt kar sakte hai. waise to agar baat Delhi-Merut Corridor ki kare to ese per Gaziabad ko katai nazarandaaz nahi kia ja sakta hai, kyonki highspeed ka pehla padaw to yahi se hai. Esliye yadi property me nivesh ka khyal hai to yeh elaka Delhi ke ekdam nazdeek hai. yaha property ke rate bhi lagatar badh rahe hai.

Govindpuram me project me jute manoj gour ka kehna hai ki kuch mahino ke bhitar hi yaha property ke rate me dogune se bhi adhik ka ezafa lazimi hai, esiliye yadi koi nivesh karne ka khayal rakh raha hai to eske liye yeh samay upyukt hai. shighr hi yaha paripheral-way chalu hone ki poori ummid hai, Jiske baad logo ke liye high speed rail aur sadak marg dono ke jariye apne aashiyane tak pahuchne ka rasta sulabh hoga.

Unhi ki tarah bhiwari ke trehan group ke CMD  harsh Trehan ka bhi khyal hai. Noida me property ke rate badhe hai, uske jis tarah se Delhi wa Gurgaon, Noida me property ke rate badhe hai, uske baad aam logo ke liye makan banane ke hisab se NCR ke yeh elake hi sabse badhiya hai.

Yaha abhi property ke rate kam hai, per high speed rail tatha express high way taiyar hone ke baad zameen ke rate yaha bhi aasmaan chune ko taiyaar honge. Aise me jaroori hai ki log bhiwani, bhiwadi, alwar, panipat jaise elako ki andekhi na kare.

kuch aise hi maan-na hai Gardenia Group ke sansthapak adhyaksh ka. Unke mutabik Merut, Alwar, Panipat jaise elake Delhi ke aur nazdeek aa jayenge. Log chahe to en elaako me abhi unhe sasti keemat per zameen aur flat aasani se mil jayenge, lekin 2016 me rapid rail ke pahuchne ke baad keemate aasmaan per pahuchengi, jis tarah se Delhi ke bahari elake ab aam aadmi ki pahuch se bahar ho chuke hai. theek usi tarah se yeh elaake bhi rahne ke liye to badhiya ho jayenge, magar kharidne ke liye jebh se bhari rakam chukaani padegi, aise me abhi nivesh karna ek elako me fayede ka sauda hi saabit hoga.

Property expert Atul thaku ke anusaar merut bhale hi krime ke liye pehchana jata ho, lekin pechle kuch samay ke bhetar yaha teji se vikaas hua hai, Vishwavidhyalay to pehle se hi hai, Ab property ki keemate bhi 15 se20 feesadi tak badh chuki hai, Yahi sthiti Alwar ki bhi hai. yaha keemato me bahut mamuli ezafa hua hai.

High Speed rail pahuchne ka rasta saaf hone ki baat samne aate hi elaake me keemato ki lekar uthapatak agle kuch dino me dikhne lagegi, rahi baat panipat ki to use shahar ka bhi apna mizaaz hai. yaha bade builders ki nigah bhi padegi aur ache project ke jariye logo ki unke pasandida ashiyane dene ki karyawai shuru hogi. waise khud sarkaar ke bhi kuch project en elako me pipeline me hai. Esse bhi log nivesh karke kismat aajma sakte hai.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Wednesday, July 3, 2013

Yamuna per Banega Ek Aur Pull

A New Bridge Will be construct over Yamuna River

Uttari aur Poorvi Delhi ko jodne ke liye Yamuna river (nadi) per ek aur pull (Bridge) taiyar kia jayega. Yeh pull karawal nagar aur alipur ko jodega. Abhi sindhu border se krawal nagar aane ke liye 25 km. ghoomkar aana padta hai. ese pull ke banne ke baad wajirabad per bhi traffic ka bojh kam hoga.

Pull (bridge) ke adhyayan me hi eski takneeki dikkato ke hal nikale jayenge. Report ke baad yutypack ki hari jhandi ke liye entezaar nahi karna pade, eske liye haal hi me PWD ne Utipack ko likha hai aur pehele hi sabhi takneeki dikkate batane ke liye kaha hai.


Ese janch me pull ke aaspaas ke yatayat adhyayan kiya jayaga. eske atirikt design ka khaka taiyar kiya jayega. yamuna nadi Delhi ko do hisso me bant-ti hai. En elako ko jodne ke liye pullo ki sankhya kaafi kam hai, jabki yatayat adhik hai. ese wajah se yamuna ke pullo per jaam hota hai. wah pull ban jane ke baad wahan chalako ke paas ek aur vikalp uplabdh hoga. Delhi ke atirikt ese pull se uttar pradesh ko laabh hoga. ye wahan abhi GT karnal road, wajirabad, bahari ring road aur bhajanpura marg ka prayog karte hai. enhe ghoomkar nahi gujarna hoga.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Rapid Rail Se Judenge Panipat Merut and Alwar

Panipat, Merut and Alwar will be connect with Rapid Train Plan

Kendriya Shahri Vikas (Central City Development) mantri Kamal Nath ne kaha ki Delhi aur NCR ke Shahro ke beech doori kam karne ke liye jaroori hai ki tez gati ki srwajanik parivahan sewa ko badhawa diya jaye. Isi kadi me Delhi- Panipat- (111 Km.), Delhi-Alwar (180 Km.), aur Delhi- Merut (90 kilometer) ke bech Metro ki tarz per Rapid Rail Chalane ki yojna hai.




In Trains ka sanchalan NCR pariwahan nigam, dwara kia jayega, jisme kendra sahit Delhi, Hariyana, Rajasthan aur Uttar Pradesh sarkaro ki bhagidari hogi. somwar ko hui NCR planning board ki 33vi baithak me 3 corridor ko manzoori di gai. isko kabinate ko bheja ja chuka hai. Esse poorve expenditure nd finance cometi ne es yojna ko manjoori de di hai.

Kamalnath ne ummid jatai ki teeno lins ka nirman karya jald shuru kar diya jayega, jise year 2016 tak poora kar liya jayega. in yojnao per kharch ke liye sabse pehle ncr yojna board 200 crore rupay ka anshdaan karega. baithak me regional rapid ransit system k  bare me yeh nirnay liya gaya ki vibhinn paksho ke beech nivesh ki matra tay karne ke liye vittiya paramarshdata niyukt kiya jaye. in teeno lins per 72000 crore rupaye ki laga ayegi. eske alawa yojna board ne kashmiri gate aur anand vihar me 2 multi model transit center banane ki bhi anumati de hai.

ANCR counter magnet area me Jaypur bhi shamil: E laka chodkar logo ko NCR me jane se rokne wale sharo me ab jaypur bhi NCR ke magnet area me shamil ker liya gaya hai. aise shehro ke vikas me NCR yojna board ki ore se vittiya sahayta pradan ki jati hai. Ab tak hariyana ka hisar aur rajasthan ka kota, madhya pradesh ka gwaliyar, uttarpradesh ke bareli aur panjam ke patiyala shahar ko counter magnet area me shamil kiya hua hai. Counter magnet area se arth hai ki aisa shahar, jo Delhi NCR se to door hai, lekin un shahro me aise entezaam kiye ja sakte hai, jo logo ko Delhi ya NCR me aane se rok sakta hai.



For More Details Contact (Consult Me If you are looking for information about Property)
Bhanu Pratap (Property Consultant)
Mobile: 9716883044
Mail: bhanu16@gmail.com


For any Web or SEO, Internet Marketing Solutions in Delhi, NCR
Visit. xtrawebsolutions.com

Categories